Wo Humse Raah Mein Mil Jayein Zaruri To Nahi
Khud-Bakhud Faasley Mit Jayein Zaruri To Nahi
Zindagi Tune To Wafa Humse Na Ki
Magar Hum Tujhe Thukrayein Zaruri To Nahi…
Main Udaas Hu Mujhko Udas Rehne De
Abhi Thoda Aur Waqt Mujhe Apne Paas Rehne De
Na Bujh Sakegi Ye Shabnam Ke Katro Se
Mere Labon Pe Tu Sehra Si Pyas Rehne De
Darguzar Uski Har Khata Kar Di Humne
Uske Haq Mein Aaj Phir Dua Kar Di Humne
Ek Lamha Bhi Nahi Laga Khone Mein
Jisko Pane Mein Sari Zindagi Gujar Di Humne
Har Sagar Ke Do Kinare Hote Hain,
Kuchh Log Jaan Se Bhi Pyare Hote Hain,
Yeh Jaruri Nahin Ke Har Koi Pass Ho,
Kyonki Zindagi Mein Yaado Ke Bhi Sahare Hote Hain…
Girti hoi dewar ka humderd hoon Lakin
charty hoy sourg ki prus-thish nahi karta
humdard e ehbab se drta hoo lakin
zakhm too rakhta hoo lakin nooma’ish nahi karta
Kitna Chaahata Hun Tujhe Yeh Mujhko Pata Nahi,
Magar Tumhare Siwa Koi Aur Dil Mein Basa Nahi,
Zamana Dusman Ho Gaya Chaahat Ka Hamari,
Juda Ho Gaye Phir Se Ham Yeh Meri Khata Nahi….
Subah Juda Hai Raat Juda Hai,
Apni To Her Baat Juda Hai,
Tumse Bichar Ker Aisa Laga,
Jaise Dua Main Haath Juda Hai,
Sab To Aate Rahte Hai,
Tum Aao To Baat Juda Hai…
Aansu Aa Jaate Hain,
Rone Se Pahle,
Khwab Toot Jaate Hain,
Sone Se Pahle,
Log Kahte Hain,
Mohabbat Gunaah Hai,
Kash Koi Rok Leta,
Yeh Gunaah Karne Se Pahle…
True Quote -
Waqt se jyada zindagi mein,
koi b apna aur paraya nahi hota
Agar waqt apna h to sabhi apne hote h
Aur agar waqt hi paraya ho to
apne bhi paraye ho jate hain
Gam na kar teri zindagi se hum chale jayenge...
Kabhi miloge to najre nahi milayenge,
jis din tuje teri galti ka ehsas hoga,
us din hum kisi or ke ho jayenge
Hum Rooth Jayenge To Manaane Ka Wada Kiya Tha
Hum Door Jayenge To Bulaane Ka Wada Kiya Tha
Aaj Palkon Pe Aansu Bhar Diye Jisne
Zindagi Bhar Hasaane Ka Wada Kiya Tha…