Meri aankhon mein mohabbat ki shama aaj bhi hai
Mana ke tujhe mere pyar mein shak aaj bhi hai
Nao mein baith ker dhoye the tune hath kabhi
Sare talaab mein mehak mehandi ki aaj bhi hai
*==GHAZAL==*
Mom ki tarha pighlty howy dekha us ko,
Rut jo badli to badalty howy dekha us ko,
Jany kis ghum ko chupany ki tamanna hay usy,
Aaj har baat par hansty howy dekha us ko,
Wo jo kanton ko bhi narmi se chuwa karta tha,
Hum nay pholon ko masalty howy dekha us ko,
Najany woh duaon main mangta hay kissy,
Haath uthaty hi sisakty howy dekha us ko,
Phir haath dua k liye uthaaye hum nay,
faraz
Jab muqaddar say ulajhty howy dekha us ko..
Tumhari yaado ko rok pana muskil hai,
Roothe hue dil ko manana muskil hai,
Ye dil aapko kitna yaad karta hai,
Ye Shayad alfaazo me keh pana muskil hai....
Aaj ke mausam ke badalte mijaaz pe mera kuch u kehna hai ke:
Tabdeeli jab bhi aati hai mausam ki adaao mein,
kisi ka yu hi badal jana bahut yaad aata hai.
mana ke musht-e-khak se bad kar nahi hun main
lekin hawa ke raham-o-karam par nahi hun main
insan hun dhadakate huye dil pe hath rakh
yun dubakar na dekh samundar nahi hun main
chehare pe mal raha hun siyahi nasib ke
aaina hath mein hai sikander nahi hun main
galib teri zamin mein likkhi to hai gazal
tere kad-e-sukhan ke barabar nahi hun main
Wo Teri Palko Ka Madham Madham Uthna Girna
Wo Pakeezgi Wo Haya Kaha Se Laoo!!?
Wo Teri Kali Bal Khati Nagan Si Zulfain
Is Zehar Ka Taryaaq Kaha Se Laoo!!?
Lafz He Chin Gay Goya Tumhare Janay K Baad
Faraz
Uthay Hain Haath Per Dua Kaha Se Laoo..!!?
Tufaan Tinko Ko Uda Kar Chala Gaya..
Guzra Waqt Bahut Kuch Sikha Kar Chala Gaya..
Aise Bhi Hote Hain Dunia Me Log Socha Na Tha..
Jisne Chup Karaaya Tha Wahi Rula Kar Chala Gaya..!
Raj