Ab Koi Khwab Sunehra Nahi Dekha Jata,
Tumhare Siva Koi Aur Chehra Nahi Dekha Jata,
Mere Mehboob Mujhe Teri Aankhon Ki Kasam,
Mujhse Siskata Hua Ye Savera Nahi Dekha Jata.
Apno Ke Beech Zindagi Aise Jiya Nahi Karte
Akele Rehkar Apno Ko Tadpaya Nahi Karte
Jo Thama Hai Haath Pyar Se Kisi Ne Aapka
Use Juda Rehne Ki Baat Kiya Nahi Karte
Khwaab Akhon Se Gire Aansuon Mein Dhalkar,
Dum Armaano Ne Toda Dum Machal-Machal Kar,
Mere Muqaddar Mein Tanhayi Likhi Thi,
Varna Har Kadam Rakha Tha Sambhal-Sambhal Kar.
Voh Na Aaye Unki Yaad Aakar Wafa Kar Gayi,
Unse Milne Ki Tammana Sukoon Tabah Kar Gayi.
Ahat Huyi Socha Asar Dua Kar Gayi,
Darwaza Khola To Dekha Mazak Humse Hawa Kar Gayi.
Main Tere Shahar Se Door Ja Raha Hoon,
Hokar Teri Chupi Se Majboor Ja Raha Hoon,
Chhodkar Apni Jaan Ko Siskata Hua,
Teri Yaadon Ka Lekar Noor Ja Raha Hoon.
Safina Dooba To Tab Na Khuda Yaad Aaya
Zikre Wafa Hua To Veh Bewafa Yaad Aaya
Vo Jiske Ishq Mein Bhool Gaya Tha Main Doonia
Voh Kaafir Juda Hua To Khuda Yaad Aaya.
Sochoge Jab Bhi Tum Chaahne Waalon Ki Tarah,
Yaad Aa Jayenge Hum Toote Huye Pyaalon Ki Tarah.
Jab Bhi Tannhashab Mein Andheron Se Dar Jaaoge Tum,
Meri Yaadein Fael Jaayengi Ujaalon Ki Tarah.
Yeh Vaada Karo Ki Mujhe Na Bhulaoge Kabhi,
Naam Apne Dil Se Mera Na Mitaoge Kabhi,
Khud Tumhi Ne Jo Khwab Basaye Hain Aankhon Mein,
Kasam Meri Tumhein, Na Jalaoge Kabhi.
Ujad Jayega Sapno Ka Hasin Gulshan
Mere Haathon Mein Agar Tera Haath Na Aaya
Kabhi Manzil Na Mil Sakegi Mujhe Pyar Ki
Jo Pyar Ki Raahon Par Tu Mere Saath Na Aaya.
jab koi itna khas ban jaye, Uske bare main hi sochna ehsas ban jaye toh mang lena khuda se use jindagi k liye isse pahle k wo kisi aur ki sans ban jaye...