""Kisi roz shaam k waqt""
""Soraj k araam k waqt""
""Mil jaie sath tera""
""Hath me le k hath tera""
""Door kahien tanhaie me""
""Dunya se judaie me""
""Apne sang bitaon tujay""
""Dil ka haal sunaon tujay""
""Teri izzat ihtaram kron""
""Tere hathon ki lakiron me""
""Talash apna nam karon""
Jab wo neend se jagay tou usey bata dena
K saari raat tere paas jaga tha koi
Tum ne jab neend mein haathon ko pakra tha us k
Us shab-e-wasal saktay mein par gaya tha koi
Jab bhi aai koi muskaan tere chehre pey
Haan phir dheery se bohat muskura dia tha koi
Jab bhi takia tere sar sey hatt jata tha
Phir apni god mein sar rakh k sulata tha koi
Tum saari raat yunhi be-khabar sotey rahay
Saar raat tujhe chahat sey sulata tha koi
Darta hoon maut se magar marna zarur hay
Larazta hoon kafan se par pehenna zarur hay
Ho jata hoon ghumgeen janaze ko dekh k
Lekin mera janaza bhi uthna zarur hay
Hoti hay bari kapkapi qabron ko dekh kar
Muddaton andheri qabr mein rehna zarur hay
Dunya tau mere dil ko lubhaati hay subho shaam
Par such hay isko chor k jana zarur hay
Dhalne lagi hai shaam tere intizar mein
Ye subha kese hogi tere intizar mein
Shabnam bhi ro pari meri be-basi par aaj
Askhon se rah sajai tere intizar mein
Mera nahi yaqeen tau sitaron se poch lo
Aankhon mein shab basai hai tere intizar mein
Itna na bhoolna k mar he jaen hum
Aankhein khuli rahain gi tere intizar mein
Apni khushian luta kar us pe qurban ho jaon...
Kash kuch din us shehar mein mehman ho jaon,
Wo apna nayab dil mujh ko de de aur phir mange,
Main mukar jaon aur be-imaan ho jaon,
Wo mujh pe sitam kare har kisi ki tarha,
Main is ada par bhi meharban ho jaon,
Wo mere paon k neeche se zameen khainch le,
Aur phir main us ka aasman ho jaon,
Ab tou mujhe itni muhabat ho gai hai us se k,
Khuda koi mojzaa kare aur main us k naam ho jaon.
Wohi sochain wohi batein wohi andaz ab bhi hay
Bohut bechain lagtay ho koi to raaz ab bhi hay
Main kaisay us ki yaadon or wadon se nigahe phairoon?
Wo mujh se roothnay wala mera hamraz ab bhi hay
Yeh tum ho is taaluq par preshaan or nadim bhi
Isi belos rishtay par mujhay to naaz ab bhi hay
Khoon badal se baraste dekha
Phool ko shaakh pe daste dekha
Kitne bedaar khayalon ko yahan
Daam ikhlaas mein phanste dekha
Dil ka gulshan k bayaban hi raha
Aisa ujjra k na baste dekha
Khul gaya jin pe musarat ka bharam
Phir kabhi in ko na hanste dekha
Ab kahan ashk nadamat Saghar
Aastenoo ko taraste dekha
Beqarar Mosum Mein
Yaad K Jharokon Se
Phir Tumhi Se Milne Ki
Dil Mein Kitni Khowahish Hay
Jo Udas Rakhti Hay
Aaj Kal january Ki
Phir Udas Shamein Hn
In Ujaarr Aankhon Mein
Zard Zard Raatein Hain
Barishon K Mosum Mein
Toot Phoot Jate Hain
Jab Bhi Yaad Aatey Ho
Khud Ko Bhool Jate Hain.!
