Husn ki jheel ho tum aur kinaray hein yeh Hont
Such tou yeh hai keh mujhay jaan se pyaray hein yeh Hont
Main ne har bar mohabbat se inhain chooma hay
Us ne har bar mohabbat se obharay hein yeh Hont
Haath honto pe mery rakh k mujhay kehne lagi
Rokeay in ko bohat shoq k maary hein yeh Hont
Band Hote hain yah inkar ki surat mein magar
Adh khilay hon tou mohabbat k isharay hein yeh Hont
Aaj khud apnay muqadar pe mujhy rashk aya
Aaj honto mein mery us ne otaray hein yeh Hont
Choom kar Hont mery us ne kaha tha ye Qateel
Bas tumhary hein, tumhary hein, tumhary hein yeh Hont
Khwahishon k Aangan mein raat din bseray thay,
Titliyan tumhari then aur phool mere thay
Chand aasmano se jab zamin pe utra tha,
Dekhnay mein raatein then asal mein sweray thay
Tere paas basnay ki khai thi qasam lekin,
Shehar bhi praya tha log bhi luteray thay
Lut gaye hum dono to qasoor kis ka hay?
Khwahishen bhi teri then feslay bhi tere thay
Kahin tum apni qismat ka likha tabdeel kar lete
Tau shayad hum bhi apna raasta tabdeer kar lete
Agar hum waqai kam hosla hote mohabbat mein
Marz barhne se pehle hi dawa tabdeer kar lete
Tumhari tarah jeene ka hunar aata tau phir shayad
Makaan apna wohi rakhte pata tabdeel kar lete
Raah-e-wafa mein sazaaon ko kon dekhega,
Safar hay dhoop ka chaaon ko kon dekhega
Hum apni zid pe aaye tou cheen lenge usay,
Us k sheher ki lambi diwaaron ko kon dekhega
Uski bazm k hum wo chiraagh hein jana,
K jab jale tou hawaaoon ko kon dekhega
Bicher tou jayen magar phir khayaal aata hay
Uski in dilkash adaaon ko kon dekhega
Nighahon k samandar ka thikana chahte hain hum
Hamey tum se mohabbat hai batana chahte hain hum
Humey achi nahi lagti kisi mosum ki shadabi
Tumhein bas apni saanson mein basana chahte hain hum
Hamara ghar tau roshan hai hamarey naam se lekin
Tumhare naam se jivan sajana chahte hain hum
Humein har haal mein tum se aqidat or mohabbat hai
Tumhare paas aane ka bahana chahte hain hum.
Yunhi ajnabi na bana karo, Kabhi muskura k mila karo
Kabhi sun to lo mera hal-e-dil, Kabhi mujh se koi gila karo
Teri ik nazar teri ik ada, Mere dil ko kar de la-pata
Mere dost mere mere hum-nawa, Mere dil ka koi pata karo
Ye treeq-e-ishq hay kuch to ho, ya wafa karo ya jafa karo
Koi faisla mere mehrban, Koi rasm tum bhi ada karo
Na hi zeest ka koi raasta, Na hi khud-khushi ka hay hosla
Mujhe pyaar do mujhe maar do, Koi kaam tum bhi kya karo
Aana hay tau khud hi chale aao
Apni tau aadat hay bulaya nahi karte
Kabhi humse khafa hone ka tasawur bhee na karna
Hum aise sitam gar hain manaya nahi karte
Jis dar pe gaye hain aik baar gaye hain
Phir laut kar kabhi us dar pe jaya nahi karte
Tum or kitna mujhey ishq mein barbad karo ge
Kareeb hay waqt judai phir mujhe yaad karo ge
Abhi tou har baat zamane ki maante ho tum
Kabhi dil ki suno ge tou mujhe yaad karo ge
Kis tarha pyaar se chehre ko dekhta hun tere
Khud ko aaine mein jo dekho ge tou mujhe yaad karo ge
Aaj jin raahon pe tera muntazir bana betha hon
Inhi raaston se guzro ge tou mujhe yaad karo ge
Kitne masoom ho kehte ho tumhein bhool jaon ga
Kuch waqt bhoolne se pehlay tou mujhe yaad karo ge
Kabhi waqt mile to Aajao,
Hum jheel kinaray ja bethain
Tum apny sukh ki baat karo,
Hum apnay dukh ki baat karain
Aur un lamho ki baat karain,
Jo sang tumhary beet gai
Aur ehd-e-khizan ki nazar hoay,
Un sabz ruto k daman ma,
Hum pyaar ki khushbu mehkaen
Un bikhray sabz nazaro ko,
Hum aankho mein tasveer karain
Phir apnay praar k jadu se,
Hum lamho ko jageer karain
Kabhi waqt mily to Aajao,
Hum jheel kinaray ja bethain
Meri har janib samandar he kinara q nahi milta
Meray dil bata mujh ko sahara q nahi milta
Mujhey is sheher me din bhar hazaron log miltey hen
Jisey me dhondney nikli hon wo piyara q nahi milta
Jisey chaha, jisey dekha, jisey socha, jisey likha
Merey mola mera us se sitara q nahi milta
Kuch is tarha se main apni zindagi tamam kardon,
Waqt-e-sehar tum ko dikhaon aur shaam kardon
Khuwab mein bhi koi tere siwa dikhai na de,
Umer bhar k liye aankhon ko tera ghulam kardon
Tere pyaar ki khushbu se mehken meri saasen,
Aur jitni hein meri saansen sub tere naam kardon
Wo paani ki lehron pe kia likh raha tha
KHUDA jaane hurf-e-duaa likh raha tha
Likha tha jis ne wafa k maani adhuray
Wo shakhs pyaar ki intiha likh raha tha
Zara uski aankh se ek aansoo na nikla
Wo jis waqt lafz-e-saza likh raha tha
Muhabbat mein nafrat mili thi usay
Wo har shakhs ko be-wafa likh raha tha
Is qadar zamane waalon ne usko sataya
Wo pyaar k jazbay ko gunah likh raha tha
"Aakhirat ko bhool betha fikr-e-dunya k evaz"
"Mout ka hamla achanak bekhabar kesa laga?"
