Kisi dard ko sambhal pana asan nahi,
Haste hue hr pal bita pana asan nahi,
Zindagi me har koi dil me nahi bas pata,
or us ek base hue ko bhul pana asan nahi
Aap se aachi aap ki yaadin hai...
Aati to hai,
Hasati aur rula k jati to hai,
Tanhai main saat nibaahti to hai.
Socha tha ek-dusre ki tasvir sajain dil hi dil main,
Mgar chhod gai akela tum duniya ki mahfil main.
Ab Ansuon Ko Aankhon Mein sajaana Hoga
Charaag Bhuj Gaye Khud Ko Jalana Hoga
Na Samajhna Ke Tumse Bichar Ke Khush Hain Hum
Humein Logon Ki Khaatir Muskurana Hoga
Bhool jane ka tujhe koi irada na tha,
Tere siva kisi se kiya wada na tha.
Nikaal dete Dil se shayed tumhen KHAYAL,
Par is kambakht dil mein koi Darwaza na tha
Wo baat kya karu jiski khabar hi na ho
wo dua kya karu jisme asar hi na ho
Kaise keh du aap ko lag jaaye meri umar
kya pata agle pal meri umar hi na ho
Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota
Har nakamyabi ka matlab haarnahi hota
Toh kya hua agar hum tume na paa sake
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota…
Do pal ki zindgani yahi bit jayegi,
har kali raat ke baad nayi subah aayegi,
agar khas logo ki yaad satayegi to,
kasam se apki yaad sabse pahle aayegi.