Dekh, Bhar Gaya Hai, Tera Diya Jakham Fir Se,
Aaj Mukuraya Hun, Rulane Ke Liye Aaja,
Tukde Samete Hain Sagar Ne Fir Se Dil Ke,
Aur Nahi Toh Thokar Lagane Ke Liye Aaja…
KABHI YAAD AAYE TO EK BAR KEHNA
KABHI AANSU BANKE IN AKHON SE BEHNA
DOST NAHI SAHI TO AJNABEE HI REHNA
PAR KABHI ALVIDA NA KEHNA.
=>Date - 10 Apr 2013.
=>Created By - Arun Singh.
Dil Ka Har Dard Kho Gaya Jaise,
Main Toh Pathar Ka Ho Gaya Jaise,
Daag Baki Nahi Ke Nishan Kahun,
Koi Deevar Dho Gaya Jaise,
Jagta Jahan Gham Ki Dhoop Mein Tha,
Chhav Paate Hi So Gaya Jaise,
सिर्फ देख के किसी को दिल की बात नहीं होती;
मुलाकात हो फिर भी कभी बरसात नहीं होती;
जानते है तुम कभी हमारे ना हो पाओगे;
फिर भी इस दिल में कभी रात नहीं होती।
Tum Puchhte Ho Dil Kyu Bharta Hai Aahein Mera,
Hum Kahte Hain Ke Koi Isko Bhi Samjha De,
Aakar Tum Hi Puchh Lo Jo Tum Janana Chahte Ho,
Ki Kya Hua Hai Yeh Shayad Tum Ko Hi Bata De….
Dil-E-Quarar Ne Ek Dard Paal Rakkha Hai
Ajeeb Musibat Mein Daal Rakkha Hai
Jagah Na Di Humne Kisi Aur Ke Khayalo Ko
Tumhare Khayal Ka Itna Khayal Rakkha Hai
Khud Ko Jahaan Mein Badnaam Kar Liya,
Apna Daaman Kanto Se Chaak Kar Liya,
Ab Toh Hata Do Rukh Se Parda Jaalim,
Tere Pyar Mein Khud Ko Barbaad Kar Diya…
Hum Bhi Apne Pyar Pe Naaz Karte
Kash Ke Ham Unke Dil Pe Raaj Karte
Jo Kal Tha Wohi Pyar Aaj Karte
Hame Gum Nahi Unki Bewfai Ka
Bas Armaan Tha Ke Hum Bhi Apne Pyar Pe Naaz
Karte
Main Tumko Bhool Bhi Sakta Hun Is Jahan Ke Liye,
Jara Sa Jhoot Jaruri Hai Daataa Ke Liye,
Mere Labon Par Koi Boond Tapki Aansu Ki,
Yeh Katra Kafi Tha Jalte Huye Makaan Ke Liye,
Main Kya Dikhaun Mere Taar Taar Daman Mein,
Na Kuchh Yahan Ke Liye Na Kuchh Vahan Ke Liye,
Gajal Bhi Is Tarah Uske Saamne Laya Hun,
Ki Jaise Bachha Koi Aaye Imtehaan Ke Liye…
Unki Fitrat Hai Bewafayi Sajan,
Hum Chahat Wafa Ki Rakhte Hain,
Dil Jalaya Hai Usne Pyar Se,
Dam Ab Bhi Wafa Ka Bharte Hain,
Sawan Ki Ghatayen Barsati Hain,
Jab Badly Chhati Hai Yaadon Ki,
Aankh Nam Ho Jati Hai,
Jab Yaad Aati Hai Un Baaton Ki…
Bahrein Bhi Yahan Nazare Bhi Yahan,
Kamki Hai Toh Bas Itni Dil Ki Duniya Viran Yahan,
Koi Toh Hota Is Duniya Mein,
Jo Mera Gham Sah Leta Kabhi,
Jo Saath Rahta Meri Tanhaaiyon Ke,
Jise Apna Main Kah Leta Kabhi…
Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain,
Sanam ki yaad me har dam khuda ko yaad karte hain,
Unhin ke ishq me hum naala-o-faryaad karte hain,
Elaahi dekhiye kis din hame wo yaad karte hain...
Shab-e-faraaq me kia kia saanp lehraate hain seene pe,
Tumhari kakul-e-peechan ko jab hum yaad karte hain...
-----------------------------------
Jaane Anjaane Mein Hi Sahi,
Pyar Kar Baithe Tujh Se,
Ab Tu Kahti Hai Chal Uthh
Aur Chalta Ban Yahan Se,
Dil Ki Aahon Ko Gale Laga Ke,
Sunti Thi Jo Hardam,
Aaj Wohi Tarsa Rahi Hai,
Apni Hasee Bahon Ke Liye,
Tumhari Judayi Mein,
Kab Tak Sahan Karun,
Kyu Na Mere Pass Aaye,
Main Jahar Khake Maru,
Pani Ki Jagah Gham Ke Aansu Pita Hu,
Ter Pyar Ki Khatir Yeh Julam Sahta Hu…