Uska Koi Imaan Nahi, Mere Zakhmo.N Ka Koi Darmaan Nahi
Mohabbat To Thi Usse, Magar Shayad Isme Wo Parwaan Nahi
Har Lamha Jiski Yaad Me Guzra, Banke Shama Qatra-Qatra Pighla
Baya.N Karu.N To Kaise Uski Bewafayi, Uske Liye Mere Paas Zubaan Nahi
Agar Wo Bhi Chahti Thi Mujhko, Agar Usko Bhi Mujhse Mohabbat Thi
To Kyu.N Uske Naam Ke Sath, Koi Leta Mera Naam Nahi?
Dil Ko Mere Tukdo.N Me Badal Diya, Armaano Ko Patjhad Bana Diya
Par Jaan Le Tu Bhi Ek Baat, Mujhse Bewafayi Me Teri Koi Shaan Nahi
Dil Pe Tooti Tasveer Ko Saja Diya, Rango Ki Kami Thi Laga Diya
Par Bhool Gaya Wo Tasveer Teri Thi, Usne Bhi Kaha Ye Koi Ehsaan Nahi
Parinde Bhi Yun Bewafa Nahi Hote, Jis Shaakh Pe Baithen Use Nahi Todte
Toone Jitne Zakhm Diye Mujhko, Unhe Dekhkar Dil Kahta Hai Tu Insaan Nahi
Kaise Bhula Du.N Har Lamha, Kaise Bujha Du.N Wo Sulagta Dhuaa.N
Kaise Karlu.N Yaado.N Ko Dafan, Ye Dil Hai Mera Koi Qabristaan Nahi
Bahar Banke Mili Thi Mujhse, Patjhad Bana Kar Chali Gayi
Savan Ke Tha Intezaar Me, Par Wo Bhi Bola Ab Teri Koi Pahichaan Nahi
Meri Chahat Thi Bas Tu, Mere Sapno Me Thi Bas Tu
Sare Sapne Toot Gaye, Dil Kehta Hai Ab Koi Armaan Nahi
Subah Se Shaam Guzaar Deta Hun, Raato.N Ko Ashqo.N Se Sanwaar Deta Hun
Log Mujhe Laash Kahte Hai To Kya Galat, Jab Mere Paas Meri Jaan Nahi
Zakhmo Pe Marham Kiska Lagau.N, Ek Se Bewafayi Mili Ab Kisse Paau.N
Yaaro Mohabbat Karne Ki Baat Na Karo, Is Khel Se Main Anjaan Nahi
SAHIL Ko Tu Azad Kar De, Khud Se Door Zindagi Abad Kar De
Jaanta Hun Meri Ruh Hai Tu, Aur Ruh Bin Jeena Koi Aasan Nahi
Sab Tamannayein Ho Puri, Koi Khwaish Bhi Rahe,
Chahta Woh Hai, Mohabbat Mein Numaish Bhi Rahe,
Aasmaa Chume Mere Pankh, Teri Rahmat Se,
Aur Kisi Ped Ki Dali Pe Rihaish Bhi Rahe,
Usne Sompa Nahi Mujhe Mere Hisse Ka Vajud,
Uski Koshish Hai Ke Mujhse Meri Ranjish Bhi Rahe,
Mujhko Maalum Hai, Mera Hai Woh, Main Uska Hu,
Uski Chahat Hai Ke Rashmon Ki Yeh Bandish Bhi Rahe,
Mosmon Se Rahein Vishvas Ke Aise Riste,
Kuchh Adavat Bhi Rahe, Thodi Navajish Bhi Rahe….
