Khayal Mein Aata Hai Jab Uska Chehra,
To Labo Pe Aksar Fariyaad Aati Hai,
Hum Bhool Jaate Hai Uske Saare Sitam,
Jab Uski Thodi Si Mohabbat Yaad Aati Hai.
Kabhi Ek Lamha Aisa Bhi Aata Hai,
Jisme Beeta Hua Kal Nazar Aata Hai,
Bas Yaaden Reh Jati Hai Yaad Karna Ke Liye,
Aur Waqt Sab Kuch Lekar Guzar Jata Hai.
Umar Ki Raah Me Raaste Badal Jate Hai,
Waqt Ki Andhi Me Insaan Badal Jate Hai,
Sochte Hai Tumhe Itna Yaad Na Kare Lekin
Aankhe Band Karte Hi Irade Badal Jate Hai.
aado Ki Dhund Mein Parchayi Si Lagti Hai,
Khamoshi Mein Koi Shehnayi Si Bajti Hai,
Tum Kareeb Ho To Lagta Hai Jaise Apnapan,
Warna Mujhe To Saanse Bhi Parayi Si Lagti Hai.
Sab Ke Hote Huye Bhi Tanhai Milti Hai,
Yaadon Mein Bhi Gam Ki Parchai Milti Hai,
Jitni Bhi Dua Karte Hai Kisi Ko Pane Ki,
Utni Hi Jyada Unse Bewafai Milti Hai.
Itni Shidat Se To Barsaat Bhi Kam-Kam Barse,
Jis Tarha Aankh Teri Yaad Main Cham-Cham Barse,
Minatien Kaun Kare Ek Gharonde Ke Liye,
Keh Do Badal Se Barasna Hai To Jam-Jam Barse.
Mein Aadat Hu Uski Wo Jarurat H Meri,
Mein Farmaish Hu Uski Wo Ibadat H Meri,
Itna Assan Nahi Use DIl Se Nikal Pana,
Mein Khwab Hu Uska Aur Wo Haqiqat H Meri.
Woh Sochte Hai Mita Diya Unko Dokha Deke,
Ab Unka Mere Pass Kuch Nahi Bacha,
Par Woh Chahege Fir Bhi Itihas Ke Panno Se,
Woh Pal Nahi Mita Sakte Jo Bitaye The Kabhi Sath.
Sirf Yaadon Ka Ek Silsila Reh Gaya,
Khuda Jaane Unn Se Humara Kya Rishta Reh Gaya,
Ek Chand Chhup Gya Jaane Kaha,
Ek Sitara Use Umar Bhar Dhoondta Reh Gaya.
Har Raat Koi Ek Dhoon Gungunati Hai,
Har Phool Se Mehak Zarur Aati Hai,
Apke Mann Mein Chahe Hamara Khayl Tak Na Ho,
Par Hame To Har Waqt Aapki Yaad Aati Hai.
Kadmo Ki Duri Se Dilo Ke Fasle Nahi Badte,
Dur Hone Se Dosti Ka Ahsas Nahi Marte,
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamre Bech,
Par Koi Pal Nahi Jab Aapko Hum Yaad Nahi Karte