*(SIRF TUM)* Ye to dil tha dewana k tum per aa gaya
Warna hum qeemti pathron ko b uthaya nahi karte
Ye mana k tum haseen ho magar he bhi sun lo
Hum haseen logon se dil lagaya nahi karte
Jis se karte hain piyaar bus ek hi baar karte hain
Baar baar hum bhi kisi ko sataya nahi karte
Tum to apne ho tum se kia parda
Warna hum raaz-e-dil kisi ko btaya nahi karte
Tum keh do to tumhare liye jaan bhi hazir
Warna hum zindagi dao per lgaya nahi karte
Sarapa ashk hon main ab bikhar jaon to behtar hai
Jidhar jatay hain ye baadal udhar jaon to behtar hai
Ye dil kehta hai tere shehar mein kuch din theher jaon
Magar halaat kehtay hain k ghar jaon tou behtar hai
Dilon mein farq aayen ge taalluq toot jayen ge
Jo daikha jo suna us se mukkar jaon tou begtar hai
Yahan hai kon mera jo mujhe samjhe "FARAZ"
Main koshish kar kay ab khud he sanwar jaon to begtar hai..
Kabhi mehrbaan tha to kabhi anjaan tha
Mera wehm tha ya wo mera gumaam tha
De kar zakhm wo marham rakhta tha
Ban raha tha ya wasey he itna nadaan tha
Mujhse bichar gaya tha wo ek roz
Wo shakhs jo meri pehchaan tha
Khuda ko chahte to kuch mil b jata
Hum ne chaha jis ko wo insaan tha
Zindagi bewafa kyun hoti hay?
Wafa karne ki saza kyun hoti hay?
*
Choti si baat pe baha dete hain khon
Insaan mein itni anna kyun hoti hay?
*
Karta hun mein jis se baar baar tauba
Elaahi mujh se wohi khata kyun hoti hay?
*
banate to hain hum apne haathon se masjid
Namaz apni hi phir qaza kyun hoti hay?
Chalo tum keh rahe ho to
Main wapis lot jata hon
Tumhain manzil mubarik ho
Naya sathi mubarik ho
Magar aye humdum-e-deirina
Mujh ko itna batla do
Ky wapis kis taraf jaon
Kahan se saath laye thay
Mujhe itna to samjha do
Agar aysa nahe mumkin
To mujh ko is tarha toro
Ky main yaksir bikhar jaon
Bhataknay se to behtar hai
Tumhary paas mar jaon
Aisa Niyaaz-e-Ishq Ne Saada Bana Diya
Hum Uss K Ho Gaye Ussay Apna Bana Diya
Taqdeer Ne, Falak Ne, Mohabbat Ne, Ishq Ne
Jis Ne Bhi Chaaha Mera Tamasha Bana Diya
Veeraaniyan Samait Kar Saray Jahan Ki,
Jab Kuch Na Ban Saka Tou Mera Dil Bana Diya
Ab Tum Mere Bano Na Bano Hai Tum Ko Ikhtiyaar
Taqdeer Ne Tou Mujh Ko Tumhara Bana Diya.
Haqiqat jan kar aisi hamaqat kon karta hai?
Bhala be faiz logonse mohabat kon karta hai?
Btao jis tijarat me khasara hi khasara ho
Bina soche khasare ki tijarat kon karta hai?
Hamen hi ghalat fehmi thi kisi k waste warna!
Zmane k rewajon se baghawat kon karta hai?
Khuda ne sabr karne ki mujhe tufiq bakhshi hai,
Ary g ghar k tarpao! shikayat kon karta hai?
Kisi k dil k zakhmon par marham rakhna zaruri hai!
Magar is daor me "Mohsin" ye zehmat kon karta hai?
Zulf raaton si hay rangat hay ujaalon jesi
Par tabiyat hay wohi bhoolne walon jesi
Dhondta phirta hoon logon mein shahabat uski
K woh khuwaboon mein bhi lagti hay khayalon jesi
Uski baatein bhi dilaweez hein surat ki tarha
Meri sochein bhi preshaan mere baalon jesi
Uski aankhon ko kabhi ghor se dekha hay
Rone walon ki tarha jaagne walon jesi
Na ghamoon k geet suna karo
Na kisi ki yaad mein jala karo
Ab chor do ye udasian
Hamesha khush raha karo
Na Khuda kare kisi ko juda
Haath uthao tou ye dua karo
Nahi bhata tera udaas chehra
Na kabhi preshaan hua karo
Suna hay k mantey ho hamari baat
Hamari khaatir hi hanstay raha karo
Khwahishon k Aangan mein raat din bseray thay,
Titliyan tumhari then aur phool mere thay
Chand aasmano se jab zamin pe utra tha,
Dekhnay mein raatein then asal mein sweray thay
Tere paas basnay ki khai thi qasam lekin,
Shehar bhi praya tha log bhi luteray thay
Lut gaye hum dono to qasoor kis ka hay?