Dekho Aaj Fir Kismat Ka Faisla Mere Hisse Me Aaya Hai
Wo Sapno Ka Mehboob Ab Haqiqat Me Utar Aaya Hai
Uff Kya Adaaye Uski, Kya Kaatilana Uska Andaaz Hai
Jese Chand Khud Aasman Chor Zamee Par Aaya He
Ab Ki Zid He Samalu Us Chand Ko Khud Me Par Yaaro
Usne Ab Tak Is Sitaare Ki Mohabbat Ko Na Jana Hai
Uske Liye To Me Bhi Ek Aam Sitara Hu Aur Sitaaro Ki Tarah
Hai Kitna Aziz Wo Mere Liye Ab Us Chand Ko Ye Batana Hai
Roshni Uski To Har Sitaare Par Padti He Par Yahi Tamanna Hai
Ek Din Uski Roshni Par Bas Sirf Aur Sirf Mera Haq Jamana Hai
Ha Wo Meri Hogi Ab Ki Yakeen Apni Kismat Par Bhi Hone Laga Hai
Kyuki Badi Muddato Ke Baad Meri Kismat Ne Muje Pehchana Hai
Tamanna To Bahut He Dil Me Par Sabse Aziz Kuch Ye He Yaaro
Jhuk-Kar Uske Kadmo Me Use Apni Mohabbat Ka Khuda Banana Hai…
Tanhaiyan Khamoshiyan Gham Salonsal,
Ab Nahin Uthta Hai Koi Bhi Khyal,
Dard Ko Ab Kuchh Dusra Naam De Do,
Khatm Hi Hota Nahin Iska Kamal,
Haay Bachpan Ki Kahani Narm Najuk,
Laplapata Zindagi Ka Har Sawal,
Nahi Lajjat Ab Tumahare Khwab Mein Bhi,
Sikayat Kaisi Bhala Kaisa Malal,
Door Tak Hai Apni Masti Ka Surur,
Jankar Bhi Kya Karoge Mere Haal…
Kuch Ajab Shaan Se Logon Mein Raha Karte The,
Hum Khafa Reh Ke Bhi Aapas Mein Mila Karte The,
Itni Tehzeib Rah-O-Rasm To Baaki Thi Ke Wo,
Laakh Ranjish Sahi Wada To Wafa Karte The,
Usne Poocha Tha Kai Baar Magar Kiya Kahiye,
Hum Mizajann Hi Pareshaan Raha Karte The,
Khatam Tha Hum Pe Mohabbat Ka Tamasha Gaya,
Rooh Or Jism Ko Har Roz Juda Karte The,
Dil Ka Phool Khila Do,
Man Ki Galiya Mahka Do,
Aayega Aane Wala Jo,
Kuchh Usko Naya Naya Do,
Fir Aage Pichhe Padhna,
Filhaal Use Rutba Do,
Hai Agar Jitna Usko,
Nolakha Haar Pahna Do,
Pana Ho Agar Mohabbat,
Aansu Ki Nadi Baha Do,
Insano Ki Har Khubi,
Bachhe Bachhe Ko Sikha Di Hai…
Agar Talash Karoon Koi Mil Hi Jayega
Magar Tumhari Tarah Mujhko Kaun Chahega
Tumhe Jaroor Koi Chaahton Se Dekhega
Magar Voh Aankhein Humari Kahan Se Layega
Main Apni Raah Mein Deewar Ban Ke Baitha Hoon
Agar Voh Aaya To Kis Raste Se Aayega
Tumhare Hath Ye Mausam Farishton Jaisa Hai
Tumhare Bad Ye Mausam Bahut Satayega
Log Toot Jate Hain Ek Ghar Banane Mein
Tum Taras Nahin Khate Bastiyan Jalane Mein,
Aur Jaam Tutenge Is Sharabkhane Mein
Mousam Ke Aane Mein Mousam Ke Jaane Mein,
Har Dadkate Pathar Ko Log Dil Samjhte Hain
Umar Beet Jati Hai Dil Ko Dil Banane Mein,
Fakhta Ki Majboori Yeh Bhi Kah Nahi Sakti
Koun Saanp Rakhta Hai Uske Aashiyane Mein,
Doosri Koi Ladki Zindagi Mein Aayegi
Kitani Der Lagti Hai Usko Bhol Jaane Mein…
Dur Tho Ho Hi Gaye Ho Nazro Se Meri,
Mere Dil Se Durr Hokar Tho Dekho,
Kya Dhadkna Chhod Diya Hme Yaad Karke,
Apne Dil Se Ik Dafa Puch Kr Tho Dekho,
