Dekh Kar Tanha,
Mujhse Pucha Bahaaron Ne,
Kaha Gaya Tera Woh Hamsafar,
Tujhe To Bada Naaz Tha Uspar,
Yeh Dekh Kar Main Chup Rahaa,
Par Mere Aansuon Ne Jawab Diya,
Milna Kismat, Bichhadna Naseeb Tha,
Woh Mujhse Itna Door Ho Gaya,
Jitna Woh Mere Kareeb Tha…
Unko Apne Haal Ka Hisaab Kya Dete
Sawaal Sare Galat The Hum Jawab Kya Dete
Wo To Lafzo Ki Hifazat Bhi Na Kar Sake
Phir Unke Haath Me Zindagi Ki Puri Kitaab Kya Dete.
Dosti ki wafadari me gum ka andhera ata kyun hai...
jise humne chaha wo hume rulata kyun hai...
agr wo mere nasib me nahi,
to khuda aise logo se milata kyun hai..
Dil Mei Jo Aaya Likh Diya,
Kabhi Milan Kabhi Judai Likh Diya,
Ab Tumsey Na Milna Mazburi Hai Meri,
Isliye Hamney Apni Zindgi Ka Naam Inzaar Rakh Diya.......
Kuch Alag Tha Kehne Ka
Andaaz Unka, Ki Suna Bhi
Kuch Nahi Aur Kaha Bhi
Kuch Nahi, Kuch Is Tarah
Bikhre Unke Pyar Me Hum,
Ki Toota Bhi Kuch Nahi
Aur Bacha Bhi Kuch Nahi..!
Dil Tuta Mera Kisi K Sath
Chalte Huye..
Ache The Hum Tanhaeeyon Me
Palte Huye..
Har Baar Pada Zindagi
Ka Tamacha Hume..
Zindagi
Se Yun Sambhalte Huye..
Mumkin Nahi Shayad Kisi Ko Samajh Pana
Samjhe Bina Kisi Se Kya Dil Lagana
Aasan Hai Kisi Ko Pyar Karna
Bahut Muskil Hai Kisi Ka Pyar Pana
Jab Bhi Kisi Ko Kareeb Paya Hai
Kasam Khuda Ki Wahi Dhokha Khaya Hai
Kyon Dosh Dete Hain Log Log Kanto Ko
Zakhm To Humne Phoolon Se Bhi Paya Hai
Dard se bhari he jindagi par hume rona nahi aata,
pyaar behad karte hai aapse par jatana nahi aata,
pata nahi kab kya kahe aapse..
shayad hume hi pyaar karna nahi aata.!
Humne Toh Bas Itna Hi Sikha Hai Dosto,
Raah E Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta,
Jo Mil Jaaye Is Raah Par Kabhi Yaar Se,
Woh Jakham Kabhi Bhi Fir Dobara Nahi Silta….
Kisi ke bicharne ka dard saha nahi jata
Usi bhola ni par bhi bhulaya nahi jata …..
Yi ek dard hi aisa hi yaaro
Jo ki chah kar bhi kisi ko bataya nahi jata…..ii
Anshhu hote nahi bahane ke liye,
Gam hote hai pi jaane ke liye ,
Suchhi dosti kabhi bichadti nahi,
Bas thodi si door hoti hai. Aur paas aane ke liye.....
Bachpan Ke Dukh Kitne Ajeeb Hote the,
Tub to sirf Khilone Tora karte the..
Wo Khushiyan bhi Jane Kesi Khushiyan thi,
Titlyon k par nouch k Uchhla karte the..
Chote the to Makr-o-Fraib b chote the,
Dana dal k chirya pakra karte the..
Paon mar k Barish k Pani mein,
Apni naou aap daboya karte the..Apne jal jane ka bhi ehsaas na tha,
Jalte huye sholon ko cheera karte the..
Ab tou ek ansoo bhi ruswa kar deta hai,
Bachpan mein tou jee bhar k Roya karte the