Aaj Humse Woh Door Hain Bahut Yeh Mana,
Magar Yaadon Mein Hum Unko Yaad Karte Hain,
Unse Sapno Mein Hi Mila De Eh Maalik,
Bas Hardam Hum Yahi Fariyaad Karte Hain…
Koi Jata Hai Yahan Se Na Koi Aata Hai
Yeh Diya Apne Andhere Mein Ghut Jata Hai,
Sab Samjhte Hain Wohi Raat Ki Kismat Hoga
Jo Sitaron Ki Bulandi Par Najar Aata Hai,
Bildingein Log Nahi Hain Jo Kahin Bhag Sake
Roj Insano Ka Sailab Badh Jata Hai,
Main Isi Khoj Mein Badha Hi Ja Raha Hu
Kis Ka Anchal Hai Jo Pahadon Par Lahrata Hai,
De Tasalli Koi Toh Aankh Bhar Uthati Hai
Koi Samjhaye Toh Dil Aur Bhi Mar Jata Hai…
Meri Mahobatt ko wo meri majburi samaj baithe.
Dil humse lagaya per, Anpa gero ko bana baithe.
Humne bhi koi gum na kiya e mere mahboob,
Yaad me teri sarab ki bottal muh se laga baithe.
Deeiray Dheeray Dil Main Utarta Jata Hai Koi
Mujh Ko MAIRI JAAN Bulata Hai Koi
Main Toot Ke Bikhar Jaon, Ye Mumkin Nahi
Boht Piyar Se Sath Apne Mujhe Sulata Hai Koiiiii
Zindagi mein gham kuch kum na thy Ghalib,
Ke aur kitno ko mere saath jood diya.
Apne gham ko kahan tak barshadt karen saqi,
Jab uperwale ne hi humse rukh mod liya..ii
अब कहाँ रस्म...
अब कहाँ रस्म घर लुटाने की;
बरकतें थी शराब ख़ाने की;
कौन है जिससे गुफ़्तुगु कीजे;
जान देने की दिल लगाने की;
बात छेड़ी तो उठ गई महफ़िल;
उनसे जो बात थी बताने की;
साज़ उठाया तो थम गया ग़म-ए-दिल;
रह गई आरज़ू सुनाने की;
चाँद फिर आज भी नहीं निकला;
कितनी हसरत थी उनके आने की।
Meri mohbbat ko tum chipa na sakoge,
Tum kisi ko mujse jyada chah na sakoge,
Dil aaj b dhadkta hoga mera zikr hone par
Tum aise hi mujhko bhula naa sakoge
Kabhi Ruk Gaye , Kabhi Chal Diye ..
Kabhi Chalty Chalty Bhatak Gaye .
Yunhi Umar Sari Guzaar Di
Yunhi Zindagi K Sitam Sahay
...
Kabhi Neend MAi , Kabhi Hosh Main
Wo Jahan Mila Use Dekh Kar
Na Nazar Mili, Na Zuban Hili
Yunhi Sir Jhuka K Guzar Gaye
Kabhi Zulf Per , Kabhi Chashm Per
Kabhi Us Ke Haseen Wajood Par
Jo Pasand Thy Meri Zaat Mai
Wo Shair sary Bikhar Gaye
Mujhe Yaad Hy , Kabhi Aik Thy
Mgr Aaj Hum Hen Juda Juda
Wo Juda Huwe To Sanwr Gaye
Hum Juda Huwe To Bikhar Gaye
Kabhi Arsh Per, Kabhi Farsh Per
Kabhi Un Ke Dar Kabhi Darbadar
Gham _E _ Aashiqi Tera Shukriya
Hum Kahan Kahan Se Guzar Gaye.....
Ban Ke Sitara Jag-Magaate Rehna
Har Khushi Apne Hontho Pe Sajate Rehna
Kisi Rishte Ke Liye Do Kadam Jaroori Hote Hain
Ek Yaad Karte Rehna Aur Ek Yaad Aate Rehna…
Meri mohobaat ka usne yu sila diya
Meri yaado ko mitti mein mila diya..
Khush h vo kisi gair ko apna bana k
Aur humko usne gair bana diya…
Meri mohobaat ke kabar par…
Usne apna naya jahan basa liya….
Yaad hain sare wo aish-e-bafaragat ke maze
dil abhi bhula nahi aagaz-e-ulfat ke maze
wo sarapa naz tha begana-e-rasm-e-jafa
aur mujhe hasil the lutf-e-benihayat ke maze
husn se apne wo gafil tha main apne ishq se
ab kahan se laun wo na-vaqfiyat ke maze