Zaruri kaam hay lekin rozana bhool jata hon
Mujhe tum se mohabbat hay batana bhool jata hon
Tumhari galiyon mein phirna itna acha lagta hay
Main raasta yaad rakhta hon tikhana bhool jata hon
Bas itni baat pe logon ko main acha nahi lagta
Main neki tou karta hon jatana bhool jata hon
Shararat lekar aankhon mein wo uska dekhna
Main nazron pe jami nazren jhukana bhool jata hon
Mohabbat kab huyi sub yaad hay
Kyon k main kar k mohabbat ko bhulana bhool jata hon
Agar kaho tou haal dil sunaaon tumko
Tamaam umar saamne bithaaon tumko
Mere zakhmon ka haal poocho ager jaan-e-jaan
Tou ek ek zakhm ki tafseel sunaaon tumko
Mout ki neen se bhi gehri ek neend hoti hai
Tere baazoun ka ho takya tou dikhaaon tumko
Yehi dua hai k wo waqt aaye ek baar phir
Tum jo rootho tou haath jor kar manaaon tumko
Har shakhs mein mujhe ek raqeeb nazar aata hai
Bol ae mere hum nawa kis kis ki nazar se bachaaon tumko
Zara tum shaam dhalne do
K suraj ko tou jane do
Parindo ko tou urne do
Zara tum shaam dhalne do
Abhi tou aasman ka rang nikhre ga
Abhi khushbo bhi bikhre gi
Abhi mosam bhi badle ga
Abhi tou chaand nikle ga
Abhi manzar badalne mein zara si dair baqi hay
Abhi dil k sambhalne mein zara si dair baqi hay
Chale Jana!
Abhi do chaar pal, do chaar sidiyan saath rehne do
Mujhe kuch aaj kehne do
Bus apne paas rehne do
Mujhe itna tou kehne do
"Mujhe tum se Mohabbat hay"
Door reh kar kareeb kitnay hein,
Faslay bhi ajeeb kitnay hein
Dard-E-dil ki dawa nahi warna,
Es jahan mein tabeeb kitnay hein
Umer bhar sath jo rahay teray,
Us k achay naseeb kitnay hein
Kyun na aaye tum meray sapno mein,
Meray shikaway bhi ajeeb kitnay hein
Tum apni ankhon ki kaali shaam mere naam kardo
Phir chahay jo ilzam mere naam kardo
Ik umer se tumhari chahat basi hai dil mein
Tum bhi apni har tamana mujhe daan kardo
Mein khuley asmaan taley khara hon
Tum apni mohabbat ki rida mujh par dhaal kardo
Mohabbat to hai iqrar ki muhtaaj
Tum apna har lafz har shair mere naam kardo
Nahi mumkin andheron mein chiraghon ka bhuja dena,
Bohat mushkil hay meri jaan tumhein dil sy bhula dena
Tumhein ik din sataen gay meri chahat k sub jazbe,
Meri ghazlein meri nazmein mere khat bhi jala dena
Kabhi jo yaad aaon mein tumhein fursat k lamhon mein
Haseen hathon sy kaghez par mujhe likhna, mita dena
Udas Mosam mein muskrana
Na Tere Bas Mein
Na Mere Bas Mein
Judai k rog ko chupana
Na Tere Bas Mein
Na Mere Bas Mein
Wo fasl-e-gul to ab dhal chuki hy
Chita Mohabbat ki jal chuki hy
Wafa ki maiyt ko ab uthana
Na Tere Bas Mein
Na Mere Bas Mein
Wo pyar k pal Wo chan raten
Wo dil nashen phool jesi baten
Haseen yaadon ko bhool jana
Na Tere Bas Mein
Na Mere Bas Mein
"Aakhirat ko bhool betha fikr-e-dunya k evaz"
"Mout ka hamla achanak bekhabar kesa laga?"
"Hanste hanste tou ne dunya mein guzari zindagi"
"Ab naya zair-e-zamin ye tang ghar kesa laga?"
"Dafan kar k qabar mein sub berukhi se chal diye"
"Jis se tu manus tha ab wo bashar kesa laga?"
"Tu hansa karta tha auroon ko preshan dekh kar"
"Chal diya apno ko rota chor kar kesa laga?"
"Ab na wo takya mulayam aur na wo bistar narm"
"Jism pe 2 gaz kafan mitti pe sir kesa laga?"