"Hanste hanste tou ne dunya mein guzari zindagi"
"Ab naya zair-e-zamin ye tang ghar kesa laga?"
"Dafan kar k qabar mein sub berukhi se chal diye"
"Jis se tu manus tha ab wo bashar kesa laga?"
"Tu hansa karta tha auroon ko preshan dekh kar"
"Chal diya apno ko rota chor kar kesa laga?"
"Ab na wo takya mulayam aur na wo bistar narm"
"Jism pe 2 gaz kafan mitti pe sir kesa laga?"
Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta hay
Wo ashk ban kar aankhon se rawan rehta hay
Kisi lamhay tanha honay nahi deti uski yaadein
Mere aangan mein melay ka samaan rehta hay
Har ghari dil ka daricha khula rakhtay hain
Har ghari us k aaney ka gumaan rehta hay
Log kehtay hain zakham bhar jatey hain aakhir
Zakham bhar jatey hain lekin nishaan rehta hay
Wo miley tou itna bata dena usko
Tujh bin tera ik shakhs preshaan rehta hay
Bikhar Rahi Hy Meri Zaat Usy Kehna
Kbhi Milay To Yehe Baat Usy Kehna
Wo Sath Tha To Zamana Tha Hamsafr Mera
Mgar Ab Koi Nahi Mery Sath Usy Kehna
Usy Kehna K Bin Usky Din Nahi Katta
Sisik Sisik K Katti Hy Raat Usy Kehna
Usy Pukaron K Khud Hi Pohanch Jaon Usky Pass
Nahi Rahy Wo Halaat Usy Kehna
Agar Wo Phir Bhi Na Lotay To Ay Mehrban Qasid
Hamari Zeest K Halaat Usy Kehna
Her Jeet Us K Naam Kr Rahe Hoon Main
Main Mante Hoon Apni HAAR Usy Khna
Tum jo hotay to mujhay kitna sahara hota
Main nay gheron ko na dukh mein pukara hota
Jitni shidat say wabasta tha mein tuj say
Kis tarha mera tere bagair guzara hota
Mujh ko yeh soch he kafi hay "Jalane k Liye"
Main na hota to koi or tumhara hota
Or hum baith k khamoshi say roye jatay Saqi
Shaam hoti sharab hoti or kisi darya ka kinara hota
Ye barishain bhi tum si hain,
Jo baras gayi tou bahar hai
Jo thehar hayi tou qarar hain
Kabhi aa gayi yunhi bey sabab,
Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab
Kabhi shor hai, Kabhi chup si hain
Ye barishain bhi tum si hain
Kisi yaad mein kis raat ko ik dabi hui si raakh ko
Kabhi yun hua k bujha dia
Kabhi khud se khud ko jala dia
Kahin boond boond mein gum si hain
Ye barishain bhi tum si hain
Rooh be-chain dil udaas bohat hay
Bujh gai hay shama-e-umeed or aas bohat hay
Ye dard-e-judai ye hijr k lamhe
Ye fiqr ka mosam mujhe raas bohat hay
Samandar k kinare bethi hoon magar phir bhi
Sokhe hein mere hont pyaas bohat hay
Diye jab gham tau kuch na socha us ne
Ujar gaye hum tau usay ehsaas bohat hay
Khaali kaghaz pe harf sajaya karta tha
Tanhai mein shehar basaya karta tha
Kesa pagal shakhs tha saari saari raat
Dewaron ko dard sunaya karta tha
Ro deta tha aap hi apni baton par
Or phir khud ko aap hansaya karta tha
Jalne lagti laho mein judai tou deta
Tanhaion ki khaak uraya karta tha
Yaro be-waqt howa pyaar usey le doba
Jo logon ko pyaar k gur sikhaya karta tha
Jhoom k gaon main sharabi hon
Raqs farmao main sharabi hon
Ek sajda baname khana
Dosto aao main sharabi hon
Log kehte hain raat beet chuki
Mujh ko samjhao main sharabi hon
Aaj in reshmi ghataon ko
Yun na bikhrao main sharabi hon
Haadse roz hote rehte hain
Bhool bhi jao main sharabi hon
Mujh pe zaahir hain ap ka batin
Moun na khulwao main sharabi ho