Adhori si hay zindagi adhoray hain hum
Bujh rahi hein saansen jal rahay hum
Badaltay mousamon nay sikhaya hay bohut kuch lekin
Panay ki hasrat mein sab kuch khoo rahay hain hum
Na maloom manzilon par qadam ruk say gaye hein
Bheer mein raaston ki taraf barh rahay hain hum
Toot kar bikhray hein khuwaab kuch is tarha
K ik arsa hua hay un ko chun rahay hain hum
Wafa hum nay ki un say ya ki bewafai
Bas us ki saza bhugat rahay hain hum
Dil mein ko rehta hay naam poochte hain log
Chor kar chala gaya mujh ko akela shehar mein
Kitne mein bik gaya daam poochte hain log
Main sungdil tha ya woh harjai
Ik yehi baat sar-e-aam poochte hain log
Kal kiya hoga mujhe khud khabar nahi
Meri mohabbat ka anjaam poochte hain log
*TANHAAI*
Har raat ghum-e-tanhai, Har shaam teri yaad aai
Laakh tujhe bhulana chaha, Us se barh kar teri yaad aai
Tujh se koi umeed bhi wabasta nahi
Iss dukh se meri aankh bhar aai
Logon ne pocha ashkon ka sabab
Bus mujhe kehna para TANHAAI
Khoon badal se baraste dekha
Phool ko shaakh pe daste dekha
Kitne bedaar khayalon ko yahan
Daam ikhlaas mein phanste dekha
Dil ka gulshan k bayaban hi raha
Aisa ujjra k na baste dekha
Khul gaya jin pe musarat ka bharam
Phir kabhi in ko na hanste dekha
Ab kahan ashk nadamat Saghar
Aastenoo ko taraste dekha
Mere ghar k ujra Aangan me koi phool khili
"Tum Yaad Aye"
Tere shhar k basny walon me koi shakhs mila
"Tum Yaad Aye"
Wo kehta tha k bad mere tum yad mujhy kar k rovo gay
Sach pocho, kisi ki Aankhon se koi ashk gira
"Tum Yaad Aye"
Har bar me tujh ko bhoolny ki khud se Qasmen khata hon
Par jab bhi kisi ne hans k mujhy jab apna kaha
"Tum Yaad Aye"
Din bhar to me es dunya ki rasmon me he khoya raha
Din guzra aur dewaron se jab dhoop dhali
"Tum Yaad Aye"
Meri har janib samandar he kinara q nahi milta
Meray dil bata mujh ko sahara q nahi milta
Mujhey is sheher me din bhar hazaron log miltey hen
Jisey me dhondney nikli hon wo piyara q nahi milta
Jisey chaha, jisey dekha, jisey socha, jisey likha
Merey mola mera us se sitara q nahi milta
Be-basi Be-kali Be-khudi de gaya
Kuch naye tajurbay, ajnabi de gaya
Sochne k liye pal ki muhlat na di
Jagnay k liye ik sadi de gaya
Lay gaya jaan-o-dil, jism se kainch kar
Haan magar, rooh ki tazgi de gaya
Uss k aanay se har ik kami mitt gai
Jaate jaate woh apni kami de gaya
Uss ki sodagari Mein be-insaaf tha
Zindagi de gaya, Zindagi le gaya
Pagal wo kar deti hogi
Ab bhi jab wo hansti hogi
Mujh ko to barbaad kiya hay
Khud bhi shayad roti hogi
Arsa beeta hay bin dekhe
Jaane ab wo kesi hogi
Us k haath ki raikhaon mein
Ik raikha meri bhi hogi
Jis din us se milna hoga
Shaam bhi us k jesi hogi
Dulhan ban kar wo is dil mein
Socho kesi lagti hogi
Jin haathon ko main ne chooma tha
Un ko ab tak takti hogi
Sun kar mera naam wo shayad
Ik lamhay ko chonkti hogi
Jaane ab wo kesi hogi
Kahin tum apni qismat ka likha tabdeel kar lete
Tau shayad hum bhi apna raasta tabdeer kar lete
Agar hum waqai kam hosla hote mohabbat mein
Marz barhne se pehle hi dawa tabdeer kar lete
Tumhari tarah jeene ka hunar aata tau phir shayad
Makaan apna wohi rakhte pata tabdeel kar lete
Mera maqsad bithana tha use jane ki jaldi thi
Mujhe dukhrra sunana tha use jane ki jaldi thi
Nahi tha waqt pas us k sunta dastaan meri
Bara lamba fasana tha use jane ki jaldi thi
Bari mudat ki khuwahish thi magar piasi rahi yaro
Galay usko lagana tha use jane ki jaldi thi
Nahi thehra wo ik lamha, jo raatein thehr jata tha
Tauq to purana tha use jane ki jaldi thi
Main Wasi rokta kese k rukna tha kahan us ne
Usey har haal jana tha, Usey jane ki jaldi thi
Youheen by sabab na phira karo koi sham ghar bhi raha karo*
wo ghzal ki sachhi kitab hy usy cupky cupky phra karo*
Koi hath bh na malaye ga jo gale melo gay tapak say*
ye nay mazaj ka shahr hy zara fasle sy mela karo*
Abhe rah mein kaye mor han koi aye ga koi jaye ga* tumhe jis nay dil say bhla dia usy bholny ki dua karo*
Mojhe ashthar si lagti han ye mohbton ki kahanyan*
Jo kaha nahen wo sona karo jo suna nahen wo kaha karo*
Kabhe hosun parda nashen bh ho zara Isqkana labas mein* Jo mein ban sanwar ky chlon mery sath tum bh chla karo*
Nahen be hajab wo chand sa k nazr ka koi asar na ho* Usy atni garme shuq sy bari deer tak na taka karo*
Ye khzan ki zard si shal mein jo udas payr hay*
Ye tumhary ghr ki bahar hay ousy aansoun se hara karo*.