"SOCH LENA" Soch samajh lena qadam uthanay se pehle
Kahin gir na jao manzil aanay se pehle
Ye aandhian bari berehm huwa karti hain
Ye soch lena koi diya jalanay se pehle
Apne aangan ko pholoon se sajaye rakhna
Phool sarey chun lena khizan aanay se pehle
Tumhare seeny mein bhi ik dil dharakta hai
Ye soch lena kisi ka dil dukhanay se pehle
Umar bhar kon kisi k liye rota hai Saqi
Log aansou bahatay hain dafnanay se pehle
Mujhe or kahin le chalo
Jahan raat kabhi soi na ho
Jahan subha kisi pe roi na ho
Jahan hijr ne wehshat boi na ho
Jahan koi cheez kisi ki koi na ho
Jahan log hon sare begane
Jahan sab k sab hon deewane
Jahan koi jhoot ho na afsane
Jahan koi hum ko na pehchaane
Mujhe aur kahin le chalo
Jahan nafrat dil mein bas na sake
Jahan koi kisi ko dass na sake
Jahan koi kisi pe hans na sake
Mujhe aru kahin le chalo
Ajab kurb ka aalam hay meri basti par
Ghata bhi chaai hay barsat bhi nahi hoti
Bohut kuch kehna hay tum se aaj magar
Silay hein hont koi baat bhi nahi hoti
Ajeeb rang badalta hay asar ka soraj
K shaam khafa hay or raat bhi nahi hoti
Main uski zaat ka hisa bhi ban nahi sakti
Juda us se meri zaat bhi nahi hoti
Khaali kaghaz pe harf sajaya karta tha
Tanhai mein shehar basaya karta tha
Kesa pagal shakhs tha saari saari raat
Dewaron ko dard sunaya karta tha
Ro deta tha aap hi apni baton par
Or phir khud ko aap hansaya karta tha
Jalne lagti laho mein judai tou deta
Tanhaion ki khaak uraya karta tha
Yaro be-waqt howa pyaar usey le doba
Jo logon ko pyaar k gur sikhaya karta tha
Kab hui pyaar ki barsat hume yaad nahi Khof may doobi mulaqat hume yaad nahi Hum to mdhosh thay kuch itna us ki chahat may Us ne kab chor dia saath hume yaad nahi Zindagi jabr-e-musalsal ki trah kati hai Janay kis jurm ki pae hai saza yaad nahi Main ne palko se dar-e-yar dstak di hai Main wo sahil hun jisay koi sada yaad nahi Aao 1 sajda karain aalam-e-madhoshi mein Log kehtay hain k saghar ko khuda yaad nahi
Jurme ulfat mein log hamen saza dete hen
Kitne nadan hen sholon ko hawa dete hen
Kaise mumkin he dil bhi jale aur duhwan na ho
Chot parti he to pathar bhi sada dete hen
Aap se to guzra he waqt do ghari ka
Log to sadion ki muhabbat ko bhula dete hen
Bas jahan bhi raho sada khush raho
Is aakhri mulaqat men yahi "Dua" dete hen
Kon yad rakhta he kisi ko bichar jane k bad
Ghar ki dehleas chorte hi apne bhi bhula dete hen
Raah-e-wafa mein sazaaon ko kon dekhega,
Safar hay dhoop ka chaaon ko kon dekhega
Hum apni zid pe aaye tou cheen lenge usay,
Us k sheher ki lambi diwaaron ko kon dekhega
Uski bazm k hum wo chiraagh hein jana,
K jab jale tou hawaaoon ko kon dekhega
Bicher tou jayen magar phir khayaal aata hay
Uski in dilkash adaaon ko kon dekhega
Ajnabi shehar k ajnabi raaste,
Meri tanhai pe muskurate rahe
Main bohut dair tak yunhi chalta raha,
Zeher milta raha zeher pedaricha khula
Hum bhi goya kisi taar k saaz they,
Choat khate rahe gungunate rahe
Ajnabi shehar k ajnabi raaste,
Meri tanhai pe muskurate rahe.
"PHIR SO JANA"
Sukoot-e-jan ka matlab bata do PHIR SO JANA,
Ya phir sargoshiyan dil ki suna do PHIR SO JANA
Jo mera aur tumhara waqt guzra hansne mein,
Usay puri tarah mujhe yaad dila do PHIR SO JANA
Najane kyon aadat hai meri dekhne ki tumko,
Meri ye bewaja aadat chura do PHIR SO JANA
Mere in roz-o-shab ka ek faqat unwan bus "TUM" ho,
Mujhe tum dosra unwan la do PHIR SO JANA
Pathar bana diya mujhe rone nahi diya
Daman bhi gham ne tere bhigone nahi diya
Tanhaiyaan tumhara pata poochti hein
Shab bhar teri yaad ne soney nahi diya
Aankhon mein aa k baith gai ashkon ki lehar
Palkon pe koi khuwaab parone nahi diya
Dil ko tumhare naam k aansu aziz thay
Dunya ko koi dard samone nahi diya
Youn us ki yaad chali haath thaam k
Mele mein is jahan ke khone nahi diya
Wo paani ki lehron pe kia likh raha tha
KHUDA jaane hurf-e-duaa likh raha tha
Likha tha jis ne wafa k maani adhuray
Wo shakhs pyaar ki intiha likh raha tha
Zara uski aankh se ek aansoo na nikla
Wo jis waqt lafz-e-saza likh raha tha
Muhabbat mein nafrat mili thi usay
Wo har shakhs ko be-wafa likh raha tha
Is qadar zamane waalon ne usko sataya
Wo pyaar k jazbay ko gunah likh raha tha
Khwahishon k Aangan mein raat din bseray thay,
Titliyan tumhari then aur phool mere thay
Chand aasmano se jab zamin pe utra tha,
Dekhnay mein raatein then asal mein sweray thay
Tere paas basnay ki khai thi qasam lekin,
Shehar bhi praya tha log bhi luteray thay
Lut gaye hum dono to qasoor kis ka hay?
Khwahishen bhi teri then feslay bhi tere thay