Khwahishen bhi teri then feslay bhi tere thay
Matti se bana tha, Matti hi ban jaun ga
Is se aagay na kuch kar paya, na kar paun ga
Rota hua aaya tha, rulata hua jaun ga
Pairon ki dhool hon hawaon mein bikhar jaun ga
Jab dunia teri chor kar yahan se jaun ga
Dekh lena Dost, tum ko bohut yaad aaun ga.
Hai yaad mulaqat ki wo shaam abhi tak
Main tujh ko bhulane mein hoon nakam abhi tak
Aa tujh ko dikhaon k tere baad sitamgar
Weeran pare hain ye dar-o-baam abhi tak
Gar tark-e-taaluq ko hua ek zamana
Honton pe machalti hai tera naam abhi tak
Mehsoos ye hota hai k wo hum se khafa hain
Kiya tark-e-muhabbat ka hai elzaam abhi tak
Maikhane mein bhooley se chaley aaye thay Mohsin
Ahbab ki nazron mein hain badnam abhi tak
Us pe khul jati mere shoq ki shiddat saari
Dekhay hotay jo mere paaon k chalay us ne
Jis ka har aib zamanay se chupaya main ne
Mere qissay sar-e-bazar uchalay us ne
Jab usay meri mohabbat pe bharosa hi na tha
Kyun diye meri wafaon k hawalay us ne
Meri dam torti khuwahish ka khayal aa na saka
Apnay armaan hamesha hi nikalay us ne
Aik mere hi tou haath na thama us ne
Warna girtay huey kitnay hi sambhalay us ne
Door reh kar kareeb kitnay hein,
Faslay bhi ajeeb kitnay hein
Dard-E-dil ki dawa nahi warna,
Es jahan mein tabeeb kitnay hein
Umer bhar sath jo rahay teray,
Us k achay naseeb kitnay hein
Kyun na aaye tum meray sapno mein,
Meray shikaway bhi ajeeb kitnay hein
Aisa Niyaaz-e-Ishq Ne Saada Bana Diya,
Hum Uss K Ho Gaye Ussay Apna Bana Diya
Taqdeer Ne, Falak Ne, Mohabbat Ne, Ishq Ne,
Jis Ne Bhi Chaha Mera Tamaasha Bana Diya
Veeraaniyan Samait Kar Saaray Jahan Ki,
Jab Kuch Na Ban Saka To Mera Dil Bana Diya
Ab Tum Mere Bano Na Bano Hai Tum Ko Ikhtiyaar,
Taqdeer Ne Tou Mujh Ko Tumhara Bana Diya....!
Kisi Toofan Mein Jaise Kinara Yaad Aata Hai-
Mujhe Tanhai Mein Chehra Tumhara Yaad Aata Hai-
~
Suna Hai Us K Honton Se Tabsum Rooth Jata hai-
Suna Hai us Ko Bhi Piyar Hamara Yaad Aata Hai-
~
Hamaray Roz-o-Shab Ka Ye Tasalsul Kis Tarah Totey-
Usey Jab Bhoolte Hain Wo Dobara Yaad Aata Hai-
Gham-e-jana gham-e-doran say juda rakhtay thay
Hum mohabbat k fasano pay hansa kartay thay
Khudsari itni k khud ko hi samajhtay thay sab kuch
Bay-hissi aisi k dil torr diya kartay thay
Hum jo ruktay thay tu ruk jatay thay manzar saray
Hum jo chaltay thay tu mausam bhi chala kartay thay
Jab say dekha hai tujhay thaam k dil baithay hein
Ban gaye mom kabhi shola huwa kartay thay
"Us waqt ko yaad kar zara, jab uthaya jayega
Tera Janaza Tere chahne wale
Tujh par aansoun bahainge
Is say ziada kuch nahi kar payenge
Phir tujhe nahla kar kafan pehna kar
Qabar k garhay mein ja dafnayenge
Phir kuch din bhi na guzar payenge
Yahi log qehqahe lgayenge
marne walon k 7 kon marta hay
Qabron pe phir kon aya karta hay
Tujhe mare hue jab zamane guzar jayenge
Log naam bhi bhool jayenge
Bas yehi he haqiqat is dunia ki khoob ja lo
Kamiyabi chahte ho to ALLAH ki maan lo"
Phir daman-e-umeed wo phoolon se bhar gaya
Jaadu bhari nigah se jaadu sa kar gaya
Bus dekhtay hi dekhtay dunya badal gayi
Kuch sochtay hi sochtay chehra utar gaya
Be-taab be-qarar tha pehlay he dil bohat
Phir aap ka aana aur bhi be-taab kar gaya
Ik be-khudi ka naam mohabbat hay dosto
Chahat mein kis ko hosh hay kya kya guzar gaya
Kuch bhi pata nahi hay mohabbat mein MoHSiN
Kab raat subha ban gayi kab din guzar gaya
Yaad-e-maazi mein jo aankhon ko saza di jaye
Is se behtar hay k har baat bhula di jaye
Jis se thori si bhi umeed ziada ho kabhi
Aisi har shama sar-e-shaam jala di jaye
Main ne apnon k rawayoun se ye mehsoos kiya
Dil k aangan mein bhi diwaar utha di jaye
Main ne yaron k bicherne se ye seekha Sehar
Apny dushman ko bhi jeene ki dua di jaye