Surat unki khayalo se kyu nahi jati ,
Neend hai aankho me magar kyun nahi aati ,
Wo sath thi to mout ka khouf tha ,
Ab tanha hu to mout kyu nahi aati - ?
Muskurate labo ko aashu pila diya,
MOhabbat ka karz tha usne chukka diya,
Maine kaha Dil me mohabbat ki roshani kardo,
Usne is bahane Dil hi jala diya..
Hamare Dil Mein Hain Mahfooz Chand Taaj Mahal
Jinhein Ham Apnaa Muqaddar Banaaye Baithe Hain
Zamaanaa Dekhaa Hai Ham Ne Hamaari Qadr Karo
Ham Apnii Aankhon Mein Duniyaa Basaaye Baithe
Hain
Ham Apni Zaat Se Ik ‘Ahd Hain Magar Iqbaal
Ham Apne Aap Ko Qisaa Bhulaaye Baithe Hain
Kuchh Aise Zakhm Bhi Ham Dil Pe Khaaye Baithe
Hain
Jo Chaarasaazon Kii Zid Se Chhupaaye Baithe Hain
Na Jaane Kaun Saa Aansoo Kisii Se Kyaa Kah De
Ham Is Khayaal Se Nazrein Jhukaaye Baithe Hain
Na Khauf-E-Baad-E-Mukhaalif, Na Intezaar-E-
Sahar
Ham Apne Ghar Ke Diye Khud Bujhaaye Baithe
Hain
Hamaaraa Zauq Khudaa, Vaqt Kaa Mizaaj Jadaa
Ham Ek Goshe Mein Khud Ko Chhupaaye Baithe
Hain
Taraste the jo hamse milne ko kabhi….
Na jane q aaj mere saye se bhi wo katrate hain….
Ham bhi wahi hain;dil bhi wahi hai;
Na jane q log badal jate hain…
puspendar singh
Woh To Deewane The Jo Tanha Chhor Gaye
Wo Na Ruk Sake To Ankho Mein Apna Saaya Chhor Gaye
Hume Gham Hai Is Baat Ka
Ke Woh Dil Se Kiya Wada, Hathon Se Tor Gaye…
Paiya tumiko to hum ko laga tumko kho
diya,
hum dil pe roye aur yeh dil hum pe ro
diya.
Kyo eske fansle hume manjur ho gaye,
kitne huye karib ke hum door ho gaye…
Apni yadaain apni batain lay kar jana
bhool gayqa.
Janay wala jaldi main tha mil kar jana
bhool gaya.
Mur mur kar daikha tha usnay jatay
jatay rastay main.
Jaisay usnay kahna tha kuch jo wo
kehna bhool gaya
Khan Sagarr Se7en575
tum milo na milo
milne ka gam nahi
pas se gujar jao
milne se kam nahi
hame maloom hai
tumhe hamari kadar nahi
par jakar puchho unse
jinhe hum hasil nahi!!
NA UMMID TERE AANE KI HAI_NA GUM TERE JAANE KA...DARD TO WAISE HAR KISIKO HOTI HAI AALAM_E_JUDAI KA....AAJ SE TUJHE BHULENGE HUM....WARNA GUM SEHNA HOGA TERI BEWAFAI KA....SKT
Waqt ki aanch me
patthar bhi pighal jate hai,
Khushi ke lamhe gam me badal jate hai,
Q krega hum ko yaad koi,
Waqt ke sath sath khayalat jo badal jate hai.