Jo kahin na miley wo khushi chahiye
Dard kesa bhi ho bandagi chahiye
Duniya ki koi khuwahish nahi
Aakhirat ki zindagi chahiye
Sirf tere hee aagay haath phelaon ay Allah
Essi mujhe bebasi chahiye
Tu ho jaye raazi sanwar jaon mein
Mere maalik teri raza ki aagahi chahiye
Main jhukoon aur bas jhuka hi rahoon
Ibadat mein bas essi aajizai chahiye
Main bhatak jaon gar mere Allah tu sahara dena mujhe ko
Essi mujhe teri rehbari chahiye
Tu jab bhi koi dua kare
Mera Rab tujhe wo ata kare
Teri jholi khushion se bhari rahe
Bin mange sub wo ata kare
Tu haath uthaye baad mein
Mera Rab wo pehle ata kare