*TANHAAI*
Har raat ghum-e-tanhai, Har shaam teri yaad aai
Laakh tujhe bhulana chaha, Us se barh kar teri yaad aai
Tujh se koi umeed bhi wabasta nahi
Iss dukh se meri aankh bhar aai
Logon ne pocha ashkon ka sabab
Bus mujhe kehna para TANHAAI
Zindagi par kitaab likhon ga
Us mein saray hisaab likhon ga
Pyaar ko waqt guzaari likh kar
Chahton ko azaab likhon ga
Hoi barbaad mohabbat kesy
Kesy bikhartay hain khuwaab likhon ga
Apni khuwahish ka tazkira kar k
Naam uska jawaab likhon ga
Uski aankhain sharab ki manind
Uska chehra gulaab likhon ga
Main us k na milne k sabab ko
Apni qismat kharab likhon ga
Kaisay kahoon k apna bana lo mujhey
bahoun mein apni sama lo mujhey
Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lomujhey
Zindagi to woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lo mujhey
Meri sab say gehri khuwahish ho puri
Tum agar pass apnay bula lo mujhey
Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein to sambhalo mujhey
Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey
Bohat be-chain rehti hay tabiyat aik muddat se
Dil-o-jaan ko nahi mil paai rahat aik muddat se
Mujhe bhi rok rakha hay meri masroofiyat ne or
Nahi ki tum ne bhi milnay ki zehmat aik muddat se
Bohat majboor hoon warna bohat mehssos karta hoon,
Meri jaan tum se milnay ki zarorat aik muddat se
Kisi din aa k mil jao k apnali hay aankhon ne
Tumhari yaad mein ronay ki aadat aik muddat se
Nigaah-e-Yaar pe palkon ki gar lagaam na ho
Badan mein dhoor talak zindagi ka naam na ho
Wo be-naqaab jo phirta hai gali koochon mein
To kesey shehar k logon mein qatal-e-aam na ho
Mujhe yaqeen hai k dunia mein dard bhar jaen
Agar ye peenay-pilanay ka ehtemaam na ho
Bitha k samney bas dekhta rahon usey
Us k siwa mujhe dunia ka koi kaam na ho
Jo us ko dekh le ek nazar Faraz
Mere shehar ki galiyon mein kabhi shaam na h
Ajab soorat-e-haal hoti jaa rahi hai Raat k baad raat hoti jaa rahi hai Wo tou ab bhi mukamal hai pathar ki tarha Reza reza tou meri zaat hoti jaa rahi hai Main tou aaj bhi tanha hoon kal ki tarha Saari kainaat tou us k saath hoti jaa rahi hai
Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon
Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon
Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon
Dil K Veerane Aa Kar Sajaye Ga,
Sacha Pyar Hi Use Meri Dehleez Per Laye Ga,
Use Khabar Karo K Main Us K Shehar Mein Aai Hon,
Khush To Bohat Hoga Magar Mere paas Na Aaye Ga,
Kafan Mein Kuch Dair Mera Chehra Khula Hi Rakhna,
Meri Bebasi Dekhne Wo Zaror Aaye Ga,
Wo Aaye To mere janaze Se Use Door Hi Rakhna,
Us Ka Udaas Chehra Mujhse Dekha Na Jaye Ga,
"Faraz" Meri Qabar per Naam Ki Takhti Na Lagana,
Aate Jate Use Mera Gham Sataye Ga.
Mujhe ehsas-e-ulfat tum enayat kyun nahi karty,
Meri izzat to karty ho muhabbat kyun nahi karty
Ye sary log kehty hain k tum chachal tabiyat ho,
Magar tum saamny meray shrarat kyun nahi karty
Jo apni guftugu mein phool tum takseem karty ho,
Kabhi in phoolon ko mujh par nichawar kyun nahi karty
Wo ik shakhs jo hamain zindagi sy peyara hay
Baghair us k viraan ye jahan sara hay
Wo nahi janta k us ki zaat kiya hay
Wohi tou hay jo muhabbat ka ik sitara hay
Nahi milta tou dil ki halat ajeeb hoti hay
K is mein mera nahi dil ka kasoor sara hay
Wo apni sub baton ko chup chup k beyan karta hay
Yehi tou ada hay jis ny hamain mara hay
Wo kya tha, kya hay, kya hoga, kya khabar?