Mana Zindgi K Mod Pe Kai Rah-Guzar Milenge,
Kahega Koi Rqeeb Apko, To Koi Humsafar Kahenge,
Par Hmara Hi Aks Hoga Har Un Chehro Mein,
Kabhi Unke Aankho Se Ankhe Mila Kar To Dekho
Is Mohabbat Ka Koi Raaz Na Jaane,
Jaane Sab Ko Kaise Hoti Hai,
Yeh Dil Toh Aapko Apna Maane,
Jaane Kaise Hota Hai,
Ehsas Tumhara Is Dil Mein Hardam Rehna,
Jaane Kaise Hota Hai,
Chup Chap Rah Kar Bhi Sab Kuch Kah Jaana,
Jaane Kaise Hota Hai,
Rooh Mein Samaa Ke Aankhon Mein Aa Jaana,
Jaane Kaise Hota Hai,
Is Mohabbat Ka Koi Raaz Na Jaane,
Jaane Kaise Hota Hai…
Woh Keh Ke Chal Diye Ki Itni Mulaqaat Bahut Hai,
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai,
Aansu Mere Tham Jayein To Phir Shoq Se Jana,
Aise Main Kaun Mujhe Sambhalega Barsaat Bahut Hai,
Wo Kehne Lage Jana Mera Bahut Zaroori Hai,
Nahi Chahta Dil Todun Tera Par Majboori Hai,
Gar Huyi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena,
Maine Kaha Ho Jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai,
Samajh Gaya Hun Sab Aur Kuch Kehna Zaroori Nahi,
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jaun,
Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai,
Yeh Duniya Tum Ko Raash Aaye Toh Kahna,
Na Sar Pathar Se Takraye Toh Kahna,
Yeh Gull Kagaj Hain Yeh Jewar Hain Peetal,
Samajh Mein Jab Yeh Aa Jaye Toh Kahna,
Bahut Khus Ho Ke Usne Kuchh Kaha Hai,
Na Kahkar Woh Mukar Jaaye Toh Kahna,
Bahal Jaaoge Tum Gham Sun Kar Mere,
Kabhi Dil Gham Se Ghabraye Toh Kahna,
Dhuan Jo Kuchh Gharo Se Uthh Raha Hai,
Na Poore Sahar Par Chhaye Toh Kahna…
Jamana Lakh Ho Dusman Chahe Is Mohabbat Ka,
Mohabbat Karne Wale Darte Hain Is Jamane Se,
Dil Ki Baat Juba Tak Aati Kah Nahi Sakte,
Dil Li Hasrat Dil Mein Liye Rah Nahin Sakte,
Na Hi Tum Tadpo Nahi Humko Tadpao,
Do Roohe Milane Do Ek Jaan Ban Jaao,
Tum Na Aaoge Toh Marne Ki Hain So Tadbiren,
Mout Tum Toh Nahin Ho Ke Bula Bhi Na Sakun,
Hume Bhi Neend Na Aayegi Hum Bhi So Na Sakenge,
Abhi Kuchh Bekarari Hai Sitar Tum Bhi So Jaao…
Raat Ke Samander Mein Doob Gayi Sham
Mere Bhi Seene Mein Aaye Meri Sham,
Badal The Kamre Mein Bikhte Pade
Bistar Par Leti Thi Thaki Huyi Sham,
Band Kiye Baithe The Yaadon Ka Ghar Hum
Darwaja Kholkar Chali Gayi Sham,
Saare Badan Ka Tanav Faja Mein
Kase Kase Kapdo Mein Fasi Fasi Sham,
Thake Thake Paidal Ke Beech Chale Sooraj
Ghar Ki Taraf Louti Daftar Ki Sham,
Chup Ho Gaya Hu Aapki Soorat Ko Dekhkar,
Karni Thi Aapse Mujhe Kitni Sikayate,
Naaj Yeh Ke Bada Sabr Mohabbat Main Kiya,
Puchhiye Sabr Na Karte Toh Bhala Kya Karte,
Chalo Achha Huaa Kaam Aa Gayi Deevanagi Apni,
Varna Jamane Bhar Ko Samjhane Kahan Jaate,
Kasoor Aankho Ka Tha Chhuri Dil Par Chal Gayi,
Dekhkar Tere Husn Ko Tabiyat Machal Gayi….
