*TANHAAI*
Har raat ghum-e-tanhai, Har shaam teri yaad aai
Laakh tujhe bhulana chaha, Us se barh kar teri yaad aai
Tujh se koi umeed bhi wabasta nahi
Iss dukh se meri aankh bhar aai
Logon ne pocha ashkon ka sabab
Bus mujhe kehna para TANHAAI
Mohabbat se daman churana nahi
Kabhi chor kar mujh ko jana nahi
Kaha tha dil se mohabbat na karna
Magar baat ye meri mana nahi
Tumhen dil diya hay hifazat se rakhna
Kabhi isko thokar lagana nahi
Koi baat jo tumko meri na bhaye
Khudara bura tum manana nahi
Koi baat ho jaye kesi bhiisko
Tum masla ana ka banana nahi
Ho mujhse shikayat tou mujhse he kehna
Kisi ghair ko tum batana nahi
Apni yaadein, apni baatein le kar jana bhool gaya
Jaane wala jaldi mein tha, mill kar jana bhool gaya
Mur mur kar dekha tha usne jaate raste mein
Jese usne kehna tha kuch, jo wo kehna bhool gaya
Waqt-e-rukhsat meri aankhein ponch raha tha aanchal se
usko ghum tha itna ziyada, khud wo rona bhool gaya
Najane kia hoga na mil sake agar tum
Saans tou chale gi par zinda na honge hum
Dil mein gile tou honge bohut
Magar khamosh rahege phir bhi hum
Na chaha tha na chahenge kisi ko itna
Ji liya shayad bas jeena tha jitna
Bas phir khuda se 1 dua karenge hum
Tum humein bhool jao or zindagi ko hum
Meri bhi saari khushiyan milen tujhe
Tere gham bhi cheen lenge hum agar aysa hojaye tou
Haar k bhi jeet jayenge hum
Kabhi mehrbaan tha to kabhi anjaan tha
Mera wehm tha ya wo mera gumaam tha
De kar zakhm wo marham rakhta tha
Ban raha tha ya wasey he itna nadaan tha
Mujhse bichar gaya tha wo ek roz
Wo shakhs jo meri pehchaan tha
Khuda ko chahte to kuch mil b jata
Hum ne chaha jis ko wo insaan tha
Bikharti rait per kis naqsh ko aabad rakhey gi,
Wo mujhko yaad rakhey bhi to kitna yaad rakhey gi
Usay buniyad rakhni hay abhi dil mein mohabbat ki,
Magar ye sang seenay per wo meray baad rakhey gi
Palat ker bhi nahi dekhi uski ye be-rukhi hum ne,
Bhula den gey usay aisa k wo bhi yaad rakhey gi
Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon
Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon
Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon
Baylos muhabbat ka sila you na diya kar
Apno ko tou nazdeek se pehchaan liya kar
Har lamha na apni taraf dekh k khush ho
Auron ki bhi takleef ka ehsaas kiya kar
Ujray huway logon se gureza na huwa kar
Halaat ki qabro k ye kutbay bhi parha kar
Har waqt ka hansna tujhe barbaad na karde
Tanhai k lamhon mein kabhi lo bhi liya kar
Apnay hi shabo roz mein abad raha kar
Hum log buray log hain hum se na mila kar
A dil tujhe dushman ki bhi pehchaan kahan hay
Tu halqa-e-yara mein bhi mohtaat raha kar
Wo aaj bhi sadyon ki musafat pe khara hay
Dhonda tha jisay waqt ki diwaar gira kar
Matti se bana tha, Matti hi ban jaun ga
Is se aagay na kuch kar paya, na kar paun ga
Rota hua aaya tha, rulata hua jaun ga
Pairon ki dhool hon hawaon mein bikhar jaun ga
Jab dunia teri chor kar yahan se jaun ga
Dekh lena Dost, tum ko bohut yaad aaun ga.
Kahin tum apni qismat ka likha tabdeel kar lete
Tau shayad hum bhi apna raasta tabdeer kar lete
Agar hum waqai kam hosla hote mohabbat mein
Marz barhne se pehle hi dawa tabdeer kar lete
Tumhari tarah jeene ka hunar aata tau phir shayad
Makaan apna wohi rakhte pata tabdeel kar lete
"Zameen pe chal na saka aasman se bhi gaya"
"Katwa ke par, wo paroda urraan se bhi gaya"
"Tabah kar gai pakkay makaan ki khuwahish"
"Main apne gaon k kachay makaan se bhi gaya"
"Parai aag mein jal k bhi kya mila mujhko"
"Usay bacha na saka, Apni jaan se bhi gaya"
"Bhulana chaha to uski bhi inteha kar di"
"Wo shakhs ab mere wehm--gumaan se bhi gaya"
"Kisi k hath ka nikla hua wo teer hoon main"
"Hadaf ko to choo na saka par kamaan se bhi gaya"
Nighahon k samandar ka thikana chahte hain hum
Hamey tum se mohabbat hai batana chahte hain hum
Humey achi nahi lagti kisi mosum ki shadabi
Tumhein bas apni saanson mein basana chahte hain hum
Hamara ghar tau roshan hai hamarey naam se lekin
Tumhare naam se jivan sajana chahte hain hum
Humein har haal mein tum se aqidat or mohabbat hai
Tumhare paas aane ka bahana chahte hain hum.
