Khushi Ke Ye Pal Aap Yu Hi Sambhale Rakhna,
Ye Kaliyon Se Pyari Muskan Yu Hi Khilaye Rakhna,
Pyar Ki Yeh Mehfil Yu Hi Sajaye Rakhna,
Aur Dosti Ki Ye Khushboo Yu Hi Mehkaye Rakhna.
Kabhi Dosti Karne Ka Hisab Na Aaya,
Kabhi Kisi Bhi Sawal Ka Jawab Na Aaya,
Hum To Jagte Rahe Tumhari Hi Socho Mein,
Aur Tumhe Soo Kar Bhi Hamara Khawab Na Aaya.
Dosti Ka Ristha Do Anjano Ko Jod Deta Hai,
Har Kadam Par Zindagi Ko Naya Mod Deta Hai,
Saccha Dost Sath Deta Hai Tab,
Jab Apna Saya Bhi Sath Chod Deta Hai.
Haste dilo me gham bhi hai,
muskurati aankhe kabhi nam bhi hai,
dua karte hai aapki hansi kabhi na ruke,
kyunki apki muskurahat ke deewane hum
bhi hai…
"दिल से दिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं,
तुफानो में साहिल बड़ी मुश्किल से मिलते हैं,
यूँ तो मिल जाता है हर कोई,
मगर आप जैसे दोस्त नसीब वालों को मिलते हैं."
Mujh Se Itna Rishta To Banaye Rakhna,
Meri Dosti Ko Dil Mein Tum Basaye Rakhna,
Waqt Ko Koi Baandh Nahi Paya Aa J Tak,
Par Tum Iss Dosti Ko Palko’n Pe Sajaye Rakhna.
Dekha hai humane bhi aajma kar,
De jate hai dhokha log karib aakar!
Kahati hai duniya magar dil nhi manta,
Kya aap v bhool jaoge hume apna Dost banakr..
Woh yaad nahi karte,
Hum bhula nahi sakte.
Woh hansa nahi sakte,
Hum rula nahi sakte.
Dosti itni khoobsurat hai hamaari ki...
Woh bata nahi sakte,
Aur hum jata nahi sakte.
Sweet
Din Beet Jate Hai Suhani Yaad De Kar
Baate Reh Jaati Hai Kahani Bankar
Par Dost To Hamesha Dil Ke Karib Rahenge
Kabhi Muskaan Bankar To Kabhi Aankho Ka Paani Bankar.
Hum Khud Pe Garoor Nahi Karte,
Kisi Ko Dosti Karne Pe Majboor Nahin Kiya Karte,
Magar Jise Ek Baar Dil Mein Basa Le,
Use Marte Dum Tak Dil Se Door Nahin Kiya Karte.
Uske Sath Rahte Rahte Hame Chahat Si Ho Gayi,
Usse Baat Karte Karte Hamein Aadat Si Ho Gayi,
Ek Pal B Na Mile To Najane Becheni Si Rehti Hai,
Dosti Nibhate Nibhate Hume Mohabbat Si Ho Gayi