चाहत तो :man: हम भी रखते हैं, किसी के :heart: दिल में हम भी :vibration_mode: धड़कते हैं, न जाने वो कब :cry: मिलेंगे :woman: जिन के लिए हम रोज़ :broken_heart: तड़पते हैं.
Bina Bataye Usne Na Jaane Q Ye Duri Kar Di,
Bichad K Usne Mohabbat Hi Adhuri Kar Di,
Mere Mukaddar Me Gum Aye To Kya Hua,
Khuda Ne Uski Khwaish To Puri Kar Di…
Ek samshaan ke bahar likha tha…
Manzil toh teri yahi thi, bas
Zindagi gujar gyi teri yaha aate-2
Kya mila tujhe es duniya walo se ?
Apno ne hi jala dia tuje jate-jate
Gam na kar teri zindagi se hum chale jayenge...
Kabhi miloge to najre nahi milayenge,
jis din tuje teri galti ka ehsas hoga,
us din hum kisi or ke ho jayenge
Maa Teri Yaad Satati Hai, Mere Paas Aa Jaao,
Thak Gaya Hoon, Mujhe Apne Aanchal Mein Sulao,
Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere,
Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao…
Main Udaas Hu Mujhko Udas Rehne De
Abhi Thoda Aur Waqt Mujhe Apne Paas Rehne De
Na Bujh Sakegi Ye Shabnam Ke Katro Se
Mere Labon Pe Tu Sehra Si Pyas Rehne De
Truth Of Life in Hindi -
Truth no 1 – Maa ke siwa koyi wafadaar nahi
Truth no 2 – Gareeb ka koyi dost nahi
Truth no 3 – Log achi seerat ko nahi achi surat ko tarjeeh dete hain
Truth no 4 – Izzat sirf paise ki hain insaan ki nahi
Truth no 5 – Insaan jis shakhs k liye dil se mukhlis ho wahi shakhs dukh dard deta hain
Har Sagar Ke Do Kinare Hote Hain,
Kuchh Log Jaan Se Bhi Pyare Hote Hain,
Yeh Jaruri Nahin Ke Har Koi Pass Ho,
Kyonki Zindagi Mein Yaado Ke Bhi Sahare Hote Hain…
Tum Hi Tum Tadpo Na Hamein Tadpaao,
Do Roohein Milne Do Ek Jaan Ban Jaao,
Deti Ho Meri Bhool Ki Itni Badi Saja,
Thukra Ke Mera Pyar Na Ban Jaao Bewafa…
Dard E Dil Ne Dekho Kitne Gham Jhele Hain
Mere Masoom Dil Mein Zakhmo Ke Kitne Mele Hain
Mehfilon Ki Khwahish Thi Mujhe
Dekho Zindagi Mein Aaj Hum Kitne Akele Hain…
Raat Soyi To Par Nind Meri Aankho Se Door Hi Rahi,
Palke Band Ki To Thi Par Unme Tumhara Hi Khawab Raha,
Na Chahte Huye Bhi Chhaya Raha Muj Par, Tumhari Baato Ka Ek Nasha,
Or Dhadkanome Tumhara Hi Nam Gunjata Raha,
Har Sans Ke Sath, Jitna Bhi Chaha Tumhari Socho Se Bhagna,
Utna Hi Tum Mere Karib Aate Gaye,
Tumhari Baato Me Khoti Huyi Ye Diwani,
Chupchap Se Piglati Rahi Shama Ke Mom Ki Tarah….