Khwab To Humne Bhi Dekha Tha Aashiyane Ka,
Varna Shauk Humko Bhi Nahi Tha Veerane Ka.
Base Basaaye Nasheman Per Girate Hain Bijliyan,
Dastoor Ye Maloom Nahi Tha Zalim Zamaane Ka.
Apno Ke Beech Zindagi Aise Jiya Nahi Karte
Akele Rehkar Apno Ko Tadpaya Nahi Karte
Jo Thama Hai Haath Pyar Se Kisi Ne Aapka
Use Juda Rehne Ki Baat Kiya Nahi Karte
Maatam Hai Pyar Ka Roti Hain Hasratein,
Kahan Gayin Zaalim Voh Teri Mohabbatein,
Main Tujhko Bhool Jayoon, Mumkin Nahi Ye,
Mujhe Yaad Aa Rahi Hain Voh Teri Kurbatein.
Meri Khushiyon Ko Mitaane Par Tuli Hai Duniya
Dekh Kar Mera Aashiyan Jaane Kyon Jali Hai Duniya
Mere Hontho Par Tabssum Kya Sajne Lage Fir
Purane Dushmano Ki Tarah Mujhse Mili Hai Duniya.
Ye Hassi Bhi Koi Nakaab Hai Jahaan Chaha Humne Gira Liya
Kabhi Uska Dard Chhupa Gaye Kabhi Apna Dard Chhupa Gaye
Mere Daayein Haath Ki Ungliyan To Andheri Raat Ki Shamayein Hain
Ye Tamaam Badan Hai Mom Ka Voh Isliye To Jala Gaye.
Tanhai ka ehsaas mujhe aaj ho raha hain,
Zindagi sitam kr rhi h or muje pyar ho rha h,
Labo pe unka nam or dil me ekraar ho rha h
Aap kya jaano mere dil ka haal,
Mujhe pyar ho rha hai, muje pyar ho rha hai
Aaj Tu To Kya, Tere Nakshe Kadam Bhi Nahi,
Badnashib Hoon Magar, Zalim Tum Bhi Kam Nahi.
Log Kehte Hain Mohabbat Mein Mil Jata Khuda,
Meri Kismat Mein Tera Saath Bhi Nahi.
Un pyari yado ka ehsash rehne do,
Dil aur juban par bas usi ka ehsash rehne do,
Ye dastur h meri zindgi ka chahe khud raho udash par dusro ko udash na rehne do
One Day Pages Of My Life Will End.
But If I Get A Chance To Read It,
It Will Open Where I Met U.
Because U Are One
Of The Mst Butiful Chapter In My Life.
Umar Ki Rah Me Raste Badal Jate Hain, Waqt Ki Aandhi Me Insan Badal Jate Hain,
Sochte Hai Tumhe Itna Yaad Na Kare,
Lekin Aankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hain.
Jan Ke Anjan Banna Achha Lagta Hai,
Usko Apne Liye Pareshan Karna Achha Lagta Hai,
Wo Karti Rhe Pyar Ka Iqrar Bar Bar,
Aur Mujko Nadan Ban Ke Sunna Achha Lagta Hai.
Voh Bujhe Gharon Ka Chirag Tha, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho
Use Le Gayi Hai Kahan Hawa, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho
Kayin Log Jaan Se Jayenge Mere Kaatilon Ki Talash Mein
Mere Katal Mein Mera Haath Tha, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho
Vo Tamaam Duniya Ke Vaste Jo Mohabbaton Ki Mishal Tha
Vohi Apne Ghar Mein Tha Bewafa, Ye Kabhi Kisi Ko Khabar Na Ho.
Aap Bewafa Honge Socha Hi Nahi Tha,
Tum Bhi Kabhi Khafa Honge Socha Hi Nahi Tha.
Jo Geet Likhe The Kabhi Pyar Par Tere,
Vahi Geet Rusva Honge Socha Hi Nahi Tha.
Jo Meri Baat Ka Us Tak Asar gaya Hota
Khuda Gawah Hai Chehra Utar Gaya Hota
Ajab Qism Ki Shakal Ubhri Thi Lafzon Se
Kitaab band Na Kerta To Dar Gaya Hota..!