Phool Ki Har Tasveer Main Jehan Ki Deevaron Se Utar Chuka Hu,
Fir Kyu Dil Mein Kanta Sa Rah Rahkar Chubhta Rahta Hai,
Majburi Thi Sabr Kiya Hai Panv Ko Tod Kar Baith Rahe Hain,
Nagri Nagri Dekh Chuke Hain Davare Davare Jhank Liya Hai,
In Aankho Ka Matwalapan Un Hoton Ko Jumbish Kam Kam,
Nasha Hain Jo Dol Raha Hai Jaadu Hai Jo Bol Raha Hai,
Yaaro Sona Chandi Bokar Sona Chandi Kaato Jaao,
Hamne Aansu Ki Kheti Kar Nain Nagar Aabad Kiya Hai,
Badr Tumhari Fikr E Sukhan Par Ek Allama Hanskar Bole,
Yeh Ladka Noumar Parinda Uncha Udna Seekh Raha Hai…
Tanhaiyan Khamoshiyan Gham Salonsal,
Ab Nahin Uthta Hai Koi Bhi Khyal,
Dard Ko Ab Kuchh Dusra Naam De Do,
Khatm Hi Hota Nahin Iska Kamal,
Haay Bachpan Ki Kahani Narm Najuk,
Laplapata Zindagi Ka Har Sawal,
Nahi Lajjat Ab Tumahare Khwab Mein Bhi,
Sikayat Kaisi Bhala Kaisa Malal,
Door Tak Hai Apni Masti Ka Surur,
Jankar Bhi Kya Karoge Mere Haal…
Agar Talash Karoon Koi Mil Hi Jayega
Magar Tumhari Tarah Mujhko Kaun Chahega
Tumhe Jaroor Koi Chaahton Se Dekhega
Magar Voh Aankhein Humari Kahan Se Layega
Main Apni Raah Mein Deewar Ban Ke Baitha Hoon
Agar Voh Aaya To Kis Raste Se Aayega
Tumhare Hath Ye Mausam Farishton Jaisa Hai
Tumhare Bad Ye Mausam Bahut Satayega
Apne College Mein Bahut Magroor Jo Mashoor Hai,
Dil Mera Kahta Hai Us Ladki Mein Hai Chahat Bahut,
Unke Chehre Chand Taaron Ki Tarah Roshan Huye,
Jin Garibon Ke Yahan Husn E Kifayat Hai Bahut,
Hum Se Ho Sakti Nahin Duniya Ki Duniya Dariyan,
Ishq Ki Deewar Ke Shaaye Mein Rahat Hai Bahut,
Dhoop Ki Chadar Mere Suraj Se Kahna Bhej De,
Gurbaton Ka Dour Hai Jaadon Ki Musibat Hai Bahut,
Un Andheron Mein Jahan Sahmi Huyi Thi Yeh Jamin,
Raat Se Tanha Lada Jugnu Mein Himmat Hai Bahut…
Apni Udas Dhoop Toh Ghar Ghar Chali Gayi
Yeh Roshni Toh Lakir Ke Bahar Chali Gayi,
Nila Safed Coat Jamee Par Bichha Diya
Fir Mujhko Aasman Par Lekar Chali Gayi,
Kab Taj Jhulsati Ret Par Chalti Tumhare Sath
Dariya Ki Mouj Dariya Ke Andar Chali Gayi,
Hum Log Unche Pul Ke Neeche Khade Rahe
Ulta The Balb Roshni Upar Chali Gayi,
Lahron Ne Gher Rakha Tha Sare Makan Ko
Machhli Kidhar Se Kamre Ke Andar Chali Gayi…
Main Kab Se Kitna Hu Tanha Mujhe Pata Bhi Nahi,
Tera Toh Koi Khuda Hai Mera Khuda Bhi Nahi,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Khatm Ho Gaya Hai Sab Kuchh,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Tak Toh Kuchh Hua Bhi Nahi,
Kabhi Toh Baat Ki Usne Kabhi Raha Khamosh,
Kabhi Toh Hanske Mila Aur Kabhi Mila Bhi Nahi,
Kabhi Jo Kadwi Baat Thi Woh Bhi Khatm Huyi,
Kabhi Gila Tha Hamein Unse Ab Gila Bhi Nahi,
Woh Cheekh Ubhri, Badi Der Gunji, Doob Gayi,
Har Ek Sunta Tha Lekin Koi Hila Bhi Nahi….
