Unko Apni Zindagi Yaro,
Khud Ko Unka Dilbar Bana Baithe,
Pyar Mein Unke Aaj Hum,
Apna Sab Kuchh Luta Baithe,
Zindagi Ko Kho Chuke Hain Apni,
Ek Bedardi Se Dil Lagakar,
Roshani Ho Na Saki Yaaro,
Dekha Bahut Dil Apna Jala Kar,
Pahle Haste The Najro Pe Ab Hansi Aati Hai, Mukkadar Pe Mujhe,
Dekhkar Shohrat Pyar Ki Ab Hansi Aati Hai, Mukkadar Pe Mujhe…
Ajab Apna Haal Hota, Jo Vishaale Yaar Hota,
Kabhi Jaan Sadke Hoti, Kabhi Dil Nishaar Hota,
Na Maja Hai Dushmani Mein Na Lutf Hai Dosti Mein,
Koi Gair Gair Hota, Koi Yaar Yaar Hota,
Yeh Maja Tha Dillagi Ka, Ke Barabar Aag Lagti,
Na Tumhe Karar Hota, Na Hamein Karar Hota,
Tere Waade Par Sitamgar, Abhi Aur Sabr Karte,
Agar Apni Zindagi Ka Hamein, Eitbaar Hota…
Barison Ka Intezaar Tha Dil Milne Ko Bekrar Tha,
Ek Taraf Judai Ek Taraf Unka Pyar Tha,
Kuchh Ankahi Ansuni Baatein Thi Zuban Par,
Dil Mein Kuchh Sarart Bhara Khumar Tha,
Sochha Tha Jab Milenge Khub Saari Baatein Hongi,
Par Baton Ka Kya Dil Toh Pyar Ka Beemar Tha,
Woh Pyar Deta To Shayad Gham Door Ho Jaate,
Dil Chah Kar Bhi Naa Mil Paaya Unse,
Darta Tha Fir Judaa Ho Jayega,
Pal Bhar Ka Jo Deedar Tha…
Mitti Ke Khilone Hain Yeh Tutenge Toh Jarur,
Kudrat Ki Bandishen Hain Nahin Kisi Ka Kasoor,
Is Aasmaan Ke Neeche Kya Kya Bicha Hua Hai,
Kuchh Sajavat Pass Mein Kuchh Basahat Door,
Safar Sadiyo Ke Chalenge Lakh Roke Hastiyaa,
Badi Lambi Rahgujar Hai Vakt Thak Kar Choor,
Aadmi Ki Asliyat Se Khuda Bhi Anjaan Hai,
Kabhi Toh Ahi Buland Maksad Kabhi Hai Majbur,
Aa Ka Sach Dekhna Hai Kal Ki Baatein Chhodiye,
Jaani Dushman Aaj Kal Tak Tha Najar Ka Noor…
Sad Shayari
Desire Quotes
A desire to be observed, considered, esteemed, praised, beloved, and admired by his fellows is one of the earliest as well as the keenest dispositions discovered in the heart of man.
A person shows what he is by what he does with what he has.
A shot glass of desire is greater than a pitcher of talent.
A strong passion for any object will ensure success, for the desire of the end will point out the means.
A strong passion… will insure success, for the desire of the end will point out the means.
Ah, but a man’s reach should exceed his grasp, or what’s a heaven for?
Be as you wish to seem.
Decide that you want it more than you are afraid of it
Desire is the key to motivation, but it’s the determination and commitment to an unrelenting pursuit of your goal – a commitment to excellence – that will enable you to attain the success you seek.
Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka,
Tha Jo Deevana Mar Gaya Kab Ka,
Dhundhta Tha Jo Ek Nayi Duniya,
Lotke Apne Ghar Gaya Kab Ka,
Woh Jo Laya Tha Humko Dariya Tak,
Par Akele Utar Gaya Kab Ka,
Uska Jo Haal Hai Wohi Jaane,
Apna Toh Jakham Bhar Gaya Kab Ka,
Khwab Dar Khwab Tha Jo Tana Bana,
Ab Kahan Hai Bikhar Gaya Kab Ka…
Jamana Lakh Ho Dusman Chahe Is Mohabbat Ka,
Mohabbat Karne Wale Darte Hain Is Jamane Se,
Dil Ki Baat Juba Tak Aati Kah Nahi Sakte,
Dil Li Hasrat Dil Mein Liye Rah Nahin Sakte,
Na Hi Tum Tadpo Nahi Humko Tadpao,
Do Roohe Milane Do Ek Jaan Ban Jaao,
Tum Na Aaoge Toh Marne Ki Hain So Tadbiren,
Mout Tum Toh Nahin Ho Ke Bula Bhi Na Sakun,
Hume Bhi Neend Na Aayegi Hum Bhi So Na Sakenge,
Abhi Kuchh Bekarari Hai Sitar Tum Bhi So Jaao…
Wo Mujhe Mehndi Lage Hath Dikha Kr Royi,
Main Kisi Aur Ki Hun Bas Etna Bataa Kar Royi,
Shaayad Umar Bhar Ki Judai Ka Khayaal Aaya Tha Use,
Wo Mijhe Pass Apne Bitha Kar Royi,
Dukh Ka Ehasaas Dila Kar Royi,
Kbi Kahati Thi Ki Main Nan Jee Paungi Bina Tumhare,
Aur Aaj Ye Baat Dohra Kar Royi,
Mujhse Jyada Bichdane Ka Gum Tha Use,
Waqt-A-Rukshat Wo Mujhe Seene Se Lagaa Kar Royi,
Main Bekasoor Hun Kudrat Ka Faisla Hai Yeh,
Lipat Kr Mujhse Bas Woh Itna Bataa Kar Royi,
Mujh Par Dukh Ka Pahaad Aik Aur Tutta,
Jab Woh Mere Saamne Mere Khat Jala Kar Royi,
Meri Nafrat Aur Adawat Pighal Gayi Ek Pal Mein,
Woh Bewafa Hai To Kyun Mujhe Rula Ke Royi,
Sab Gile-Shikwe Mere Ek Pal Mein Badal Gaye
Zheel Si Aakhon Mein Jab Aansu Sazaa Kar Royi,
Kaise Uski Mohabbat Par Shak Karein Hum,
Bhari Mahfil Mein Woh Mujhe Gale Lagaa Kar Royi…
Chodhavi Raat Hai Toh Khidki Ke Gira Do Parde,
Koun Jane Ki Woh Naraj Hi Raat Se Ho Jaaye,
Ek Khusboo Ki Tarah Fialate Hain Mahfil Mein,
Aise Alfaj Ada Jo Tere Lab Se Ho Jaayein,
Na Koi Ishq Hai Baaki Na Koi Parcham Hai,
Log Deewane Bhala Kis Ke Sabab Se Ho Jaayen,
Baat Toh Chhed Mere Dil Koi Kissa Toh Suna,
Kya Ajab Unke Bhi Jajbat Ajab Se Ho Jaayen…
Inhe Gira Do Khatarnak Hain Yeh,
Dallan Purane Huye,
Kunba Rakhna Theek Nahin,
Ki Daldal Huye Muhane Hain,
Upar Ki Sab Chamak Dhamak Hai,
Andar Se Hai Sade Gale,
Sadiyo Pahle Ke,
Bagiche Marghat Ke Virane Hain,
Kahne Do Jo Kahte Hain,
Sab Tum Jaano Apni Dikkat,
Batuni Humdard Purane,
Sab Jaane Pahchane Hain..
Jab Aaina Koi Dekho Ik Ajnabi Dekho,
Kahan Par Layi Hai Tumko Yeh Zindagi Dekho,
Muhabbaton Mein Kahan Apne Waste Fursat,
Jise Bhi Chaho Woh Chahe Meri Khusi Dekho,
Jo Ho Sake Toh Jyada Hi Chahna Mujhko,
Kabhi Jo Meri Mohabbat Mein Kuchh Kami Dekho,
Jo Door Jaaye Toh Gham Hai Jo Paas Aaye Toh Gham Hai,
Na Jaane Kya Hai Woh Kambakht Aadmi Dekho,
Ujala Toh Nahi Kah Sakte Isko Hum Lekin,
Jara Si Kam Toh Huyi Hai Andhkar Dekho…
Dekh Sunkar Asliyat Dil Fat Gaya,
Paake Uska Likha Khat Dil Phat Gaya,
Bhesh Sadu Ka Banakar Chal Diye,
Aisi Unki Mohabbat Dil Fat Gaya,
Ek Nanhi Jaan Aur Sitam Hazaron,
Karte Karte Ibadat Dil Phat Gaya,
Khun Ke Riste Bhi Bemani Huye Ab,
Samjhate Hi Yeh Sifat Dil Phat Gaya,
Adab Pahle Yahan Ki Pahchan Si Thi,
Beadab Ab Siyasat Dil Fat Gaya…