Yehi pata hay k wo jesa bhi hay bus hamara hay
Mujhy duaon mein yaad rakhna
Main wo musafir hon jis ka rasta bohut kathan hay
Mera asasa hi dosti hay
Ye ghup andheron mein roshni hay
Ya kaali raaton mein chandni hay
Isi saharay guzer rahay hein ye zindagi k haseen lamhay
Ye meri izzat ye meri shuhrat
Hay doston ki dua ka haasil
Mujhy duaon ka aasra hay
Meri bas itni iltija hay
Mujhy duaon mein yaad rakhna
Mujhy duaon mein yaad rakhna
Wo jo daaway dar hain shehar mein k main sub ka nabz-shanas hoon
Kabhi mujhse aa k poochta hai k main kis k gham mein udaas hoon
Ye meri kitab-e-hayat hai isay dil ki aankh se parh zara
Main warq warq tere saamny tere ru-ba-ru tere paas hoon
Ye teri umeed ko kiya hua kabhi tu ne ghor nahi kiya
Kisi shaam tu ne kaha tou tha teri saans hoon teri aas hoon
Ye teri judai ka gham nahi ye silsilay tou hain roz kay
Teri zaat iss ka sabab nahi main bohut dinon se udaas hoon
Zamane Se Hara Hon Apni Taqdeer Par Ga Raha Hon
Sawan Me Barsat Zarore Hai
Mare Zindagi Me App Zarore Hain
Tufaa Me Kinara Zarore Hai
Humay App Ko Apnana Zarore Hai
Dobtay Ko Kinara Zarore Hai
App Ka Hum Se Mil Jana Zarore Hai
Aaghaz Hai To Anjam Zarore Hai
Meri Kismet Me App Ka Aana Zarore Hai
Taqdeer Ka Faisla Kya Ho! Magar
App Se Bichar Kar Hamara Mar Jana Zarore Hai…!
Adhori si hay zindagi adhoray hain hum
Bujh rahi hein saansen jal rahay hum
Badaltay mousamon nay sikhaya hay bohut kuch lekin
Panay ki hasrat mein sab kuch khoo rahay hain hum
Na maloom manzilon par qadam ruk say gaye hein
Bheer mein raaston ki taraf barh rahay hain hum
Toot kar bikhray hein khuwaab kuch is tarha
K ik arsa hua hay un ko chun rahay hain hum
Wafa hum nay ki un say ya ki bewafai
Bas us ki saza bhugat rahay hain hum
Hone lagi nafraten muhabaton k shehar mein
Hum huey bohat ruswa mohabaton k shehar mein
Kal raat ek darvesh bhoka hi so gaya
Kese rehtay hen log mohabaton k shehar mein
Kisi ne piyar diya na kisi ne ehsaas kiya
Aik majnu mar gaya mohabaton k shehar mein
Gulab hont shagofta chehray gaye kahan
Kyun band pare hein ye makaan mohabaton k shehar mein
Tum ne kyun likh di hay mohabaton pe ghazal
Jise parhta nahi koi mohabaton k shehar mein
Zaruri kaam hay lekin rozana bhool jata hon
Mujhe tum se mohabbat hay batana bhool jata hon
Tumhari galiyon mein phirna itna acha lagta hay
Main raasta yaad rakhta hon tikhana bhool jata hon
Bas itni baat pe logon ko main acha nahi lagta
Main neki tou karta hon jatana bhool jata hon
Shararat lekar aankhon mein wo uska dekhna
Main nazron pe jami nazren jhukana bhool jata hon
Mohabbat kab huyi sub yaad hay
Kyon k main kar k mohabbat ko bhulana bhool jata hon
Kahin tum apni qismat ka likha tabdeel kar lete
Tau shayad hum bhi apna raasta tabdeer kar lete
Agar hum waqai kam hosla hote mohabbat mein
Marz barhne se pehle hi dawa tabdeer kar lete
Tumhari tarah jeene ka hunar aata tau phir shayad
Makaan apna wohi rakhte pata tabdeel kar lete
Khaali kaghaz pe harf sajaya karta tha
Tanhai mein shehar basaya karta tha
Kesa pagal shakhs tha saari saari raat
Dewaron ko dard sunaya karta tha
Ro deta tha aap hi apni baton par
Or phir khud ko aap hansaya karta tha
Jalne lagti laho mein judai tou deta
Tanhaion ki khaak uraya karta tha
Yaro be-waqt howa pyaar usey le doba
Jo logon ko pyaar k gur sikhaya karta tha
"TALASH"
Jo na mil sakay wohi bewafa,
Ye barri ajeeb si baat hai!
Jo chala gya mujhey chorr kar,
Wohi aaj tak mere saath hai,
Mera naam tak jo na le saka,
Jo mujhey qaraar ne de saka,
Jisay iktiyar tu tha magar,
Mujhey apna pyar ne de saka,
Wohi dard meri hayat hai,
"WOHI SHAKHS MERI TALASH HAI"
Dhalne lagi hai shaam tere intizar mein
Ye subha kese hogi tere intizar mein
Shabnam bhi ro pari meri be-basi par aaj
Askhon se rah sajai tere intizar mein
Mera nahi yaqeen tau sitaron se poch lo
Aankhon mein shab basai hai tere intizar mein
Itna na bhoolna k mar he jaen hum
Aankhein khuli rahain gi tere intizar mein