Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda,
zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda,
vaada kiya sitaron ne saath dene ka,
subah hone par sitaron ne bhi saath choda.
Do pal ki zindgani yahi bit jayegi,
har kali raat ke baad nayi subah aayegi,
agar khas logo ki yaad satayegi to,
kasam se apki yaad sabse pahle aayegi.
Humare Dard Ki Un Tak Bhala Kaise Khabar Pahunche,
Jahan Sapne Nhi Aate, Vahan KaiseNazar Pahunche,
Ki Dil Toota Kisi Ka, Ye Unhe Maloom Kaise Ho,
Ye Darpan To Nhi, Tootey To Sabke Paas Swaar Pahunche…
Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
Ispar aansu tadap kar bola,
Bhari mehfil mein aapka dil akela na rahe,
Itna bus usse samjhaya karo.
Gam na kar hum teri rah me nahi ayenge,
agar aa bhi gaye to tujhse nazrne nahi milayenge, jab hoga tujhe apni galti ka ehsas tab tak hum kisi aur ke ho jayenge.