Tere Pyaar Me Hamne Saara
Jag Thukraya Hai, Fir Bhi
Tune Kadam Kadam Pe Sataya
Hai, Tu Apni Kasmein Aur
Waadon Se Mukar Gayi
Bewafa, Teri Isi Berukhi
Ne Shehar Chudaya Hai..
Sab Apne Hain Fir Bhi Ek Kami Si Rehti Hai
Hontho Pe Hasi Aankho Mein Nami Si Rehti Hai
Kaise Bhula De Un Chahat Ke Lamho Ko Hum
Jiske Hontho Pe Hasi Sirf Hami Se Rehti Hai.
GAA SAKU TERA NAGMA
WO SAAZ KAHA SE LAU?
BHAA SAKE JO AAPKO
WO ANDAAJ KAHA SE LAU?
CHAND TARO KI TAREEFEIN TO KARNA TO HAI ASAAN
HO AAPKI TAREEF WO ALFAAZ KAHA SE LAU?
Aapka rishta mere suron ka saaz hai,
Aap jaise apno par hamein naaz hai,
Chahe kuch bhi ho jaaye zindagi mein,
Ye rishta kal bhi waisa rahega jaisa aaj hai..
Bachpan Ke Dukh Kitne Aachhe Hote the,
Tab Dil Nhi Khilone TutaKrte the,
Aaj ek Aansu Gire to Ruswa Kar Deta Hai ,
Bachpan Mein to Ji BharKar Roya Karte the
AGAR MARTE HUE LAB PAR TERA NAAM NA AAYEGA
MERA WAISA MARNA MERE KIS KAAM AAYEGA
SABSE HIZRAM KI SAKHTI HO TOH HO LEKIN YE KYA KAM HAI
KE LAB PAR RAAT BHAR REH REH KAR TERA NAAM AAYEGA.
Mere Aane Ki Aahat Par Shayad
Shama Jalaee Hogi, Kabhi
Judai Ke Gham Se Aankh Bhar
Aayi Hogi, Fikar Na Kar Mere
Hamdum, Rab Ne Milne Ki Koi
Shaam Zarur Banayi Hog..
Beawaafa hai yeh duniya kisi ka
aaitbar mat karo,,har pal deeta hai
dhoka kisi se pyaar mat karo..mit jao
yahan tanha jee kar,,par kavi kisi ke
saath ka intezar mat karo..
Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila He
Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai
Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai...ii
Mujh se ye log kehtay hain,
Kahan DiL chor aaey ho?
Buhat chup chap rehtay ho,
Na buntay na sanwartay Ho,
Na koi baat kartay ho,
...Bhari Mehfil mein bhi aksar,
Hamesha khoye say rehtay ho,
Uddasi aankhon mein lay kar har ik,
chehray ko tuktay ho,
koi jab yaad aata hai tu,
Thandi aah bhartay ho,
Tu khul kar kyun nahi kehtay,
kisi say pyar krtay ho...♥
Bichadte hue yaad de jayenge,
Khud sone se pehle aapko khawab de jayenge,
Apko gila hai ki hum baat nahi karte,
Sanso ke rukne se pehle har jawab de jayenge..
Mujhko iraade de
Kasamein de, waade de
Meri duaaon ke ishaaron ko sahaare de
Dil ko thikaane de
Naye bahaane de
Khaabon ki baarishon ko
Mausam ke paimane de
Apne karam ki kar adaayein
Kar de idhar bhi tu nigaahein
Sun raha hai naa tu
Ro raha hun main
Sun raha hai naa tu
Kyun ro raha hun main...
Kisi Se Aisa Rishta Ban
Jaata Hai Ki Har Cheez Se
Pehle Uska Khayaal Aata
Hai, Na Jaane Kya Kehte
Hain Is Rishte Ko Jo Dil
Ki Dharkan Aur Jeene
Ki Wajah Ban Jaata Hai..!
Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai
Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag
Mana key in ki roshni tum par ayaan nahi
Na tum bewafa ho, na hum bewafa thay
Magar kya karain apni rahain juda hain
Saamne baithe raho dil ko qaraar aa’aegaa
Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa’aegaa
Mohabbat kar ke dekhi to, mohabbat ko pehchana
hai
Wafa bus naam ki hai, be-wafaai ka fasana hai
Yaad Aate Hain Wo Shayahi Se Range Haath
Kaya Din The Wo Jab Karte The Lunch Saath
Chhutti Ki Ghanti Sunte Hi Wo Bhag Ke Kamre Se
Bahar Aana
Fir Hashte Hashte Doshton Se Mil Jaana
Kaash Wo Dosht Aaj Bhi Mil Jaate
Dil Main Fir Se Bachpan Ke Phool Khil Jaate