Tumhare rah badalne ki baat kis se karoon?
Main apne khuwab bikharne ki baat kis se karoon?
Abhi wo jaane-e-ghazal door hay nighahon se
Abhi main jaan se guzarne ki baat kis se karoon?
Abhi tau hijr ki tarikiyan hain dono taraf
Abhi main chaand nikalne ki baat kis se karoon?
Abhi tau ghamon se nidhaal hain sabhi
Abhi main tere bicharne ki baat kis se karoon?
Meri judai k gham koi bhi nahi sunta
Tumhare baad sulaghne ki baat kis se karoon?
Gulab rut mein haseen chehro humein btao udaas kyon ho
Dilon pe beeti kahaniyan sub humein sunao udaas kyon ho
Jo ranjishen dil mein pal rahi hain munafiqat mein jo dhal rahi hain
Bhula k shikway mitta k doori galay lagao udaas kyon ho
Kitab-e-dil k tamam safon py hum ne likha hay lifz mohabbat
Humein hamari wafa k aagay saza sunao udaas kyon ho
Fareb khana bhi mashgala hay fareb dena bhi mashgala hay
Tou dil k lutnay py kisa E maatam khushi manao udaas kyon ho
Tum khafa kyun ho?
Tumhen mujh se gila kiya hay
Achanak beRukhi itni
Batao tou howa kiya hay
Manaawon kis tarha tum ko
Mujhe itna tou batla do
Agar ab ho sake tum se
Tou ye ihsaan farma do
Meri manzil mohabbat hay
Mujhe manzil pe pohcha do
Tumhari aankh mein aansu
Mujhey achay nahi lagtay
Tumharey narm honton par
Gilay achay nahi lagtay
Tumhare muskuranay se
Mera dil muskurata hay
Tumharay rooth jane se
Mera dil toot jata hay
"Us waqt ko yaad kar zara, jab uthaya jayega
Tera Janaza Tere chahne wale
Tujh par aansoun bahainge
Is say ziada kuch nahi kar payenge
Phir tujhe nahla kar kafan pehna kar
Qabar k garhay mein ja dafnayenge
Phir kuch din bhi na guzar payenge
Yahi log qehqahe lgayenge
marne walon k 7 kon marta hay
Qabron pe phir kon aya karta hay
Tujhe mare hue jab zamane guzar jayenge
Log naam bhi bhool jayenge
Bas yehi he haqiqat is dunia ki khoob ja lo
Kamiyabi chahte ho to ALLAH ki maan lo"
Main apni dosti ko shehar mein ruswa nahi karti,
Mohabbat main bhi karti hoon magar charcha nahi karti
Jo mujh se milnay aajaye main us ki dil se khadin hoon,
Jo utth k jana chahay mein usay roka nahi karti
Jisey main chhor deti hoon usey phir bhool jati hoon,
Phir us hasti ki janib main kabhi dekha nahi karti
Tera israar sarr aankhon pe k tum ko bhool jaaoon main,
Main koshish kar k dekhoon gi magar waada nahi karti
Tumhari anjuman se uth k diwanay kahan jaty
Jo wabasta huway tum se wo afsanay kahan jaty
Nikal k dair-o-kaba se agar milta na maekhana
To thukraey huway insaan khuda jany kahan jaty
Tumhari be-rukhi ne laaj rakh li badakhano ki
Tum aankhon se pila dety tou pemany kahan jaty
Chalo acha huwa kaam agai deewangi apni
Wagarna hum zamany bhar ko samhany kahan jaty
Qateel apna muqqadar ghum se begana agar hota
Tou phir apne praey hum se pehchany kahan jaty
Tujh ko paane ki is liye zid nahi karte,
K tujh ko khone ka dil nahi karta
Dil ki baat is liye nahi batate,
K apna dil dukhane ko dil nahi karta
Tu milta hai to is liye nazren nahi uthate
K phir nazren hatane ko dil nahi karta
Khaabon mein tujh ko is liye nahi sajate,
K phir se jaagne ko dil nahi karta
Apni yaadein, apni baatein le kar jana bhool gaya
Jaane wala jaldi mein tha, mill kar jana bhool gaya
Mur mur kar dekha tha usne jaate raste mein
Jese usne kehna tha kuch, jo wo kehna bhool gaya
Waqt-e-rukhsat meri aankhein ponch raha tha aanchal se
usko ghum tha itna ziyada, khud wo rona bhool gaya
Usney peshaani pe jo dast-e-shifa rakha hai
Shehr k shehr ne ik hashr utha rakha hai
Dil drakhta hay tou bas terey liye hi warna
Khaak ka dhair hon is khaak mein kiya rakha hai
Torr detey ho merey dil ko kabhi jortey ho
Tum ne tou pyaar ko kheil bana rakha hai
Aandhiyan aesi uthin bujh gaiy suraj lekin
Ek diya hum ne beher torr jala rakha hai
Kon rakhta hai yahan yaad kisi ko ae dost
Achay achon ko zamane ne bhula rakha hai