Raat Chup Hai Magar Khamosh
Nahi Kese Kahoon K Aaj
Phir Hosh Nahi Aise Doobe
Hain Teri Yaad Ki Gehrai
Mein Aankhon Mein Neend
Hai Magar Sone Ka Hosh Nahi.
Jiyo Itna Ki Jindagi Kam Pad Jaye,
Haso Itna Ki Rona Muskil Ho Jaye,
Kisiko Paana To Kismat Ki Baat Hai,
Magar Chaho Itna sweet Ki
Khuda Dene Par Majbur Ho Jaye.
Kisi ko mohabbat ki sachchai maar dalegi,
Kisi ko mohabbat ki gaherai maar dalegi,
Karke mohabbat koi nahi bachega,
Jo bach gayaa use tanhaai maar dalegi.k
Hum aapki nafrat ko bhi pyaar
samajh lenge,
Kyunki nafrat wahi karti hai jo
pyaar karti hai,
Mante hain ki hum bewafa hi
sahi,
Par bewafa hoke bhi aapse hi
pyaar karte hain
Us Ka Chehra Bhi Sunata Hai Kahani Uski,
Per Chaahta Hun Ki Sunoo Zubani Uski,
Woh Sitamgar Hai To Ab Usase Sikayat Kaisi,
Aur Sitam Karna Bhi Aadat Hai Purani Uski,
Bahot Keemati Hai Ye Mere Palkon Ke Moti,
Chand Aanshu Hain Mere Pass Nisaani Uski,
Us Bewafa Ko Maaloom Nahi Ki Woh Kya Hai,
Us Bemurwat Ko Taswir Hai Dikhani Uski,
Uska Chehra Bhi Sunata Hai Kahani Uski,
Per Chahta Hun Sunoo Zubani Uski…
Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu meri muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li maine,
har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta
hai,
teri chaahat mein to umr bita li maine,
hum ne duniya mein aake kya dekha
dekha jo kuch so khvab-sa dekha
hai to insan khak ka putala
lek pani ka bul-bula dekha
khub dekha jahan ke khuban ko
ek tujh sa na dusara dekha
ek dam par hawa na bandh habab
dam ko dam bhar mein yan hawa dekha
na huye teri khak-e-pa hum ne
khak mein aap ko mila dekha
ab na dije “zafar” kisi ko dil
ki jise dekha bevafa dekha
Barsi Ankhe Jiski Yaad Me Barsaat Ki Tarah.
Wo Bhi Badal Gaye Meri Halaat Ki Tarah.
Haal Jeete Ji Koi Puchta Nahi.
Sab Aa Jaate Hain Maut Pe Baarat Ki Tarah.!
Taras Gaye Aap Ke Deedar Ko
Phir Bhi Dil Aap Hi Ko Yaad Karta Hai
Hum Se Khush Naseeb To Aap Ke GharKa Aaina Hai
Jo Har Roz Aap Ke Husn Ka Deedar Karta Hai
Swee2
Bas Ek Baar Mujhko Bataa Do
Tum Itna, Ki Aisi Bhi Humse
Ho Gayi Kya Khata, Hud Se
Bhi Baahar Jaa Kar Kya Kar
Diya Humne, Ki Tumne
Mujhko Di Itni Badi Saja..!