Main Khud Bhi Kab Yeh Kahta Hu Ki Sabab Nahi,
Tu Sach Hai Mujhko Chhod Bhi De Toh Ajab Nahi,
Vapas Jo Chaho Jana Toh Ja Sakte Ho Magar,
Ab Itni Door Aa Gaye Hum Dekho Ab Nahi,
Dhan Ka Jaruraton Ka Jamane Ka Dosto,
Karte Toh Hum Bhi Hain Magar Itna Adab Nahi,
Mera Pyar Hai Toh Hamesha Ke Vaste,
Tera Karam Nahi Hai Ki Ab Hai Aur Ab Nahi,
Duniya Se Kya Shikayaten Logon Se Kya Gila,
Humko Hi Zindagi Se Nibhane Ka Dhang Nahi…
Kitne Sapne Dil Mein Sajaye Tere Liye,
Raahon Me Phool Bichhaye Tere Liye,
Aati Hai Koi Yaad Teri Chupke Se,
Har Dastak Pe Bah’r Aaye Tere Liye,
Jhooti Lagti Hai Har Kahaani Duniya Ki,
Mohabbat Sacchi Nazar Aaye Tere Liye,
Likhe Rakhe Hai Jo Khat Haath Ke,
Harf-Dar-Harf Dard Badhaye Tere Liye,
Intezar Ki Ab Toh Intahaa Ho Gai Hai,
Kitna Aankhon Ko Ruulaye Tere Liye,
Mitti Ka Khilona Ban Gaya Hai,
Bas Tuut Ke Judhna Aa Jaye Tere Liye…
TUMHE GAYE HUYE BORSO HOGAYE.
TUMHARI TALASH MAIN HUM DUNIYA MAIN KHO GAYE_______
TUM KEHTE THHE AAWOGE____
DEKHO TUMHARE WADE KO BARSO HOGAY....
AB TO AA BHI JAAO KE HAM EK JHALAK KO TARASTE BARSO HOGAYE...
Patr Ke Intezar Mein,
Hokar Maayush Tera Naam Pukara,
Sara Din Dekhi Teri Raah,
Raat Mein Huye Fir Besahara,
Khat Likha Khata Huyi,
Yun Khato Ka Silsila Shuru Hua,
Hum Tum Toh Bas Door Rahe,
Do Dilon Ka Silsila Shuru Hua,
Patr Padh Lo Tum Sajan,
Najar Jhuk Jaaye Ikrar Samajh Lena,
Hoton Pe Hasi Aa Jaye,
Ise Tum Mera Pyar Samajh Lena…
Aaina kyun na dun ke tamasha kahen jise
aisa kahan se laun ke tujhasa kahen jise
hasarat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guladasta-e-nigah suveda kahen jise
phunka hai kisane goshe muhabbat mein ae khuda
afasun-e-intazar tamanna kahen jise
sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak ke sahara kahen jise
hai chashm-e-tar mein hasarat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise
Yaad Use Bhi Ek Adura Afsana Toh Hoga,
Kal Raaste Mein Usne Humko Pahchana Toh Hoga,
Dar Humko Bhi Lagta Hai Raste Ke Sannate Se,
Lekin Ek Safar Par Eh Dil Ab Jana Toh Hoga,
Kuchh Baton Ke Matlab Hain Aur Kuchh Matlab Ki Baatein,
Jo Yeh Fark Samajh Lega Woh Deewana Toh Hoga,
Dil Ki Baaatein Nahi Hain Toh Dilchasp Hi Kuchh Batein Ho,
Jinda Rahna Hai Toh Dil Ko Bahlana Toh Hoga,
Jeet Ke Bhi Woh Sarminda Hai Haar Ke Bhi Hum Garvit,
Kam Se Kam Woh Dil Hi Dil Mein Yeh Mana Toh Hoga…
Rab Mere Mahboob Ko Theek Kar De,
Taaki Baahon Mein Sama Saku,
Jiske Liye Jahar Hai Khaya ,
Woh Pyar Usko De Saku ,
Agar Aasik Nahin Toh Apna Bana Lo,
Woh Bhi Nahi To Meri Jaan Nikalo,
Roj Dar Par Aata Hu Wapis Chala Jaata Hun,
Apne Dil Ki Baat Mahlo Ko Suna Jata Hu,
Tera Naam Le Le Kar Ho Gayi Beemar ,
Rokne Se Bhi Na Rukungi Chahe Lag Jaye Sansar,
Ruk Ja Yamraj Dil Ki Baat Bata Raha Hun,
