Wo Meri Tamaam Wafaon Ka Sila Kuch Is Tarah Se Deta Hai
Baat Karke Kuch Aisi Mujhe Meri Nazron Se Gira Deta Hai
Khyal Rakhta Hai Wo Mera Kuch Is Tarah Se
Ke Zubaan Ke Nashtar Se Mujhe Maar Deta Hai
Wo Teri Baat Phaans Ban Kar Atak Jati Hai Mere Dil Mein
Wo Kabhi Kabhi Bin Maut Mujhe Maar Deta Hai
Banti Hai Phir Meri Zaat Hi Shikwe Shikayaton Ka Mehwar
Yoon Lagta Hai Mujhe Wo Mere Hone Ki Saza Deta Hai
Na Jaane Kaise Sehta Hai Wo Mere Wajood Ko
Mujhe Apne Upar Bojh Qaraar Deta
Bhool Jati Hoon Main Bahut Jald In Jiyation Ko
Wo Jab Aik Bar Mujhe Dekh Kar Muskura Deta Hai… Chandni
चाहत तो :man: हम भी रखते हैं, किसी के :heart: दिल में हम भी :vibration_mode: धड़कते हैं, न जाने वो कब :cry: मिलेंगे :woman: जिन के लिए हम रोज़ :broken_heart: तड़पते हैं.
Kabar me dafnaate hi,
Sare rishte tut jate h
Chand dino mein apne
Apno ko bhul jate h
Koyi nahi rota umar
Bhar kisi ke liye
Waqt ke sath aansu
Bhi sukh jate hain
Churakar Dil Toh Mera Woh Bekhabar Se Baithe Hain,
Milate Nahi Najar Nahi Humse Woh Chat Par Aan Baithe Hain,
Dekh Kar Humko Kitab Se Mooh Chhipakar Baithe Hain,
Unhein Khud Nahi Maalum Ki Woh Kya Kar Baithe Hain…
Maa Teri Yaad Satati Hai, Mere Paas Aa Jaao,
Thak Gaya Hoon, Mujhe Apne Aanchal Mein Sulao,
Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere,
Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao…
Kitni Raahat Hai Dil Toot Jane Ke Baad
Apne Aap Se Mila Sab Kho Jane Ke Baad
Magar Hairat Hai Ab Tak Zinda Hu
Maut Roz Aati Hai, Uski Yaad Aane Ke Baad…
Mohabbat Ke Sapney Wo Dikhaatay Bahut Hain,
Raaton Main Wo Hum Ko Jagaatay Bahut Hain,
Main Aankhon Main Kaajal Lagaaun To Kaise,
In Aankho Ko Log Rulaatay Bahut Hain…
Kabhi bhi “Kamyaabi” ko dimaag aur,
‘Naakami’ ko dil me jagah nahi deni chahiye
Kyuki “Kamyaabi” dimaag me ghamand aur
“Nakami” dil me mayoosi peda karti hain
Ek samshaan ke bahar likha tha…
Manzil toh teri yahi thi, bas
Zindagi gujar gyi teri yaha aate-2
Kya mila tujhe es duniya walo se ?
Apno ne hi jala dia tuje jate-jate