Jab Karna Tha Door Khuda Ne Kyun Wo Mujhe Milayi
Jis Manzil Pe Kabhi Mera Naam Nahi Tha…
Jise Paana Mere Bas Ka Kaam Nahi Tha
Kyun Raah Dikhayi Pehle Fir Baad Me Kyun Chhudwai
Aksar Baaten Karte Hain Mai Aur Meri Tanhai
Main Bhi To Kabhi Khush Rehta Tha
Har Koi Mujhe Zindadil Kehta Tha..
Kyun Chheen Li Saari Khushiyan Meri
Kyun De Di Udaasi Aur Tanhaai..
Aksar Baaten Karte Hain Mai Aur Meri Tanhai
Par Sunle Khuda Ye “RAJAN” Kehta Hai
Kya Dekar Dukh Hi Tu Khush Rehta Hai..
Kya Tujhse Koi Gila Na Karun Main
Aur Dikhaun Na Tujhse Koi Bhi Ruswaai…
Aksar Baaten Karte Hain Mai Aur Meri Tanhai…
Kaghaj Par Nahi Likhte Kuch Raaz Mohabbat Ke,
Pal Bhar Mein Bikhar Jaate Hain Alfaaz Mohabbat Ke,
Use Toot Kar Chaha Toh Hum Khud Hi Bikhar Gaye,
Aise Badal Jaate Hain Andaaj Mohabbat Ke,
Un Ki Saheliyo Se Zara Kahna, Unhe Sath Hi Laaye,
Mujhe Phir Se Sajaane Hain Kuch Khwab Mohabbat Ke,
Apni To Saase Dost Usi Waqt Mein Thee Shaamil,
Kyun Baithe Huve Chor Gaye Kuch Haath Mohabbat Ke….
Fitraton Ke Dor Se Dil Bhar Gaya,
Chada Dariya Bin Baat Utar Gaya,
Ek Nanhe Fool Sa Aaya Chaman Mein,
Aadmi Ho Baad Mein Pathar Gaya,
Dekhne Layak Bahut Kuchh Tha Jahan Mein,
Dekhte Hi Dekhte Woh Mar Gaya,
Apni Apni Najar Ka Toh Najara Hai,
Dara Sahma Vakt Aaj Gujar Gaya,
Aajkal Kuchh Alag Duniya Ke Tarike,
Judte Judte Duniya Ka Honsala Hi Bikhar Gaya…
Ek Khamosh Halchal Bani Zindagi,
Gahra Thahra Hua Jal Bani Zindagi,
Tum Bina Jaise Mahlon Mein Beeta Hua,
Urmila Ka Koi Pal Bani Zindagi,
Najar Aakash Mein Aas Ka Ek Diya,
Tum Bujhati Rahi Main Jalata Raha,
Tum Gajal Ban Gayi, Geet Mein Dhal Gayi,
Manch Se Main Tumhe Gungunata Raha….
Tum Chali Toh Gayi Man Akela Hua
Saari Yadon Ka Purjor Mela Hua
Jab Bhi Loti Nayi Khusbuon Mein Saji
Man Bhi Bela Hua Tan Mhi Bela Hua
Khud Ke Aaghat Par Vayarth Ki Baat Par
Ruthati Tum Rahi Main Manata Raha
Tum Gajal Ban Gayi Geet Mein Dhal Gayi,
Manch Se Main Tumhe Gungunata Raha…..
Main Tumhe Dhundhne Savarg Ke Dawar Tak,
Roj Jata Raha Roj Aata Raha….
Dil Apne Aap Dhadkta Hai,
Dhadkaya Nahi Jata,
Yeh Raaz-E-Mohabbat,
Har Ek Ko Bataya Nahi Jata,
Agar Ehsaas Ho Toh,
Mohabbat Ko Kar Lo Mehsoos,
Ye Woh Jazba Hai Jo Lafzon,
Mein Samjhaya Nahi Jata,
Bahut Kam Hain Log Jo,
Dil Mein Utar Jaate Hain,
Har Rah Chaltey Ko,
Apna Banaya Nahi Jata,
Main Kab Se Kitna Hu Tanha Mujhe Pata Bhi Nahi,
Tera Toh Koi Khuda Hai Mera Khuda Bhi Nahi,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Khatm Ho Gaya Hai Sab Kuchh,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Tak Toh Kuchh Hua Bhi Nahi,
Kabhi Toh Baat Ki Usne Kabhi Raha Khamosh,
Kabhi Toh Hanske Mila Aur Kabhi Mila Bhi Nahi,
Kabhi Jo Kadwi Baat Thi Woh Bhi Khatm Huyi,
Kabhi Gila Tha Hamein Unse Ab Gila Bhi Nahi,
Woh Cheekh Ubhri, Badi Der Gunji, Doob Gayi,
Har Ek Sunta Tha Lekin Koi Hila Bhi Nahi….
