ZINDAGI bewafa kyun hoti hy.
WAFA karny ki saza kyun hoti hy.
Choti c baat pe baha dety hain KHOON.
Insan mein itni ANNA kyun hoti hy.
Karta hun mein jis se baar baar TAUBA.
Elahi mujh se wohi KHATA kyun hoti hy.
Banaaty tu hain hum apnay haathon se MASJID.
NAMAZ apni he phir QAZA kyun hoti hy?
Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..
Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..
Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???
Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..
ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .
Agar Kush Hai Woh Dekh Kar Ansu
Meri Ankhon Me,
To Khuda Ki Kasam Hum Muskurana
Hi Chod Denge.
Tadapte Rahenge Use Dekhne Ko
Magar Uski Taraf Palke Uthana Hi
Chod Denge.
Wo Manjil Hi Kya Meri Jo Dukh De Us
Ko,
Khuda Ki Kasam Us Manjil Pe Hum
Jana Hi Chod Denge!
Zara si baat par barson ke yaraane gaye,
Lekin itna to hua ki kuchh log pehchane to gaye.
Garmi-e-mehfil fakat ek nara-e-mastana hai,
Aur woh khush hain ki is mehfil se diwane to gaye.
Main ise shohrat kahun, ki apni ruswai kahun,
Mujhse pehle us gali mein, mere afsane gaye.
Vehshatein kuchh is tarah apna mukaddar ho gayin,
Hum jahan pahunche, hamare saath veerane gaye.
Log kehte hai,
Kisi Ek ke jane se humari zindagi nahi ruk jati,
Lekin ye koi nahi janta,
ki lakho ke mil jane se bhi..
us EK ki kami puri nahi ho pati!
Ek Hasrat Thi Ki Unke Dil Mein Panah Milegi,
Kya Pata Tha Unse Mohabbat Ki Saja Milegi,
Na Apno Ne Samjha Na Gairon Ne Jaaana,
Kya Pata Tha Meri Taqdir Hi Mujhe Bewafa Milegi !!!
Chup kar kahi kisi or se dosti nahi ki,
mene kiya tha pyar .. pyar ka karja chuka diya,
logo ne poochha jab udasi ka sabab……
to kore kagaj par toota hua dil bana diya…