Tujhe Chaha To Zamane Ne, Dekha Gunahagar Ki Terha,
Khde Hain Mahfil Me Tanha Hum Gunahagar Ki Terha,
Tujhe Chaha To Zamaane Ne,
Gali Koyi Ho Ghar Tera Nazar Aata Hai Us Me,
Flaq Ke Sitaro Me Utaar Basa Hai Chandni Me,
Teri Chahat Me Kuch Yu Pagal Hai Dil Kasam Se,
Tujhe Shiqwaa Nahi Gar Meri Mohabbat Se To,
Zamana Phir Chahe Dekhe Hume Gunahagar Ki Terha,
Tujhe Chaha To Zamane Ne,
Tu Mere Haatho Ki Taqdeer-E-Laqir Hai Sathi,
Jo Tu Nahi To Jindgi Adhuri Phir Guzregi Sathi,
Meri Wafa Par Aaj Jo Shaq Karta Hai Zamana,
Waqt Gujre Dohrayega Mere Pyar Ka Fsana,
“Sagar” Hoga Sir Jhukaye Zamana Gunahagar Ki Terha,
Tujhe Chaha To Zamane Ne…
Ab Hai Kiska Intezaar ,
Dil Dukhega Baar Baar,
Raat Til Til Sarkati Hai,
Chhed Dardile Sitar,
Sans Sans Pahad Jaisi,
Sadiyo Lamba Hai Udhar,
Koisko Aana Hai Yahan Ab,
Nahi Jinda Koi Yaar,
Chhdkar Doli Nadi Par,
Chhip Gaye Charon Kahar,
Dil Ki Baaten Dil Mein Rakhna,
Karen Kis Ka Aitbaar…
In The Face Of Madness Armed
I Will Howl Here
As One Who Knows Guns -
Yet Fears Violence,
Age And God’s Grace
Forming A Peculiar Vision.
There Is The Bottom Line
Technology Is Not Neutral
War’s Dead And Suffering Testify
Technology Is Not Neutral.
Hunting Deer
With Ball And Powder
Is Not The Threat.
Technology Is No More Neutral
Than A Bolt Slamming Into Battery,
The Dead Sing This
In Choruses From Their Graves.
If We Can Care -
Understand
What This Means -
We Can Hear Their Song.
Copyright Almost Always Retained Is Released To The Public Domain Out Of The Author’s Grief For The Twenty Children Who Were Killed. Kindly Credit: W.A. Grace
Vo Apne Ghar Chala Gaya Afsos Mat Karo
Itna Hi Uska Sath Tha Afsos Mat Karo
Insan Apne Aap Mein Mazboor Hai Bahut
Koi Nahi Hai Bewafa Afsos Mat Karo
Is Bar Tumko Aane Mein Kuch Der Ho Gayi
Thak Haar Ke Vo So Gaya Afsos Mat Karo
Duniya Mein Aur Chahne Wale Bhi Hain Bahut
Jo Hona Tha Vo Ho Gaya Afsos Mat Karo
Is Zindagi Ke Mujh Per Kai Karz Hain Magar
Main Jald Laut Aayunga Afsos Mat Karo
Ye Dekho Fir Se Aa Gai Phoolon Pe Titliyan
Ik Roz Voh Bhi Aayega Afsos Mat Karo
Vo Tumse Aaj Dur Hai Kal Paas Ayega
Fir Se Khuda Milayega Afsos Mat Karo
Bekar Ji Pe Bojh Liye Fir Rahe Ho Tum
Dil Hai Tumhara Phool Sa Afsos Mat Karo
Missed Call
Abi Tum Na Mujy ?ocha Mujy Iss Na ?ataya Hy
Mairy ?ell Par Number Tumhara Jug Magaya Hy
Guthun Lipty Hoa Din Main Huwa k Ik Jhonka Hy
Ka Jaisy Aasman Par Dupehar Main Abar Aa Jain
Ka Jaisy Ajnabi Raston Main koi Dost Mil Jaey
k Jaisy khawab Ankhon ki Panahon ?y Nikal Aey
?akoon Mil Jaey Jaisy Dard ko Aaram Aa Jae
Jaisy ?e-Irada Lub Py koi Naam Aa Jae
Ka Jaisy koi ?hooli ?aad Dil Main Dustakian Da Dy
koi Maanoos Aahut Jis Tarah Dil ko Dekhai Da
kisi ki Naram Ankhon ka Jalwa Dekhai Da
Abi Mera Tasawar Tairy Dil ko ?hu k Aaya Hy
Mairy ?ell Phone Py Tumara Number Jugmagaye Hy