Hum Jaise Musafiron Ka Safar Intezaar Hai
Sabhi Khidkiyon Ke Saamne Lambi Katar Hai,
Vhamkili Sabj Aankhe Bahut Door Ja Chuki
Kin Ghantiyon Ka Raston Ko Intezar Hai,
Aawaj Fadfada Ke Wahin Dafan Ho Gayi
Seene Mein Shayad Koi Bijli Ka Taar Hai,
Suraj Kalam Sar Hai Jamin Ke Sahid Ka
Yeh Dhoop Uske Jard Badan Ki Bahar Hai,
Aayi Ninda Woh Udte Sitare Udhar Mude
In Baadliyon Ke Pichhe Koi Pahad Hai…
Sayad Tab Ehsas Karogi
Mere Pyar Ki Chaanv Tale,
Jab Gujre Din Yaad Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Aaj Tumhare Man Mein Sansay
Beej Kisi Ne Bhar Dala Hai Ya Mere Hi Kuch Labjo Ne
Dil Ko Gayal Kar Dala Hai
Jis Din Tum Apna Samjhogi
Tab Milne Ki Chah Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Yun To Jeewan Ki Raaho Mein
Kitne Sathi Mile Bichude Hain
Aur Chahe Bhale Hi Kitne
Tere Mere Beech Khade Hain
Antarman Se Main Hu Tera
Ek Din Ye Aabhaas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Man Ki Baat Nahi Samjhogi
Mrigtrasna Ban Kar Bhatkogi
Mai Baadal Bankar Barsunga
To Bhi Tum Pyasi Tadpogi
Mere Dil Mein Base Prem Ka Jis Din Vishwas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Agar Talash Karoon Koi Mil Hi Jayega
Magar Tumhari Tarah Mujhko Kaun Chahega
Tumhe Jaroor Koi Chaahton Se Dekhega
Magar Voh Aankhein Humari Kahan Se Layega
Main Apni Raah Mein Deewar Ban Ke Baitha Hoon
Agar Voh Aaya To Kis Raste Se Aayega
Tumhare Hath Ye Mausam Farishton Jaisa Hai
Tumhare Bad Ye Mausam Bahut Satayega
Chup Ho Gaya Hu Aapki Soorat Ko Dekhkar,
Karni Thi Aapse Mujhe Kitni Sikayate,
Naaj Yeh Ke Bada Sabr Mohabbat Main Kiya,
Puchhiye Sabr Na Karte Toh Bhala Kya Karte,
Chalo Achha Huaa Kaam Aa Gayi Deevanagi Apni,
Varna Jamane Bhar Ko Samjhane Kahan Jaate,
Kasoor Aankho Ka Tha Chhuri Dil Par Chal Gayi,
Dekhkar Tere Husn Ko Tabiyat Machal Gayi….
Mohabbat Ho Gayi Jinse ,
Unse Sikayat Kya Hogi,
Jubaan Tak Baat Jo Aayi ,
Yakinan Woh Dua Hogi,
Agar Woh Rooth Gaye Mujhse,
Koi Meri Hi Khata Hogi,
Ki Thi Suruaat Ek Chhote Se Majak Se,
Majak Dard Ban Jaayega, Maalum Na Tha,
Samajhte The Jise Hum Apna Yaar,
Woh Ek Din Pyar Ban Jaayega, Maalum Na Tha…
E Mere Humsafar, Tumse Itna Pyar Karne Lagi Hu,
Har Pal Me Tera Saath Chahne Lagi Hu,
E Dost Tumse Itne Sapne Sajaye Baithi Hu,
In Sapno Ko Tum Tutne Mat Dena,
Har Kadam Par Tum Mere Sath Nibhana,
Galti Hone Par Tum Muje Daant Lena,
Par Tanha Hume Na Tum Chhod Jana,
E Mere Humsafar, Tumse Itna Pyar Karne Lagi Hu,
Mere Is Pyar Ko Kbhi Tum Kum Mat Hone Dena,
Gam Me Sahi Par Khushi Me Rone Mat Dena,
Kaunsa Dard Liye Baithi Hu Kisise Na Kehna,
Kyoki Khud Se Bhi Jyada Tumhe Pyar Krne Lagi Hu….
Apna Gham Lekar Na Kahin Aur Jaya Jaaye,
Gahr Mein Bikhari Huyi Cheejo Ko Sajaya Jaaye,
Jin Chiragon Ko Hawaon Ka Khouf Nahin,
Un Chirago Ko Hawaon Se Bachaya Jaaye,
Baag Mein Jaane Ke Aadab Hua Karte Hain,
Kisi Titali Ko Na Phoolo Se Udaya Jaaye,
Khud Khusi Karne Ki Himmat Nahi Hoti Sab Mein,
Aur Kuchh Din Abhi Auron Ko Sataya Jaaye,
Ghar Se Masjid Hai Bahut Door Chalo Yun Hi,
Kisi Rote Huye Bachhe Ko Hansaya Jaaye…