Juda Hone Ki Baat Humse Mat Kijiye,
Juda Hokar Toh Kabhi Jee Na Paayenge,
Are Aap Toh Shayad Ji Lenge Hamare Bin,
Magar Hum Toh Aapk Bina Mar Hi Jaayenge…
Kadam-Kadam Per Baharon Ne Sath Chhoda,
Jarurat Padi To Yaaro Ne Sath Chhoda,
Sitare Bole Hum Denge Tera Sath,
Magar Afshosh Subah Huyi To Sitaron Ne Bhi Sath Chhoda…
Dard-E-Dil mein unka ehsaas nahi hota,
Rota hai Dil mera jab koi pass nahi hota,
Barbaad ho gye hum unki mohabbat mei,
Aur wo kehte hai es tarah pyar nahi hota
Pyer nhi wo barbdi ki kahni hai sans nhi wo apno ki jaah lene ki kahni hai rote hai pyer karke har koe es liye pyer bas mut ki raha dekhane ki kahni hai
kisi ke Jaane Se Saanse Kabhi rukti nahi
kisi ke Na Laut aane Se Jindagi Kabhi thamti nahi
khwaish har Waqt Rehti Hai Dil Mein Usse Pane ki
Har Khwaish Poori ho Par Yeh bhi to Jaroori nahi.
Ghav Chehare Ke Bade Taaje Hain,
Apni Galti Ke Khamiyaje Hain,
Apno Se Lakh Tarah Samjhaya,
Hum Hi Allah Ke Navaje Hain,
Fouj Dushman Ki To Nahi Dikhati,
Sabne Hathiyar Apne Saaje Hain,
Ladayi Zindagi Ki Raaton Din,
Mout Wale Nagade Baaje Hain,
Usko Achha Hai Tumko Bura Hai,
Apne Apne Toh Yeh Andaaje Hain…
Wo To Dard Apne Ro Ro Kar
Sunate Rahe, hamari Tahaiyon
Se Aankh Churate Rahe, phir
B Hame Bewafa Ka Ilzaam Mila,
kiyon Ki Har Dard Ko Ham
Hans Hans Ke Chipate Rahe.
Unki Yaadon Ko Abhi Bhi Seene Mein Chhupaye Baitha Hun;
Haye Main Kis Zalim Se Dil Ko Lagaye Baitha Hun;
Inhi Raahon Se Aayenge, Bhale Hee, Baad Mere Marne Ke;
Kitna Nadan Hun Abhi Bhi Dil Ko Samjhaye Baitha Hun!
Toote Dil Ne Bhi Uske Liye Dua
Maangi, Mere Saanso Ne Har
Pal Uske Khushiya Maangi,
Jaane Kya Dillagi Thi Us
Se.. Aakhri Khwaish Mein
Bhi Us Bewafa Ki Wafa Maangi.!
दुनियाँ में इतनी रस्में क्यों हैं;
प्यार अगर ज़िंदगी है तो इसमें कसमें क्यों हैं;
हमें बताता क्यों नहीं ये राज़ कोई;
दिल अगर अपना है तो किसी और के बस में क्यों है।
Wo thaka hua meri bahon mein zara so gaya tha to kya hua
abhi main ne dekha hai chand bhi kisi shakh-e-gul pe jhuka hua
jise le gai hai abhi hawa wo varaq tha dil ke kitab ka
kaheen aansuon se mita hua kaheen aansuon se likha hua
kai mil ret ko kat kar koi mauj phul khila gai
koi ped pyas se mar raha hai nadi ke pas khada hua
mujhe hadason se saja saja ke bahut hasin bana diya
mera dil bhi jaise dulhan ka hath ho mehandiyon se racha hua
wohi khat ke jis pe jagah jagah do mahakate honton ke chand the
kisi bhule-bisare se taq par tah-e-gard hoga daba hua
vahii shahar hai wohi raste wohi ghar hai aur wohi lan bhi
magar us dariche se puchana wo darakht anar ka kya hua
mere sath jugnu hai hamsafar magar is sharar ke bisat kya
ye charag koi charag hai na jala hua na bujha hua
Mana ke kismat pe mera koyi jor nahi….
Par ye such h ke mohabbat meri kumjor nahi,
Us ke dil me, uski yaado me koi aur hai lekin,
Meri har saans mein uske siwaa koi aur nahi..
Ab bhi teri shokh chanchal adaye kahti hai
Ab bhi teri Bewafai mere dil main saye ki tarah
rahti hai
Raton main jata tha milne bhul ye mujhse hui
Leta hoon jab rat ki tanhaiyon main karwat
Kanta ban kar chubhta hai mujhko bistar
Uss Khuda ko chhod kar “Avinash”
Ibadat teri ki, bhul ye mujhse hui..