Yehi wafa ka sila hay tou koi baat nahi
Ye dard tum ne diya hay tou koi baat nahi
Itna bohut hay k tum dekhte ho saahil sy
Hum doob rahein hain tou koi baat nahi
Kis ki majaal jo mujhko kahe be-wafa
Agar ye tum ne kaha hay tou koi baat nahi
Ye mery bus mein kahan k tujh ko bhool sakun
Tu mujhko bhool chuka hay tou koi baat nahi
Ab waqt-e-judai hay mujhe ab alvida keh do
Ab phir wo tanhai hay mujhe ab alvida keh do
Main laakh bura tehra hoon doston ki nazar mein
Dil ro tau raha hay magar mujhe ab alvida keh do
Mere aansoun tau mere hain meri khushiyan tumhari hain
Mubbarak tumko ye khushiyan mujhe ab alvida keh do
Mere jaane per na rona mujhe tum yaad na karna
Main tanha tha, main tanha hoon, mujhe ab alvida keh do
Main roney se darta hon
Juda honey se darta hon
Meri ankhain batati hein
K
Main soney se darta hon
Meri ungly pakar laina
Mujhey tanha nahein karna
Ye dunya aik maila hai
Is liay
Tumhein khoney se darta hon,
Jab hansta ho to
Q
Palkon k goshay bheeg jatay hein,
Tumhein maloom hai
Main is tarha roney se darta hon,
Ye jab se khuwab daikha hai,
Mujhe tum chor jao ge
Main darta hon khuwabon se,
Main ab sone se darta hon,
Hum Se Daikhi Nahi Jati Yeh Veerani Dil Ki
Koi Samjha Hai Na Samjhay Ga Kahani Dil Ki
Tamana Ishq Ki Barbaad Kar Gayi Hum Ko
Hum Jisay Aab Bhi Kehte Hain Nadani Dil Ki
Jab Bhi Daikha Usan Dharkan Na Phir Sambhal Payi
Ab Bhi Mansoob Ussi Se Hai Rawani Dil Ki
Hum Na Badlay Magar Dunya Badal Gayi
Wohi Dil Hai Wohi Aadat Hai Purani Dil Ki
Zindagi par kitaab likhon ga
Us mein saray hisaab likhon ga
Pyaar ko waqt guzaari likh kar
Chahton ko azaab likhon ga
Hoi barbaad mohabbat kesy
Kesy bikhartay hain khuwaab likhon ga
Apni khuwahish ka tazkira kar k
Naam uska jawaab likhon ga
Uski aankhain sharab ki manind
Uska chehra gulaab likhon ga
Main us k na milne k sabab ko
Apni qismat kharab likhon ga
"SOCH LENA" Soch samajh lena qadam uthanay se pehle
Kahin gir na jao manzil aanay se pehle
Ye aandhian bari berehm huwa karti hain
Ye soch lena koi diya jalanay se pehle
Apne aangan ko pholoon se sajaye rakhna
Phool sarey chun lena khizan aanay se pehle
Tumhare seeny mein bhi ik dil dharakta hai
Ye soch lena kisi ka dil dukhanay se pehle
Umar bhar kon kisi k liye rota hai Saqi
Log aansou bahatay hain dafnanay se pehle
Humnasheen kaise bataon jazba-e-ulfat kiya hay
Khud batayi gi mohabbat mohabbat kiya hay
Ishq ko log kyun maseeha samajh bethay hain
Agar nahi ishq haqiqat tou haqiqat kiya hay
Aaya parwana gira shama par jal jal k mara
Tou ab bhi soch raha hay mohabbat kiya hay
Ishq ko bhool k jabbat ki hay dunya ko talaash
Ishq ki aag agar dozakh hay tou jannat kiya hay
Meri badli huyi rangat meri halat tou dekho
Ab tou samajh lo k mohabbat kiya hay
Zindagi Mili Zra Si Thi*
Kuch Is Me Kami Zra Si Thi"
Wo Roz Hota Gya Paas Mere*
Lekin Phir Bhi Doori Zra Si Thi"
Chand Jagte Jagte So B Gaya*
Raat Abi Beeti Zra Si Thi"
Qasoor Chashm-e-Awara Ka Zyada Tha*
Meri To Marzi Zra Si Thi"
Mohbat Bant Di Us Ne Zamane Me*
Jo Mere Hisey Me Ayi "ZRA SI THI"
Wohi sochain wohi batein wohi andaz ab bhi hay
Bohut bechain lagtay ho koi to raaz ab bhi hay
Main kaisay us ki yaadon or wadon se nigahe phairoon?
Wo mujh se roothnay wala mera hamraz ab bhi hay
Yeh tum ho is taaluq par preshaan or nadim bhi
Isi belos rishtay par mujhay to naaz ab bhi hay
Ye guzarish hai faqat muj pe meharbaan raho.....
Tum kisi aour ko dekho tu bura lagta hai.
Meri chahat ka taqaza hai mere saath raho....
Haath jo gair ka thamo tu bura lagta hai.
Ye tamanna hai tere har roop ko har pal dekhoon....
