Meri Yaadon Ko Ek Ek Gali So Gayi,
Mere Khwabon Ke Sare Armaan So Gaye,
Dil Sabb E Tar Ki Saltnat Ho Gaya,
Jab Se Ashkon Ke Sahjaade So Gaye,
Pathron Ki Jamee Pathron Ke Ped,
Pathron Ke Makan Pathron Ke Bashar,
Mukar Jaate Hain Woh Har Baar Vada Karke Bhi,
Rok Lete Hain Kadam Aane Ka Irada Kar Ke Bhi,
Ab Surat Na Dekhenge Karenge Pyar Kam Yaro,
Dekh Liya Anjam Pyar Jyada Karke Bhi,
Tune Pyar Ke Badle Mein Aksar Intezar Diya,
Ikrar Ke Badle Mein Hamesha Hamein Inkar Kiya,
Main Kaise Bhul Jaaun Tere Julmo Ki Kahani Ko,
Jo Maine Tere Jhute Vaado Pe Aitbaar Kiya…
need ki talab hamein bhi hai ay dost,
par raaton ko jagte rhma achha lagta hai,
mujhe maloom hai tum meri qismat main nahi ho,
phir bhi khuda se mangte rhna achha lagta hai
unki kami se dil mera udas hai,
par muje to aaj bhi unke milne ki aas hai….
Zakham nai par dard ka ehsas hai,
aisa lagta hai dil ka ek tukd Unke paas hai
Deep Nahi Dil Jale Hai Khali,
Kaise Manaun Main Ye Dipawali,
Patakho Ka Sor Kaise Achha Lage Mujhe,
Jab Sataati Hai Mujhko Baccho Ki Bhi Taali,
Charo Taraf Deepo Ki Roshni Bharpoor Hai,
Per Ye Dil Andhero Me Rone Ko Majboor Hai,
Ab To Her Dua Lage Hai Gali,
Deep Nahi Dil Jale Hai Khali,
Kaise Manaaun Main Ye Dipawali…
Kaash tum mujhe ek khat likh dete,
mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete,
tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki,
nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete.
Tujhko dekhenge sitare to Zia maange ge
Aur Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge
Apne kande se dupatta na sarakne dena
Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge….
Har pal har mode unka sath nibhate hum,
Unke 1 eshaare par duniya chod jate hum
Bich sumundar me jakar fareb kiya unhone
Wo kahte toh kinare par hi doob jate hum
Tumne sada sath nibhane ka vada tod dia,
Beach rah mein mera sath bhi chor dia,
Kehte the sath nibhayenge marte dum tak A-
Sanam,
Lekin adhe raste mein hi hume marne k liye chor
dia...ii
इस कदर इस जहाँ में जिंदा हूँ मैं;
हो गयी थी भूल अब शर्मिंदा हूँ मैं;
मेरी कोशिश है कि ना हो तेरी दुनिया में कोई गम;
तू आवाज़ दे गगन से एक परिंदा हूँ मैं।
Tere Pyaar Ko Paane K Khatir,
Hum Har Had Se Guzar Jayege,
Tujhe Paane K Kosis Me Shayad,
Apna Sab Kch Hum Kho Jayege,
Todte Raho Dil Tum Kaanch Ki Tarah,
Hum Tutkar Bhi Sirf Tumhe Chahenge,
Kya Hua Gr Tumhe Pa Na Sake,
Tumhe Paane K Zid Liye Hi Mar Jayenge,
Gr Keh Do Ek Bar Ki Khush Rahoge Humare Bina,
Hum Apki Is Duniya Se Chale Jayenge,
Maut Bhi Mile Apki Khusi Ki Keemat Par,
Apki Kasam Apki Khusi K Liye Mar Jayenge…
Is Liye Sar Jhukaye Bethe Hain
Dil Mein Dil-Dar Aaye Bethe Hain…
Haath Par Un Ke Titli Beth Gai
Gul Sabhi Khaar Khaye Bethe Hain…
Dast-E-Nazuk Pe Titli Ne Socha
Gul, Hina Kion Lagaye Bethe Hain…
Rang Ura Le Gaye We Titli Ka,
Gul Ki Khushbu Churaye Bethe Hain
Shaibah Tak Nahi Shararat Ka,
Kesi Soorat Banaye Bethe Hain…
Is Se Barh Kar Bhi Koi Hai Nazuk?
Roshni Se Nahaye Bethe Hain…
Is Liye Paon Mein Dabata Hun
Wo Mera Dil Dabaye Bethe Hain
Aik But Ka Sawal Hai Mola
Man Ka Mandir Sajaye Bethe Hain
Is Liye Mutmaeen Hain Koh-E-Giran
Ham Imanat Uthaye Bethe Hain…
Dosra Moqa ‘Qais’ Kese Mile?
Aik Dil Tha Ganwaye Bethe Hain…
------------------------------------
Thoda gam mila toh ghabra ke pee gaye,
Thodi khushi mili toh mila ke pee gaye,
Yun toh hame na thi peene ki aadat,
Sharab ko tanha dekha toh taras kha ke pee gaye...!!