Sari Hairat Hai Meri Sari Ada Uksi Hai,
Begunahi Hai Meri Aur Saja Uski Hai,
Mere Alfaj Mein Jo Rang Hai Woh Uska Hai,
Mere Ehsaas Mein Jo Hai Woh Fija Uski Hai,
Sher Mere Hain Magar Unmein Mohabbat Uski,
Phool Mere Hain Magar Baade Saba Uski Hai,
Ek Mohabbat Ki Yeh Tasveer Hai Do Rango Mein,
Shok Sab Mera Hai Aur Sari Haya Uski Hai,
Ek Mere Hi Shiwa Sabko Pukare Hai Koi,
Maine Pahle Hi Kaha Tha Yeh Sada Uski Hai,
Khoon Se Sinchi Hai Maine Jo Jamee Mar Mar Ke,
Woh Jamee Ek Sitamgar Ne Kaha Uski Hai,
Usne Hi Isko Ujada Hai Ise Loota Hai,
Yeh Jamee Uski Agar Hai Bhi Toh Kya Uski Hai,
Hamne Kya Mohabbat Ki Us Se Ijajat Li Thi,
Dil Sikan Hi Sahi Par Baat Baja Uski Hai…
Aakhon Ka Kajal Sayahi Bana,
Dil Ka Bana Hai Kagaj,
Jo Juba Se Na Kaha,
Use Patr Mein Likha Samajhakar,
Khat Aaya Hai Unka,
Ji Chahta Hai Laga Lu Sine Se,
Dar Lagta Hai,
Kahin Bhig Na Jaaye Pasine Se,
Jab Tumhe Bhulna Chaahen,
Tera Khayal Aa Jata Hai,
Tera Patr Padhte Hi,
Hamein Tum Pe Payar Aa Jata Hai…
Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samjhta Hai
Magar Dharti Ki Bechaini Ko Bas Badal Samjhta Hai
Main Tujhse Dur Kaisa Hu,Tu Mujhse Dur Kaisi Hai
Yeh Tera Dil Samjhta Hai Ya Mera Dil Samjhta Hai
Mohobbat Ek Ehsason Ki Paawan Si Kahaani Hai
Kabhi Kabir Deewana Tha Kabhi Meera Diwaani Hai
Yahaan Sab Log Kehte Hain Meri Aakho Mein Aansu Hai
Jo Tu Samjhe Toh Moti Hain Jo Na Samjhe To Paani Hai
Bahut Bikhra Bahut Toota Thapede Seh Nahi Paaya
Hawaaon Ke Ishaaron Par Magar Main Beh Nahi Paaya
Adhoora AnSuna Hi Reh Gaya Yoon Pyaar Ka Kissa
Kabhi Tum Sun Nahi Paaye, Kabhi Main Keh Nahin Paaya
Bhramar Koi Kumudni Par Machal Baitha Toh Hungama
Humare Dil Mein Koi Khwaab Pal Baitha Toh Hungama
Abhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohobbat Ka
Main Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha Toh Hungama
Main Uska Hun Wo Is Ehsaas Seinkaar Karta Hai
Bhari Mehfil Mein Bhi Ruswaa Har Baar Karta Hai
Yaki Hai Saari Duniya Ko Khafa Hai Humse Woh Lekin
Mujhe Maaloom Hai Phir Bhi Mujhi Se Pyaar Karta Hai
Main Jab Bhi Tez Chalta Hoon Nazaare Chhut Jate Hain
Koi Jab Roop Gadhta Hoon To Saanche Toot Jate Hain
Main Rota Hoon To Aakar Log Kandha Thap-Thapate Hain
Main Hasta Hoon To Mujhse Log Aksar Rooth Jate Hain
Mat Poooch Ki Kya Haal Hai Mera Tere Aage
Tu Dekh Ke Kya Rang Hain Tera Mere Aage
Samandar Peed Ka Andar Hai Lekin Ro Nahi Sakta
Yeh Aansu Pyaar Ka Moti Hain Isko Kho Nahi Sakta
Meri Chahat Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le
Jo Mera Ho Nahi Paaya Woh Tera Ho Nahi Sakta
Sazi Hai Khushnuma Mehfil Sabhi Dildaar Bethe Hain
Jidhar Dekho Udhar Hi Ishq Ke Bimar Bethe Hain
Hanseeno Ki Adaon Pe Sabhi Dil Haar Bethe Hain
Hazaron Mar-Mite Aur Sainkron Tayaar Bethe Hain