Baat Kya Hai Ke Mashoor Logon Ke Ghar
Mout Ka Sogh Hota Hai Tyohar Sa,
Jina Jina Utarta Hua Aaina
Uska Lahja Anokha Khanak Dar Sa,
Woh Aligad Ki Shamein Kahan Kho Gayi
Ab Woh Shayar Kahan Hai Tahardaar Sa,
Apna Range Gajal Uske Rukhsar Sa
Dil Chamkane Lagta Hai Rukhe Yaar Sa…
Apne Dil Ki Sunn, Afwahon Se Kaam Na Le;
Mujhe Yad Rakh, Beshak Naam Na Le;
Tera Veham Hai Ke Hum Bhool Gaye Tujhe;
Meri Koi Aisi Saans Nahi Jo Tera Naam Na Le!
ishq me ji gaya koi
ishq me mar gaya koi
ishq aag ka dariya tha
fir bhi utar gaya koi
ishq me zakhmo ka kissa purana hai
zakhm kar gaya koi
zakhm bhar gaya koi..
Us Khuda Ne Banaya Is Dil Ko,
Insaan Ke Jism Mein Dhadkane Ke Liye,
Insaan Ne Kyu Kiya Ise Kisi Ke Hawale,
Bekasur Bepanah Yu Tadpane Ke Liye,
Hum Is Jaalim Jamane Ko Chhodkar,
Chalemge Saath Unke Woh Jidhar Jaayenge,
Agar Daaman Unhone Bhi Chhuda Liya Humse,
Toh Tum Hi Batao Fir Hum Kidhar Jaayenge…
Pataa Nahin Zindagi Ko Mujhse Kyaa Chaahiye,
Jo Kabhi Meraa Ho Nahi Sakta
Use Itna Karib Lati Hai,
Jab Chodke Jayenge Woh Hum,
Aisa Naa Ho Ki Hamse Jyaada ,
Ansuo Ki Bheed Me Wo Kho Jaye…
Yeh Sheyar Jo Lokhta Hun Main Dosto,
Sheyar Nahi Hai Mere Dil Ka Haal Hai,
Yeh Khata Nahi Unki Jo Mujkhe Gham Dete Hain,
Ghamon Se Toh Sagar Ka Janmon Ka Haal Hai…
Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha
Kashti Ke Musafir Ne Samander Nahi Dekha
Be Waqt Ager Ghar Jaon Ga Sab Chonk Parein Gey
Ik Muddat Hui Din Me Kabhi Ghar Nahi Dekha
Jis Din Se Chala Hon Meri Manzil Pe Nazar Hai
Aankhon Ne Kabhi Mail Ka Pathar Nahi Dekha
Yaaron Ki Mohabbat Ka Kar Liya Yaqeen Mein Ne
Phoolon Mein Chupaya Hua Khanjar Nahi Dekha
Ye Phool Mujhe Koi Wirasat Mein Mile Hain
Tum Ne Mera Kanton Bhara Bistar Nahi Dekha
Pathar Mujhe Kehta Hai Mera Chahne Wala
Mein Mom Hun, Us Ne Mujhe Chu Kar Nahi Dekha
Wo Shakhs Mere Masail Ko Samajh Nahi Sakta
Jis Ne Meri Aankhon Mein Samander Nahi Dekha
Lakh Dusman Ho Jamana,
Hum Tera Saath Na Chhodenge,
Gar Haathon Mein Aaya Haath,
Tera Haath Na Chhodenge,
Nibhaya Na Gaya Saath,
Toh Aapne Bahana Bana Liya,
Hamein Diya Ghamon Ka Sagar,
Khud Ne Kahin Aur Thikana Bana Liya,
Ahsaas Chahat Ka Hua Jab Sadma Laga Mujhe,
Jab Jab Chaha Tujhe Tu Bewafa Hi Laga Mujh…
Aziz Na Ho Ae Dil Kisi Ke Yun Itna
Ke Praya Khud Ko Khud Se Hi Kar Deta Hai
Ishq Aisa Nasoor Hai Jo Bas Ke Dil Mein
Umar Bhar Tan Mein Zehar Bhar Deta Hai.
wo so jaate hai aksar hume yaad kiye bagair..
hume nind nahi aati unse baat kiye bagair..
ksur unka nahi humara hai...
unhe chaha to bhi unke ijjajat ke bagair..
ye hadsa bhi zindagi me ana tha,
usay kahin na kahin tu bichar hi jana tha,
wo ek shakhs tarsay ga mujhe sari zindagi,
naseeb us k us ne mujhe ganwana tha.
Rago Mein Sainkado Barfili Sooiyaa Utri
Magar Lahu Mein Abhi Tak Wohi Tapis Hai,
Main Apne Haath Mein Apna Kalam Sar Lekar
Bagour Dekhu Ju Meri Vakayi Soorat Hai,
Siyah Saanp Ke Sar Par Safed Phool Khila
Ravayaton Mein Badi Pechdar Hiddat Hai,
Sada Ki Dhoop Na Chamke Toh Ghar Ujad Jaaye
Vishal Mandiro Mein Ghantiyon Se Ajamat Hai…