Pyar me tere jee raha hai koi,
.
Yaad tujhe din raat kiye jaa raha hai koi,
.
Asar ye pyar ka na jana koi,
.
Mohabbat me tujhe khuda keh gaya hai koi...
Agar ban mein rehna mukadar hai,
Aur yeh aik teh-shuda amar bhi hai,
Ke har ban mein bas bherriye muntazir hain mere,
Tou yeh sochti hoon,
Ke is soorat-e-haal mein,
Kyon na phir,
Apni marzi ke jungle mein ja basoon…
Nanhi larki,
Sahil ke itne nazdeek,
Rait se apna ghar na bana,
Koi sarkash mauj idhar ayi, to
Tere ghar ki bunyadein tak beh jayen gi,
Aur phir un ki yaad mein tu,
Saari umar udaas rahe gi..
Aap apnay qareeb aanay nahin daitay,
Khud ko seenay say laganay nahin daitay,
Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay,
magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay,
aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth’tay hain to phir mananay nahin daitay.
Sweet
Mohabbat karne wale ko diwana kah diya.. Pyar me jalne wale ko parwana kah diya...dafna diya apni mohabbat ko pauharo ke neche .,use logo ne mumtaz ka aashyana kah diya.?
Zindgi Dene Wale Marta Chod Gaye,
Apnapan Jatane Wale Tanha Chod Gaye,
Jab Padi Jarurat Hume Apne Humsafar Ki,
Wo Jo Saath Chalne Wale Apna Rasta Mod Gaye.
Mohabbat Mangi Thi Mohabbat K Badle;
Tum Wo B Humko De Na Sake
Dil Ko Chaha Jab Kahi Aur Behlana;
Is Bat Ko B Tum Seh Na Sake
Hum Kisi Ko Apna Banaye Yaha;
Shayad Ye Kismat Ko Manzoor Nahi Tha
Apka Is Qadar Ruthna Humse;
Shayad Ye Mohabbat Ka Dastoor Nahi Tha...
Anaa parast hai itnaa ke baat se pehle,
Woh uth ke band meri har kitab karde ga,
Main sach kahoon ga per haar jaaon ga,
Woh jhoot boley ga aur la’jawaab karde ga..
Ye Chubhan Akaile pan ki
Ye lagan udas Shab se,
Main hawa se larr raha hoon
Tujhe kya bataun kab se,,
Ye sehr ki Sazishen theen,
K ye inteqaam-e-shab tha,
Mujhe zindagi ka sooraj
Na bacha saka Ghazab se,
Tere naam se shafa ho!
Koi zakham wo ataa kar,
Mere nama-bar! Mile to,
Usy kehna ye adab se,
Wo jawaan ruton ki shaamein,
Kahan kho gai hain ,,,!
Main to bujh k Reh gaya hon
Wo bichar gaya hai jab se,,