aaj raat bhi kuch ajeeb hai
zameen hai pyasi barsaat ke liye
par barsaat bhi ab barati nahi hai,
ek tumhari yaad hai jo mere dil se juda nahi hoti
ek tumhari aankhein hain jo kabhi mere liye tarasti
nahi hain.
ek mera dil hai jisme mere
armaano ka kaafila hai,.iii
Rab se aapki khawahish mangte he duva me aapki khushi mangte he, fir sochte he or kya mange rab se chalo aapko wo mil jaye jiski aap din- raat duva magte ho..
Aye Zindagi tu mujh se dagha naa kar,
Mein Zinda rahu yeh dua naa kar,
Koi dekhta hai meri jaan ko to hoti hai jalan,
Aye Hawa tu bhi usse chua naa kar.
Door kahin meri nazro se rahti hai wo,
har lamha mere khayalo me rahti hai wo.
Kaisi hai wo, kis haal me hai wo,
dil ke mere har sawaal me rahti hai wo.
Mere Jahan Mein Basi Hai Wo
Jaise Gul Mein Khushboo
Khayalon Mein Aati Jati
Mere Ahsaason Mein Shamil Wo
Chinar Ke Patton Pe Sabnam Si
Jannat Ki Fiza Hai Wo
Meri Saanson Ki Rawani
Mere Zazbaton Ki Paidaish Hai Wo
Mere Wazood Ka Ahsaas
Meri Rooh Ki Khawaish Hai Wo
Boot-E-Sangmarmar Jaise Koi
Khuda Ki Ibadat Si Hai Wo
Aaj Bhi Mere Dil Ke Aashyaan Me
Tere Pyar Ka Pehra Hai..
Mere Toote Dil Ke Tukdre Hain
Har Tukdre Me Tera Chehra Hai..
Tum Nahi Ho Paas To Kya
Tera Ehsaas To Ab Bhi Thaira Hai..
Meri Baato Me Meri Raato Me
Teri Yaado Ka Basera Hai..!
Bheegi Hui Aankhon Ka Yeh Manzar Na Milega,
Ghar Chhod Ke Mat Jao Kahi Ghar Na Milega,
Phir Yaad Bahut Aayegi Zulfon Ki Ghani Shaam,
Jab Dhoop Mein Koi Saaya Sir Par Na Milega,
Aansoo Ko Kabhi Auz Ka Katra Na Samajhna,
Aisa Tumhe Chahat Ka Samandar Nahi Milega..iii
Zara Sambhaal k
rakhna khud ko
♥♥
ye Palkey
ye Aankhey
ye Baatein
or Ek Ek saans
ki saari Raatein
♥♥
Sab kuch Meri
Amaanat hai
♥♥
k ab Tumhara kuch nahi_♥
Har kamyabi pe aap ka nam hoga,
Aap ke har kadam pe duniya ka salam hoga,
Muskilo ka samna himmat se karna,
Duya hai ek din waqt bhi aap ka gulam
hoga…
Zindagi Bhi Kitni Ajeeb Hai
Do Chaar Pal Jo Naseeb Hai
Is Pal Main Tum Hum Se Aa Milo
Yeh Pal Jo Hamare Qareeb Hain
Haathon Main Haath Leker Hum
Is Pal Ko Jee Len Aaj Hum
Bhale Is Ke Baad Zindagi Na Ho
Bas Tere Haathon Main Haath Ho
Yeh Khuwahish Mere Dil Ki Hai
Ke Tera Hi Naam Naseeb Ho
Ghar, Daftar, Dukaanon Me
Mai Soude Baaziyan Jhelta Raha,
Mai Karta Raha Viswaas Sabpar
Har Ek Is Viswaas Se Khelta Raha,
Bada Eitbaar Tha Jis Chaandni Par
Wo Bhi Juda Ho Gai,
Jara Baadal Kya Chaaye
Wo Apna Vishwaas Kho Gai,
Har Rishte Ki Gehraai Me
Meine Daulat Ka Prabhaav Dekha,
Milna Milaana To Khoob Tha
Par Unme Khushboo Ka Aabhaav Tha.