Kabhi mehrbaan tha to kabhi anjaan tha
Mera wehm tha ya wo mera gumaam tha
De kar zakhm wo marham rakhta tha
Ban raha tha ya wasey he itna nadaan tha
Mujhse bichar gaya tha wo ek roz
Wo shakhs jo meri pehchaan tha
Khuda ko chahte to kuch mil b jata
Hum ne chaha jis ko wo insaan tha
Bikhri hay kuch is tarah mohabbat usay kehna
Aankhon mein utar ayi hay wehshat usay kehna
Kehna k tere baad se g lagta nahi hay
Be-chain si rehti hay tabiyat usay kehna
Aansoun se wazon kar k ye khamosh aankhein
Karti hein roz teri ibadat usay kehna
Ye soch k badnaam na ho jaon kisi din
Kar li tere shehar se hijrat usay kehna
Mehki hay phir mere aangan mein raat ki raani
Jaagi hay tere qurb ki hasrat usay kehna
Zulf raaton si hay rangat hay ujaalon jesi
Par tabiyat hay wohi bhoolne walon jesi
Dhondta phirta hoon logon mein shahabat uski
K woh khuwaboon mein bhi lagti hay khayalon jesi
Uski baatein bhi dilaweez hein surat ki tarha
Meri sochein bhi preshaan mere baalon jesi
Uski aankhon ko kabhi ghor se dekha hay
Rone walon ki tarha jaagne walon jesi
Chaand ki simt nazar jaye tou kiya hota hay?
Raat kisi ki yaad mein guzar jaye tou kiya hota hay?
Kitni masoom ada se wo mujhe pochta hay
Jab doi dil mein utar jaye to kiya hota hay?
Mere mola tu faqat itna bata de usko
Aadmi jeete ji mar jaye tou kiya hota hay?
Koi anjan sa shakhs ka kisi pichle pehar
Aks aankhon mein thehr haye tou kiya hota hay?
Dard de k mujhe woh hansta raha or boli
Dard jab had se guzar jaye to kiya hota hay
Badnaam zamane mein muhabbat nahi karte
Dil wale tou dushman se bhi nafrat nahi karte
Ek baar jise chaha sada us k rahe phir
Hum log amaanat mein khayaanat nahi karte
Tanhai mein kar lete hain yaad aansoo baha kar
Zahir kabhi hum apni ibaadat nahi karte
Waqt aane par maloom ye ho jaaega aapko
Hum sirf dikhawe ki muhabbat nahi karte
Likhte hain faqat faqat ek tumhare liye Ghazal
Har shakhs pe hum aise enaayat nahi karte
Bohut heran hota hon, kisi se jab ye sunta hon...
K tu raaton ko tanha dair tak taron ki chaon mein...
Ab aksar apne ghar ki chhat pe betha, khuwab bunta hai...
Main aksa sochta hon, Tu mile to tujh se ye pochon...
Andheron se tumhari dosti kasy hoi hamdam?
Tumhe to shaam ki purchairon se khof aata tha.
Her shakhs he jesy rukh-e-batil sy mila ho
Aik bhi nahi aisa jo humyn dil se mila ho
Phir rah sy, rehbar sy, musafat sy gila kya
Jab hukam palat jany ka manzil sy mila ho
Andaz-e-mulaqat bhi is baar juda tha
Jesy k unhyn waqt bhi mushkil sy mila ho
Wo bakshta hay gunahe--azeem bhi lekin
Hamari chti si naiki sanbhal rakhta hay
Hum usay bhool jatay hein roshni mein
Wo taariqi mein bhi khayal rakhta hay
Jo kabhi dair se lotun to meri maa ki tarha
Wo Meray rizk ka hisa nikal rakhta hay
Gharo mein jin k diya bhi nahi hay un k liye
Fiza mein chaand sitarey uchal rakhta hay
mohabbat apne bando se kamal rakhta hay
Woh aik ALLAH hi hay jo tera or mera kharay lazawaal rakhta hay
Kabhi Un ka Naam Lena-
Kabhi Un Ki Baat Kerna-
Mera Zauq Un Ki Chahat-
Mera Shauq Un Pe Marna-
Kabhi Chalte Chalte Thamna-
Aur Tham k Beth Jana-
Kabhi Larkhara k Girna-
Aur Gir K Phir Sambhalna-
Kabhi Raat Raat Rona-
Kabhi Din Charhey Sisakna-
Kabhi Darya Darya Rehna-
Kabhi Boondh Ko Tarasna-
Hamesha Koi Wasta Hy Apna-
"YEHI ZINDAGI HY APNI
YEHI RASTA HY
Wo paani ki lehron pe kia likh raha tha
KHUDA jaane hurf-e-duaa likh raha tha
Likha tha jis ne wafa k maani adhuray
Wo shakhs pyaar ki intiha likh raha tha
Zara uski aankh se ek aansoo na nikla
Wo jis waqt lafz-e-saza likh raha tha
Muhabbat mein nafrat mili thi usay
Wo har shakhs ko be-wafa likh raha tha
Is qadar zamane waalon ne usko sataya
Wo pyaar k jazbay ko gunah likh raha tha
"Zameen pe chal na saka aasman se bhi gaya"
"Katwa ke par, wo paroda urraan se bhi gaya"
"Tabah kar gai pakkay makaan ki khuwahish"
"Main apne gaon k kachay makaan se bhi gaya"
"Parai aag mein jal k bhi kya mila mujhko"
"Usay bacha na saka, Apni jaan se bhi gaya"
"Bhulana chaha to uski bhi inteha kar di"
"Wo shakhs ab mere wehm--gumaan se bhi gaya"
"Kisi k hath ka nikla hua wo teer hoon main"
"Hadaf ko to choo na saka par kamaan se bhi gaya"