Ek jurm hua hai hum say, ek dost bana baithay hain,
Kuch apna sa uss ko samaj kar, Sab raaz bata baithay hain
Phir uss kay pyar ki raah mein, Dil-o-jaan ganwa baithay hain
Wo yaad buhot hiaatay hain jo hum ko bhula bathay hain,
Iss jurm ki mili hai saza aisi,
Hum un sey juda ho baithay hain.
Meri har janib samandar he kinara q nahi milta
Meray dil bata mujh ko sahara q nahi milta
Mujhey is sheher me din bhar hazaron log miltey hen
Jisey me dhondney nikli hon wo piyara q nahi milta
Jisey chaha, jisey dekha, jisey socha, jisey likha
Merey mola mera us se sitara q nahi milta
Mohabbaton Ne Kaisa Kamaal Kar Dala
Humain Tou Udaasiyon Ki Misaal Kar Dala
Kabhi Milein Tou Pouchain Gay Ik Doojay Se
K Kis Ko Kis K Ghum Ne Nidhaal Kar Dala
Tu Bata Us Se Kya Kahon Gi Main
Meri Udaasi Pe Jo Kisi Ne Sawal Kar Dala
Suna Tha Zindagi Ka Safar Bohut Mushkil Hay
Aur Hum Ne Kar K Mohabbat Isay Or Bhi Muhaal Kar Dala
Kuch Hum Bhi Maum K Thay Or Kuch Tum Ne Bhi
Zindagi Ko Shoulon Ki Shaal Kar Dala
Ek saza aur aseron ko suna di jaye
Yani ab jurm-e-aseri ki saza di jaye
Uski khuwahish hy k ab log na royen na hansen
Behisi waqt ki aawaaz bana di jaye
Dasht-e-na-deeda ki tehqeeq zarori hay magar
Pehly jo aag lagi hay wo bhuja di jaye
Sirf jalana hi nahi humko bhi dikhana bhi tou hay
Ishq ki aag ko lazim hay hawa di jaye
Sirf suraj ka nakalna hay agar subha tou phir
Ek shab aur meri shab se mila di jaye
Aur ek taza sitam usnay kiya ejaad
Usko is baar zara khul k dua di jaye
Roothon tau sahi gar koi manane wala ho
Karoon intizaar bhi gar koi aanay wala ho
Bari muddat se nai bheegen ye aankhein meri
Koi tau ho aisa jo rolaanay wala ho
Sab hi haal mera pooch k chalay jate hain
Hay koi jo dil mein samaanay wala ho
Khushiyan tau shayad muqaddar mein hi nahi hain
Milay ghum aisa jo galay lagaanay wala ho
Lutnay ki khuwahish mein chalay qaaflon k saath
Rehbar na mila jo qaafla lutaanay wala ho
Meri qismat mein bhi koi aisa sajda kar de
Jo merey sarey gunahoon ka madawa kar de
Sari dunia se chura kar mujhe apna kar de
Meri mitti ko khudaya tou ab sona kar de
Main tera chahnay wala hoon magar hain hasrat
Jinko tou chahta hai mujhko bhi waisa kar de
Ek nazar apnay gunahgaar pe kar k maula
Apni rehmat ka sazawaar hamesha kar de
Jis taraf chahonn faqat teray hi jalway dekhon
Shauq-e-Ulfat ko meray hadd se ziyada kar de (Ameen)
*Naseebon Ki Baat*
Kisi ko mil jae wafa naseebon ki baat hai
Koi rota rahe sada naseebon ki baat hai
Kisi ko chahna khud se barh kar
Na ban sake wo apna naseebon ki baat hai
Koi kisi ki yaad me roya kare bohut
Koi kare na parwa naseebon ki baat hai
Apni jan b war deta hai kisi par koi
Phir b rahe koi khafa baseebon ki baat hai
Kisi ko mil jaen khushian hazar
Koi dhundta rahe muskan naseebon ki baat hai
Koi mil jae kisi ko bin mange hi
Koi umar bhar karta rahe tlash naseebon ki baat hai
Zaruri kaam hay lekin rozana bhool jata hon
Mujhe tum se mohabbat hay batana bhool jata hon
Tumhari galiyon mein phirna itna acha lagta hay
Main raasta yaad rakhta hon tikhana bhool jata hon
Bas itni baat pe logon ko main acha nahi lagta
Main neki tou karta hon jatana bhool jata hon
Shararat lekar aankhon mein wo uska dekhna
Main nazron pe jami nazren jhukana bhool jata hon
Mohabbat kab huyi sub yaad hay
Kyon k main kar k mohabbat ko bhulana bhool jata hon