Tum mere paas se uthu tu bura lagta hai.
Roz-o-shab aaj b parwa hai tumhari muj ko.
Nahi mumkin andheron mein chiraghon ka bhuja dena,
Bohat mushkil hay meri jaan tumhein dil sy bhula dena
Tumhein ik din sataen gay meri chahat k sub jazbe,
Meri ghazlein meri nazmein mere khat bhi jala dena
Kabhi jo yaad aaon mein tumhein fursat k lamhon mein
Haseen hathon sy kaghez par mujhe likhna, mita dena
Khoon badal se baraste dekha
Phool ko shaakh pe daste dekha
Kitne bedaar khayalon ko yahan
Daam ikhlaas mein phanste dekha
Dil ka gulshan k bayaban hi raha
Aisa ujjra k na baste dekha
Khul gaya jin pe musarat ka bharam
Phir kabhi in ko na hanste dekha
Ab kahan ashk nadamat Saghar
Aastenoo ko taraste dekha
Sarapa ashk hon main ab bikhar jaon to behtar hai
Jidhar jatay hain ye baadal udhar jaon to behtar hai
Ye dil kehta hai tere shehar mein kuch din theher jaon
Magar halaat kehtay hain k ghar jaon tou behtar hai
Dilon mein farq aayen ge taalluq toot jayen ge
Jo daikha jo suna us se mukkar jaon tou begtar hai
Yahan hai kon mera jo mujhe samjhe "FARAZ"
Main koshish kar kay ab khud he sanwar jaon to begtar hai..
Tum jo hotay to mujhay kitna sahara hota
Main nay gheron ko na dukh mein pukara hota
Jitni shidat say wabasta tha mein tuj say
Kis tarha mera tere bagair guzara hota
Mujh ko yeh soch he kafi hay "Jalane k Liye"
Main na hota to koi or tumhara hota
Or hum baith k khamoshi say roye jatay Saqi
Shaam hoti sharab hoti or kisi darya ka kinara hota
Usney peshaani pe jo dast-e-shifa rakha hai
Shehr k shehr ne ik hashr utha rakha hai
Dil drakhta hay tou bas terey liye hi warna
Khaak ka dhair hon is khaak mein kiya rakha hai
Torr detey ho merey dil ko kabhi jortey ho
Tum ne tou pyaar ko kheil bana rakha hai
Aandhiyan aesi uthin bujh gaiy suraj lekin
Ek diya hum ne beher torr jala rakha hai
Kon rakhta hai yahan yaad kisi ko ae dost
Achay achon ko zamane ne bhula rakha hai
Kahin tum apni qismat ka likha tabdeel kar lete
Tau shayad hum bhi apna raasta tabdeer kar lete
Agar hum waqai kam hosla hote mohabbat mein
Marz barhne se pehle hi dawa tabdeer kar lete
Tumhari tarah jeene ka hunar aata tau phir shayad
Makaan apna wohi rakhte pata tabdeel kar lete
Nigaah-e-Yaar pe palkon ki gar lagaam na ho
Badan mein dhoor talak zindagi ka naam na ho
Wo be-naqaab jo phirta hai gali koochon mein
To kesey shehar k logon mein qatal-e-aam na ho
Mujhe yaqeen hai k dunia mein dard bhar jaen
Agar ye peenay-pilanay ka ehtemaam na ho
Bitha k samney bas dekhta rahon usey
Us k siwa mujhe dunia ka koi kaam na ho
Jo us ko dekh le ek nazar Faraz
Mere shehar ki galiyon mein kabhi shaam na h
Jab udas ho to gunguna lena mujhko,
Jab tumhara koi na bane to apna bana lena mujhko
Kabhi agar socho k tum se ziyada tumhen kon chahta hai,
To apne naam k sath phir se dohra lena mujhko
Hansne k liye to mil jayen ge hazaron tum ko,
Jab rone k liye na mile koi kandha to bula lena mujhko.
Tumhari anjuman se uth k diwanay kahan jaty
Jo wabasta huway tum se wo afsanay kahan jaty
Nikal k dair-o-kaba se agar milta na maekhana
To thukraey huway insaan khuda jany kahan jaty
Tumhari be-rukhi ne laaj rakh li badakhano ki
Tum aankhon se pila dety tou pemany kahan jaty
Chalo acha huwa kaam agai deewangi apni
Wagarna hum zamany bhar ko samhany kahan jaty
Qateel apna muqqadar ghum se begana agar hota
Tou phir apne praey hum se pehchany kahan jaty
Apni khushian luta kar us pe qurban ho jaon...
Kash kuch din us shehar mein mehman ho jaon,
Wo apna nayab dil mujh ko de de aur phir mange,
Main mukar jaon aur be-imaan ho jaon,
Wo mujh pe sitam kare har kisi ki tarha,
Main is ada par bhi meharban ho jaon,
Wo mere paon k neeche se zameen khainch le,
Aur phir main us ka aasman ho jaon,
Ab tou mujhe itni muhabat ho gai hai us se k,
Khuda koi mojzaa kare aur main us k naam ho jaon.