Mohabbaton Ne Kaisa Kamaal Kar Dala
Humain Tou Udaasiyon Ki Misaal Kar Dala
Kabhi Milein Tou Pouchain Gay Ik Doojay Se
K Kis Ko Kis K Ghum Ne Nidhaal Kar Dala
Tu Bata Us Se Kya Kahon Gi Main
Meri Udaasi Pe Jo Kisi Ne Sawal Kar Dala
Suna Tha Zindagi Ka Safar Bohut Mushkil Hay
Aur Hum Ne Kar K Mohabbat Isay Or Bhi Muhaal Kar Dala
Kuch Hum Bhi Maum K Thay Or Kuch Tum Ne Bhi
Zindagi Ko Shoulon Ki Shaal Kar Dala
Is shehar k logo ki ya aadat purani lagti hay
Kisi k jazbaton se khelna in ko nadani lagti hay
Jidhar dekho ek gham ka aalam milta hay
Har diwaane ki dastan kuch apni kahani lagti hay
Wo kya jane mohabbat ek nemat hay yaro
Jinko logon ki sirf surat hi suhani lagti hay
Hain tutey kuch jazbaat k mehel aisey
Gulshan ko bhi dekho tou verani lagti hay
karta hay shayad yaad wo ab bhi humein yaro
Ye dil ka dharakna is baat ki nishani lagti hay
Zaruri kaam hay lekin rozana bhool jata hon
Mujhe tum se mohabbat hay batana bhool jata hon
Tumhari galiyon mein phirna itna acha lagta hay
Main raasta yaad rakhta hon tikhana bhool jata hon
Bas itni baat pe logon ko main acha nahi lagta
Main neki tou karta hon jatana bhool jata hon
Shararat lekar aankhon mein wo uska dekhna
Main nazron pe jami nazren jhukana bhool jata hon
Mohabbat kab huyi sub yaad hay
Kyon k main kar k mohabbat ko bhulana bhool jata hon
Hum Se Daikhi Nahi Jati Yeh Veerani Dil Ki
Koi Samjha Hai Na Samjhay Ga Kahani Dil Ki
Tamana Ishq Ki Barbaad Kar Gayi Hum Ko
Hum Jisay Aab Bhi Kehte Hain Nadani Dil Ki
Jab Bhi Daikha Usan Dharkan Na Phir Sambhal Payi
Ab Bhi Mansoob Ussi Se Hai Rawani Dil Ki
Hum Na Badlay Magar Dunya Badal Gayi
Wohi Dil Hai Wohi Aadat Hai Purani Dil Ki
Ajab kurb ka aalam hay meri basti par
Ghata bhi chaai hay barsat bhi nahi hoti
Bohut kuch kehna hay tum se aaj magar
Silay hein hont koi baat bhi nahi hoti
Ajeeb rang badalta hay asar ka soraj
K shaam khafa hay or raat bhi nahi hoti
Main uski zaat ka hisa bhi ban nahi sakti
Juda us se meri zaat bhi nahi hoti
Mera maqsad bithana tha use jane ki jaldi thi
Mujhe dukhrra sunana tha use jane ki jaldi thi
Nahi tha waqt pas us k sunta dastaan meri
Bara lamba fasana tha use jane ki jaldi thi
Bari mudat ki khuwahish thi magar piasi rahi yaro
Galay usko lagana tha use jane ki jaldi thi
Nahi thehra wo ik lamha, jo raatein thehr jata tha
Tauq to purana tha use jane ki jaldi thi
Main Wasi rokta kese k rukna tha kahan us ne
Usey har haal jana tha, Usey jane ki jaldi thi
Raah-e-wafa mein sazaaon ko kon dekhega,
Safar hay dhoop ka chaaon ko kon dekhega
Hum apni zid pe aaye tou cheen lenge usay,
Us k sheher ki lambi diwaaron ko kon dekhega
Uski bazm k hum wo chiraagh hein jana,
K jab jale tou hawaaoon ko kon dekhega
Bicher tou jayen magar phir khayaal aata hay
Uski in dilkash adaaon ko kon dekhega
Khizan ki rut ka sazawar bhi nahi hota
Ye nakhl jaan k samr bar bhi nahi nahi hota
Kahan se dhoond k laatey hein zindagi ka jawaz
Woh jin ko ishq ka azaar bhi nahi hota
Warq warq woh meri daastaan hoti hai
Magar kaheen mera kirdar bhi nahi hota
Humein aziz bohut hein ye jaan-o-dil lekin
Tumhare saamne inkar bhi nahi hota
Nahi hay hasrat tameer bhi koi Tariq
Magar ye khuwab tou masmaar bhi nahi hota
Sabhi ashk aankhon mein aa gaye, Na chupa sake na bata sake
Wo jo bhed tha wo khul gaya, Koi baat bhi na chupa sake
Na wafa rahi, na jafa rahi, na wo dil raha, na hum rahe
Us ki yaad ka jo charagh tha, Na jala sake na bhuja sake
Koi zor khud pe raha nahi, Koi bus bhi us pe chala nahi
Usey dekhty rahe door tak, Magar haath tak na hila sake
Nahi is mein us ki khata koi, Na naseeb ka koi dosh tha
Ye hamara apna mizaaj tha, K kisi tarha na nibha sake
Ab teri yaad se wehshat nae hoti mujh ko
Zakham khulte hain aziyat nae hoti mujh ko
Ab koe aye, chala jaye main khush rehta hon
Ab kisi shakhs ki aadat nae hoti mujh ko
Aisay badla hoon tere shehar ki pani pi kar
Jhoot boloon to nidamat nae hoti mujh ko
Hai amaanat me khyanat so kisi ki khatir
Koe marta hai to hayrat nae hoti mujh ko
Itna masroof hoon jeene ki hawas mein "Mohsin"
Sans lene ki b fursat nahi hoti mujh ko
Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta hay
Wo ashk ban kar aankhon se rawan rehta hay
Kisi lamhay tanha honay nahi deti uski yaadein
Mere aangan mein melay ka samaan rehta hay
Har ghari dil ka daricha khula rakhtay hain
Har ghari us k aaney ka gumaan rehta hay
Log kehtay hain zakham bhar jatey hain aakhir
Zakham bhar jatey hain lekin nishaan rehta hay
Wo miley tou itna bata dena usko
Tujh bin tera ik shakhs preshaan rehta hay
Rooh be-chain dil udaas bohat hay
Bujh gai hay shama-e-umeed or aas bohat hay
Ye dard-e-judai ye hijr k lamhe
Ye fiqr ka mosam mujhe raas bohat hay
Samandar k kinare bethi hoon magar phir bhi
Sokhe hein mere hont pyaas bohat hay
Diye jab gham tau kuch na socha us ne
Ujar gaye hum tau usay ehsaas bohat hay