Bade ajeeb hain ye Zindagi ke raste.
Anjane mod par kuch log apne ban jate hain.
Milne ki khushi de ya na de.
Par bichdne ka gum Zarur de jate hain.
I miss you my dear
Raat Din Ankho Me Ek Chehra Basa Rehta Hai..
Neend To Aati Nahi Halka Sa Nasha Rehta Hai..
Jab Bhi Mere Honto Pe Uska Naam Aata Hai..
Dharkan Badh Jaati Hai Dil Behaakne Lagta Hai..!
Yaad Ab Khud Ko Aa Rahe Hain Hum
Kuch Dino Tak Khuda Rahe Hain Hum
Aarjuon Ke Surkh Phoolon Se
Dil Ki Basti Saza Rahe Hain Hum
Aaj To Apni Khamoshi Mein Bhi
Teri Aawaz Pa Rahe Hain Hum
Baat Kya Hai Ki Fir Zamaane Ko
Yaad Reh-Reh Ke Aa Rahe Hain Hum
Ab Hume Dekh Bhi Na Paoge
Itne Nazdeek Aa Rahe Hain Hum
Muddaton Ke Baat Dhup Nikli Hai
Geele Zazbe Sukha Rahe Hain Hum
Saakib Zindagi Mein Ab Aur Kaya Raha,
Ik Khayaal Tak Naa Usko Tera Aaya…
Jee Raha Hoon Bas Issi Soch Mein Doobh Kar,
Vaada Kiya Tha Usne, Phir Kyu Nahii Aaya…
Aaj Dil Kii Har Baat Kahi To Tera Zikr Aaya,
Guzri Mohobat Ka Har Lamha Yaad Aaya..
Yeh Bacha Kaisa Bacha Hay
Jo Rait Pe Tanha Betha Hay
Na Iskay Pait Main Rooti Hay
Na Iskay Tan Per Kapra Hay
Na Iskay Sur Per Toopi Hay
Na Iskay Pair Main Joota Hay
Na Iskay Pas Khiloono Main
Koi Bhaalo Hay Koi Ghoora Hay
Na Iska Dil Behlanay Ko Koi
Loori Hay Koi Jhoola Hay
Na Iski Jaib Main Dhela Hay
Na Iskay Haath Main Paisa Hay
Ek dua mangte hum apne bhagwan se
chahte hain hum apki khushi pure iman se
puri ho apki har khwaishein hasrtein
aap khush raho aur haste raho dil-o-jaan se.
Aapki Awaaz Ne Mujh Par Ye Asar Kar Diya..
Mere Dil Ke Khaali Pan Ko Bhar Diya..
Kabi Na Suni Thi Aisi Pyari Awaaz..
Ek Kashish Si Rehti Hai Har Pal Sunne Ke Liye..!
Mera khamosh reh kar bhi unhen sab kuch suna
dena
zaban se kuch na kahana dekh akr ansu baha
dena
nasheman ho na ho ye to falak ka mashgala
thahara
ki do tinake jahan par dekhana bijli gira dena
ijazat ho to kah dunqissa-e-ulfat sar-e-mahafil
mujhe kuch to fasana yaad hai kuch tum suna
dena
main mujarim hun mujhe iqarar hai jurm-e-
muhabbat ka