Har baar unki salamati ki dua karenge,
unki aarzu me apni hasti fanah karenge,
wo chahe daaman bachale humse lekin,
hum marte dam tak unse Wafa karenge..
Aaj Jab Dekha To Bahut Khush Tha Wo,
Mere Jaane Se Use Har Khushi Mil Gayi,
Wo Bewafa Kyon Hua Ye Aaj Samajh Aaya
Meri Dua Uski Khushi Ki Thi Jo Qabool Ho Gayi.
Abhi me zinda hu..par zindagi hehi nahi..
Aaj me udas hu..par aankhomeaansu nahi..
Kisiki yaad he basi sine me..parhakikat me wo nahi..
Pyar ka pyasa to me bhi hu..parpyar karnewali wo yaha nahi..
Bas aise hi zinda hu..par ye zindgi, zindgi nahi..
Har Ek Chehray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Keho
Yeh Zindagi Tu Hai Rehmat Issay Saza Na Keho
Na Jaanay Ko Koun Si Majbooriyon Ka Qaidi Ho
Who Saath Choor Gaya Hai Tu Bewafa Na Keho
Tamam Shehar Nay Nazron Pay Kion Uchaala
Mujhay
Yeh Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsaa Na Keho
Yeh Aur Baat K Dushman Howa Hai Aaj Magar
Who Mera Dost Tha Kal Tak Ussay Bura Na Keho
Humaray Aaib Humain Ungliyon Pay Ginwaao
Humari Peet K Peechay Humain Bura Na Keho
Badi koshish ke baad
unhe
bhula diya ,
Unki yaadon ko dil se
mita
diya ,,
Ek din fir unka paigam
aaya
likha tha mujhe bhool
jao ,
Aur mujhe bhula hua har
lamha yaad dila diya!*!
Taqdeer ne jese chaha vese dhal gye hum Bahut sambhal k chale fir bhi fisal gye hum Kisi ne viswas toda toh kabhi kisi ne dil, Aur logon ko lagta hain ki badal gaye hum
Humari Dastan Sune Se Pehley Ro Diya
Humarey Dard Se Ashna Woh Pehley Se Tha
Baat Nikalne Pe Woh Le Behta Purani Ranjeshein
Asa Lagta Hai K Woh Mujh Se Khafa Pehley Se Tha
khete he zindagi ek kahani hai, Magar hum to ek badnam kissa bankar reh gaye. khud ki zindagi ki kahani to likhi nhi. auro ki kahani ka ek hissa bankar reeh geye
By Hareram
Kaisa Ye Rishta Hai Jo Nibhana Padta Hai;
Dard Dil Ko Hota Hai Aur Hame Chupana Padta Hai;
Saza Mili Hai Ankho Ko Rone Ki;
Aur In Badnaseeb Labo Ko Muskurana Padta Hai!!!
Dill mera bedard kitna hai yaron,
Sochta hai khoya nhi kuch bhi,
Phir bhi kisi kone main baitha
dill ko samjha raha hai,
Ro rokar dill ko judai ka ehssas kra raha hai...
Apne Sitam Ka Dekh Lena Qud Hi Asar Tum
Zakhm-e-Jigar Dikhayenge Tumhe Kisi Roz
Jo Zahar Peete Rahe Yunhi Hum
Hum Keh Rahe Hain Jaan Ganwayenge Kisi Roz