Abhi Chal Pada Bass, Main Aa Raha Hun…
Mohabbat Se, Inayat Se, Wafa Se, Chot Lagti Hai
Bikhrata Phool Hun Mujhko Hawa Se Chot Lagti Hai,
Meri Aankho Mein Aansu Ki Tarah Ek Raat Aa Jao
Taklluf Se Banavat Se Ada Se Chot Lagti Hai,
Main Sabnam Ki Jubaa Se Sabnam Ki Aawaj Sunta Hu
Ajab Ahsas Hai Apna Sada Se Chot Lagti Hai
Tujhe Khud Apni Majboori Ka Andaja Nahin Shayad
Na Kar Ahad E Wafa, Ahad E Wafa Se Chot Lagti Hai…
I Will Send My Love To You
Bit By Bit
Nothing Very Important
But Everything In It…
Being In Love With You
Is My Heart’s Habit
Nothing Is So Important Than Loving To You
Don’t Forget It…
I Will Send My Love To You
Bit By Bit
These Are The Word From Heart
Not Created By Wit…
Bazaron Ki Chahal Pahal Se Roshan Hai
In Aankhon Mein Mandir Jaisi Sham Kahan,
Main Usko Pahchan Nahi Paya Toh Kya
Yaad Use Bhi Aaya Mera Naam Kahan,
Din Bhar Suraj Kiska Pichha Karta Hai
Roj Pahadi Par Jati Hai Sham Kahan,
Logo Ko Suraj Ka Dhoka Hota Hai
Aansu Bankar Chamka Mera Naam Kahan,
Dalano Ki Dhoop Chhaton Ki Sham Kahan
Ghar Ke Bahar Ghar Jaisa Aaram Kahan…
BatooL ne Maqbool ko
Kehkashan ne Rukayya ko
Shakooran ne Hameedan ko
Surayya ne Sultana ko
Affan DaDa ne jin ko
Kaalu Malang ne Umair dumby ko
Waqas Lambe ne Bilal ganje ko
Salamu ne khan dabba pack ko
Adil Papad ne Faizan the great ko
Nisar Bhangi ne Danish Dangar ko
Imran siyane ne Raza topi ko
Ahsan chawal ne Waqas charsi ko
Faisal Tanha ne Sajid chariya ko
Or
Nisar Tensn ne mujko
Or mene aap ko ye SMS snd kiya.
Mujhe Chahna Bhool Jana, Ye Tere Haq Ki Baat Hai
Teri Zustzu Teri Ibaadat, Meri Jindgi Ka Kaam Hai
Jeewan Ke Safar Me Humraah Bnana Chahte Hain
Khuda Ki Kasam Hum Tumhe Bhout Chahte Hain
Tere Naam Ke Aane Se Kyu Mera Naam Badnaam Ho Gaya
Mohabbat To Chupkar Ki Thi Charcha Kyu Ye Aam Ho Gaya
Mera Pyar Koyi Shouq Nhi Dil Lgane Ka
Dekha Jab Husn To Ishq Pharma Diya
Muqabala Hum Se Na Karo Apani Wafa-E-Mohabbat Ka
Janmo-Janm Mohabbat Me Jaan Deneki Kasam Khai Hai…
Paro Mein Noor Hai Udan Mein Hararat Hai
Lahu Hawa Mein Kisi Subah Ki Sahadat Hai,
Kisi Ka Pyar Mujhe Na Der Tak Rok Saka
Mere Badan Mein Hawa Ki Koi Khayalat Hai,
Fiza Mein Dhuni Huyi Ruyi Ke Jaire Mile
Kahan Kahan Mere Ehsas Ki Komlata Hai,
Safed Barf Ke Khargosh Gud Gudane Lage
Latif Sardiyo Mein Narm Narm Garmi Hai…
Sab Tamannayein Ho Puri, Koi Khwaish Bhi Rahe,
Chahta Woh Hai, Mohabbat Mein Numaish Bhi Rahe,
Aasmaa Chume Mere Pankh, Teri Rahmat Se,
Aur Kisi Ped Ki Dali Pe Rihaish Bhi Rahe,
Usne Sompa Nahi Mujhe Mere Hisse Ka Vajud,
Uski Koshish Hai Ke Mujhse Meri Ranjish Bhi Rahe,
Mujhko Maalum Hai, Mera Hai Woh, Main Uska Hu,
Uski Chahat Hai Ke Rashmon Ki Yeh Bandish Bhi Rahe,
Mosmon Se Rahein Vishvas Ke Aise Riste,
Kuchh Adavat Bhi Rahe, Thodi Navajish Bhi Rahe….