Tum jo hotay to mujhay kitna sahara hota
Main nay gheron ko na dukh mein pukara hota
Jitni shidat say wabasta tha mein tuj say
Kis tarha mera tere bagair guzara hota
Mujh ko yeh soch he kafi hay "Jalane k Liye"
Main na hota to koi or tumhara hota
Or hum baith k khamoshi say roye jatay Saqi
Shaam hoti sharab hoti or kisi darya ka kinara hota
Ajab kurb ka aalam hay meri basti par
Ghata bhi chaai hay barsat bhi nahi hoti
Bohut kuch kehna hay tum se aaj magar
Silay hein hont koi baat bhi nahi hoti
Ajeeb rang badalta hay asar ka soraj
K shaam khafa hay or raat bhi nahi hoti
Main uski zaat ka hisa bhi ban nahi sakti
Juda us se meri zaat bhi nahi hoti
Usy kehna tumhari yaad ka mosam nahi badla
Teri chahat k phoolo ki abhi tak khushbo nahi bikhri
Mery ander tumhari zat ka ehsas baqi hai
Tumhari dam se meri zindagi ki sans baqi hai
Usy kehna mosam to badlty rehte hain
Kabhi mosam bdalny se ye aankhain nam nahi hoti Mohabbat kam nahi hoti
Usy kehna mohabbat kam nahi hoti
~".AJNABI."~ ~Tujhe apni hathon ki lakeeron mein na basaya to phir kehna~
~Aa k tujhe tere khuwabon mein na sataaya to phir kehna~
~Teri sochon mein guzar jati hy sari raat~
~Zindagi bhar raton ko na jagaya to phir kehna~
~Dhondtay phiro gay tum har jaga hum ko~
~Apne ishq mein tujhe pagal na bnaya to phir kehna~
Main nahi hon apny wajood mein, Mujhy janay kis ne chura liya
Mere saath rehta hay ek shakhs, Koi jaadu us ne chala diya
Meri rooh mein woh sama gaya, Mujhe ishq karna sikha diya
Meri zindagi wo ban gaya, Mujhe jeena us ne sikha diya
Main tou khud se bhi tha na aashna, Mujhe mujh se us ne mila diya
Meri zindagi ko badal diya, Mujhe khush naseeb bana diya
Zindagi ka sochta hoon na zamane ka sochta hoon
Main tou bas usse apna banane ka sochta hoon
Uss k rooth jane k andaz ki qasam
Woh rooth jaey tou manane ka sochta hoon
Uss ne na ki wafa tou koi gila nahi
Main uss se wafain nibhane ka sochta hoon
Wo mujh ko rulaaye tou koi baat nahi Faraz
Main ro kar bhi usse hansaane ka sochta hoon
Yaadein hain kuch aisi us k naam se wabasta,
Har subha hai jese har shaam se wabasta
Bas us k tasawur se fursat hi nahi milti
Rehti hain us ki yaadein har saans se wabasta
Laakhon hain tamanain par ye dua hai
Bas naam rahe mera us k naam se wabasta
Sabhi ashk aankhon mein aa gaye, Na chupa sake na bata sake
Wo jo bhed tha wo khul gaya, Koi baat bhi na chupa sake
Na wafa rahi, na jafa rahi, na wo dil raha, na hum rahe
Us ki yaad ka jo charagh tha, Na jala sake na bhuja sake
Koi zor khud pe raha nahi, Koi bus bhi us pe chala nahi
Usey dekhty rahe door tak, Magar haath tak na hila sake
Nahi is mein us ki khata koi, Na naseeb ka koi dosh tha
Ye hamara apna mizaaj tha, K kisi tarha na nibha sake
Meri qismat mein bhi koi aisa sajda kar de
Jo merey sarey gunahoon ka madawa kar de
Sari dunia se chura kar mujhe apna kar de
Meri mitti ko khudaya tou ab sona kar de
Main tera chahnay wala hoon magar hain hasrat
Jinko tou chahta hai mujhko bhi waisa kar de
Ek nazar apnay gunahgaar pe kar k maula
Apni rehmat ka sazawaar hamesha kar de
Jis taraf chahonn faqat teray hi jalway dekhon
Shauq-e-Ulfat ko meray hadd se ziyada kar de (Ameen)
Mujhy kisi k tasawur mein doob jany do,
Bohat nahin thora sa hi jal jany do
Janta hon mahabbat nahin mujh se usy
Magar main khush hon, mujh ko faraib khany do
Main bhool jaon usy, ye to ho hi nahin sakta
Wo bhoolta hy mujhy to bhool jany do
Meri wafayen kal usy bohat rulayen gi
Meri wafa pe usy aaj muskurany do
Huwa wo kaisy juda yaad kuch nahin aata
Main sochta hoon usy kuch to yaad aany do
Tumhari anjuman se uth k diwanay kahan jaty
Jo wabasta huway tum se wo afsanay kahan jaty
Nikal k dair-o-kaba se agar milta na maekhana
To thukraey huway insaan khuda jany kahan jaty
