Majboori Uski Bewafai Ka Mahaj Ek Bahana Hai
Dard Ko Kisi Bahane Lab Per Lana Hai
Kash Wo Kabhi Ek Bar Milne Aaye
Zakham Ek Gehra Use Dikhana Hai...iii
ata Nai Zindagi Mein
Log Aate Aur Fir Kyon Chale Jaate Hain,
Maksad Ke Mansube Hamesha
Galat Hi Kyon Ho Jaate Hain,
Zindagi Pyari Hai Bahut Isliye
Poori Imaandari Se Jeene Ki Koshish Mein Hain,
Na Yakeen Aaye To Us Insaan Se Pucho
Jise Vakt Ne Ye Mouka Diya Hi Nahi…
Sapnay Ki Tarha Tujhey Saja K Rakhon
Chandni Raat Ki Nazron Se Chupa K Rakhon
Meri Taqdeer Meray Saath Nahin Hai
Warna Zindagi Bhar Tujhay Apna Bana K Rakhon
Bichadne Ka Gham Toh Usse Bhi Tha..
Tabhi Toh Wo Jaate Waqt Kuch Keh Na Sake..
Jaane Kitne Armaan Honge Uske Dil Me..
Jo Uski Ankho Me Bhi Reh Na Sake..
Rote Hue Usne Baha Diye Saare Armaan Apne..
Bas Ek Hum The Jo Dil Ki Baate Dil Me Bhi Daba Na Sake..!
Wo Dil Hi Kia Jo Tere Milne Ki Tamana Na Kare ,
Me Tujhey Bhool K Zinda Rahoon Khuda Na Kare,
Rahega Payar Tera Sath Mere Zindagi Ban Kar,
Ye Or Bat He Kay Zindagi Mere Wafa Na Kare !!
Na main apne paas usko bula Saka,
Na apne dil ki baat usko bata Saka
Woh hansi hansi mein Chal diye,
Aur main haath tak na hila Saka
Main yuhi sochta raha din raat,
Magr usko kabi kuch bata na Saka
Ye mukaam hi tha kuch alag Sa,
Aur main khud ko b na bacha Saka
Wo juda bhi kuch aisa huwa Aur,
Main Koi rasam tak nibha na Saka
अभी सूरज नहीं डूबा ज़रा सी शाम होने दो;
मैं खुद लौट जाऊँगा मुझे नाकाम होने दो;
मुझे बदनाम करने का बहाना ढूँढ़ते हो क्यों;
मैं खुद हो जाऊंगा बदनाम पहले नाम होने दो।
Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha…..
kyon dil ke karib aajata he koi,
kyon apnepan ka ehesaas kara jata he koi,
jab v dil ko adat si hoti hai uski,
fir kyon utni hi dur chala jata hai koi.
Gutno Se Rengate Rengate,
Kab Pairon Par Khaad Huaa,
Teri Mamta Ki Chhav Mein,
Jaane Kab Bada Huaa,
Kala Teeka Doodh Malayi,
Aaj Bhi Sab Kuchh Vaisa Hai,
Main Hi Main Hu Har Jagah,
Pyar Yeh Tera Kaisa Hai,
Seedha Sadha Bhola Bhala,
Main Hi Sabse Achha Hu,
Kitna Bhi Ho Jaau Bada,
Maa Main Aaj Bhi Tera Bachha Hun…
Muddat Tamaam Hui Koi Afsana Na Mila
Hum Khojte Rahe Magar Thikana Na Mila
Lo Aaj Phir Chali Gayi Zindagi Nazron Ke Saamne Se
Aur Use Rokne Ka Koi Bahana Na Mila…