Tumhare rah badalne ki baat kis se karoon?
Main apne khuwab bikharne ki baat kis se karoon?
Abhi wo jaane-e-ghazal door hay nighahon se
Abhi main jaan se guzarne ki baat kis se karoon?
Abhi tau hijr ki tarikiyan hain dono taraf
Abhi main chaand nikalne ki baat kis se karoon?
Abhi tau ghamon se nidhaal hain sabhi
Abhi main tere bicharne ki baat kis se karoon?
Meri judai k gham koi bhi nahi sunta
Tumhare baad sulaghne ki baat kis se karoon?
Khiltay huey har rang say ho jis ki adawat
Us haath pay Mehndi ko rachaon bhi tau kesy
Jis aankh ne dekha hi na ho rang-e-muhabbat
Us aankh mein khuwabon ko sajaon bhi tau kesy
Maloom hay din raat wo rota hay musalsal
Per door say ashkon ko churaon bhi tau kesy
Jis aas ne tora ho meri soch ka sheesha
Us aas say phir aas lagaon bhi tau kesy
Khoon badal se baraste dekha
Phool ko shaakh pe daste dekha
Kitne bedaar khayalon ko yahan
Daam ikhlaas mein phanste dekha
Dil ka gulshan k bayaban hi raha
Aisa ujjra k na baste dekha
Khul gaya jin pe musarat ka bharam
Phir kabhi in ko na hanste dekha
Ab kahan ashk nadamat Saghar
Aastenoo ko taraste dekha
Wo Muhabbat Say Khafa Hai Mujhey Maloom Na Tha
Ishq Us Say Na-Rawa Hai Mujhey Maloom Na Tha
Wo Bicharne Laga Mujh Say Tou Anaa Toot Gai
Rooth Jana Hi Adaa Hay Mujhey Maloom Na Tha
Subha Honey Pe Bhi Aankhon Say Andhera Na Gaya
Raat Sooraj Say Khafa Hay Mujhey Maloom Na Tha
Rooth Janey Pe Manana Usay Aata Hi Nahi
Ye Bhi Meri Hi Khata Hay Mujhey Maloom Na Tha
Zindagi Jurm-e-Anasar Hai Zamanay Mein
Saans Lena Bhi Saza Hay Mujhey Maloom Na Tha
Wo ik shakhs jo hamain zindagi sy peyara hay
Baghair us k viraan ye jahan sara hay
Wo nahi janta k us ki zaat kiya hay
Wohi tou hay jo muhabbat ka ik sitara hay
Nahi milta tou dil ki halat ajeeb hoti hay
K is mein mera nahi dil ka kasoor sara hay
Wo apni sub baton ko chup chup k beyan karta hay
Yehi tou ada hay jis ny hamain mara hay
Wo kya tha, kya hay, kya hoga, kya khabar?
Yehi pata hay k wo jesa bhi hay bus hamara hay
Main ajeeb zmane ki wafa dekhta raha
Umar bhar apna ghar tanha dekhta raha
Kahin na kahin to badal hi jate hain silsile
Magar main jahan gaya sehra dekhta raha
Jane q katrate hain log mujhe milne se
Kal shab dair talak aainna dekhta raha
Pani mangte mangte mere hont pathar ho gay
Wo shakhs mashkiza liye khara dekhta raha
Be-gunah tha phir b sar jhukay hue
Sitamgar k sitam ki inteha dekhta raha
Umar bhar mohabbat ka kuch yun silsila raha
Main use or wo duniya dekhta raha
Kahun ga khuda se yom-hisaab ko MoHsiN
K zamana meri barbadi ka tmasha dekhta raha
"SOCH LENA" Soch samajh lena qadam uthanay se pehle
Kahin gir na jao manzil aanay se pehle
Ye aandhian bari berehm huwa karti hain
Ye soch lena koi diya jalanay se pehle
Apne aangan ko pholoon se sajaye rakhna
Phool sarey chun lena khizan aanay se pehle
Tumhare seeny mein bhi ik dil dharakta hai
Ye soch lena kisi ka dil dukhanay se pehle
Umar bhar kon kisi k liye rota hai Saqi
Log aansou bahatay hain dafnanay se pehle
"Jin k humsafar rooth jaya kartay hain",
"Wo chain se kab soya kartay hain",
"Sunatay nahi kisi ko dukh apna",
"Bas akaley mein chup kar roya kartey hain",
"Bari khoob adaa hay ye Ehle wafa ki",
"Ankhon mein nami aur honton se muskuraya kartay hain",
"Bhalay hi hazaron shikwe hon mehboob se",
"Wo bas haal poch lay tou sab bhol jaya katay hain",
"Bari ajeeb hai dunya Ehle dard ki ATISH",
*(SIRF TUM)* Ye to dil tha dewana k tum per aa gaya
Warna hum qeemti pathron ko b uthaya nahi karte
Ye mana k tum haseen ho magar he bhi sun lo
Hum haseen logon se dil lagaya nahi karte
Jis se karte hain piyaar bus ek hi baar karte hain
Baar baar hum bhi kisi ko sataya nahi karte
Tum to apne ho tum se kia parda
Warna hum raaz-e-dil kisi ko btaya nahi karte
Tum keh do to tumhare liye jaan bhi hazir
Warna hum zindagi dao per lgaya nahi karte
Koi tum se pooche kon hoon main
Tum keh dena koi khaas nahi
Ek dost hai kacha pakka sa
Ek jhoot hai aadha sacha sa
Ek khwaab adhoora poora saa
Ek phool hai rookha sookha sa
Ek sapna hai bin socha sa
Ek apna hai un dekha sa
Ek rishta hai un jaana sa
Haqeeqat mein afsana sa
Kuch paagal sa deewana sa
Bas ek bahana acha sa
Jeevan ka aisa saathi hai
Jo door ho to kuch paas nahi
Koi tum se poche kon hon main
Tum keh dena koi khaas nahi
Mitt gaya hon mujh ko tou mitta rehne do
Mere jazbaat k sholon ko bujha rehne do
Dard sehne ki hay bachpan hi se aadat mujh ko
Mere riste hoye zakhmon ko hara rehne do
Ab tou tabeer ki hasrat hi nahi hay mujh ko
Meri aankhon mein mera khuwab chupa rehne do
Muskurahat pe mera haq hi nahi hay yaaro
Mere honton se tabasam ko khafa rehne do
Dil jo toota hay tou aankhein na chalak jaen Wasi
Aj aankhon ko in ashkon se bhara rehne do