Tumhari be-rukhi ne laaj rakh li badakhano ki
Tum aankhon se pila dety tou pemany kahan jaty
Chalo acha huwa kaam agai deewangi apni
Wagarna hum zamany bhar ko samhany kahan jaty
Qateel apna muqqadar ghum se begana agar hota
Tou phir apne praey hum se pehchany kahan jaty
Aana hay tau khud hi chale aao
Apni tau aadat hay bulaya nahi karte
Kabhi humse khafa hone ka tasawur bhee na karna
Hum aise sitam gar hain manaya nahi karte
Jis dar pe gaye hain aik baar gaye hain
Phir laut kar kabhi us dar pe jaya nahi karte
Bohat be-chain rehti hay tabiyat aik muddat se
Dil-o-jaan ko nahi mil paai rahat aik muddat se
Mujhe bhi rok rakha hay meri masroofiyat ne or
Nahi ki tum ne bhi milnay ki zehmat aik muddat se
Bohat majboor hoon warna bohat mehssos karta hoon,
Meri jaan tum se milnay ki zarorat aik muddat se
Kisi din aa k mil jao k apnali hay aankhon ne
Tumhari yaad mein ronay ki aadat aik muddat se
Meri sadgi mera jurm hai
Yahan chahton ka sila nahi
Yahan dosti ka maza nahi
Yahan jane k c hawa chali
Rahi doston mein wafa nahi
Yahan jal gaya mera Aashiyan
Abhi badlon ko pata nahi
Tere dar pe main dastak de sakun
Ye haq tum ne mujhe diya nahi
Main rahi rahe umeed par
Mujhe manzilon ka pata nahi
Bebas hon jahan mein itni
Jese meri koi dosti ki wafa nahi
Meri sadgi mera jurm hay
Koi or meri khata nahi
Adhori si hay zindagi adhoray hain hum
Bujh rahi hein saansen jal rahay hum
Badaltay mousamon nay sikhaya hay bohut kuch lekin
Panay ki hasrat mein sab kuch khoo rahay hain hum
Na maloom manzilon par qadam ruk say gaye hein
Bheer mein raaston ki taraf barh rahay hain hum
Toot kar bikhray hein khuwaab kuch is tarha
K ik arsa hua hay un ko chun rahay hain hum
Wafa hum nay ki un say ya ki bewafai
Bas us ki saza bhugat rahay hain hum
Is karri Dhoop men jaltay Huay Paon ki Tarah
Tu kisi Aur k Aangan men Hay chaon ki Tarah
Tu to Waqif hy mere Jazbon ki Sachayi se
Phir Q khamosh hy pathar k Khudaon ki Tarah
Men to Khushboo ki Tarah saath Raha hon Tere
Tu bhatakta Raha bechain Hawaon ki Tarah
Wo jo Barbad huye Thy wohi Badnam Huye hain
Tum to Masoom rahe Apni Adaon ki Tarah
Gham to Ye hy k Humen koi khushi Raas nahi "Mohsin"
Zindagi kaat Rahay hain hum Sazaon ki tarah
Sarapa ashk hon main ab bikhar jaon to behtar hai
Jidhar jatay hain ye baadal udhar jaon to behtar hai
Ye dil kehta hai tere shehar mein kuch din theher jaon
Magar halaat kehtay hain k ghar jaon tou behtar hai
Dilon mein farq aayen ge taalluq toot jayen ge
Jo daikha jo suna us se mukkar jaon tou begtar hai
Yahan hai kon mera jo mujhe samjhe "FARAZ"
Main koshish kar kay ab khud he sanwar jaon to begtar hai..
Ek roz tum ne thama tha hath mera
Mera hath se tumhary hath ki khushbu nahi jati
Tum bohut pyar se pukarty thy naam mera
Mery kanonse tumhari wo aawaz nahi jati
Main bulata b nahi tha aur tum Aa jaty thy
Ab bulany par b meriAawaz tum tak nahi jati!
Bas chuky ho tum meri bus bus mein lahu ki manind
Meri ulfat tumhari rooh mein utar Q nai jati?
Main janta hoon ye shaher ye raste tumahre nahi
Phir bhi meri Aankhon seintezar ki Aadat nahi jati
,*,PEHLI CHAHAT,*,
Mujh ko tera pyaar teri dosti achi lagi
Teri nisbat se sada ye zindagi achi lagi
Main ne apne RAB se phir manga tujhi ko umar bhar
Teri aankhon ki mujhe dariya dili achil lagi
Bhaa gaee muskan tere honton ki teri kasam
Teri baaton ki Mujhe sanjeedgi achi lagi
Yoon tou ghazlen bhi likhi hain, Geet bhi main ne magar
Jis mein ho bus tum hi tum, wo shayari achi lagi
"Apny Dil Ko Sanbhalo Or So Jao,"
"Aansou Aankhon Mein Chupa Lo Or So Jao"
"Kuch Nahi Milta Ishq Mein Siwaye Is Kay,"
"Ghum Ki Barish Mein Naha Lo Or So Jao"
"Chor Do Ye Ratoon Ko Dair Tak Jagna,"
"Us Ki Yaad Dil Sy Mita Lo Or So Jao"
"Ishq Mein Hamesha Bewafai He Hoti Hay,"
"Ye Baat Zehn Mein Bitha Lo Or So Jao"