Aapki Hasi Bade Pyari Lagti
Hai,
Aapki Har Khushi Ab Hume Humari Lagti Hai,
Kbhi Door Na Karna Khud
Ko Humse.. .
Jaan Se Bhi
Pyari Ye Yaari Lagti Hai..!
Jab koi khayal dil se takarata hai
Dil na chahkar bhi khamosh reh jata hai,
koi sab kuch kehkar pyar jatata hai
To koi kuch na kehkar bhi pyar nibhata hai !!
Ek Shakhs Ki Chahat Ka Armaan
Raha
Aksar ...
Jo Jaan Kar Bhi Sab Kuch Anjaan
Raha
Aksar ... !! Yeh Pyaar Mohabbat Ka Hai Kya
Khel ,
Rab Jane ...
Ke Jisne Wafa Ki , Usko Nuksaan
Raha
Aksar ... !! Aata Hai Wo Neendon Me , Rehta
Hai
Wo Khawbon Me ...
Ek Yahi To Uska Mujh Par ,
Ehsaan
Raha Aksar ... !
Duniya se dil lagakar duniya se kya milega
yad-e-khuda kiye ja tujh ko khuda milega
daulat ho ya hukumat taqat ho ya javani
har cheez mitane vali har cheez aani-jani
ye sab gurur ik din matti mein ja milega
aata nahi palatakar guzra hua zamana
kya khwab ka bharosa kya maut ka thikana
ye zindagi ganva kar kya fayeda milega
Kabhi To Ayenge Wo Hamari Wafao Se Sharminda Hokar,
Fir Hum Na Milnge Unko Dubara Zinda Hokar,
Kya Mila Unko Hmari Duniya Chodkar,
Khud B Tanha Reh Gye Hume Tanha Chodkar
kab kon kisi ka hota hai,
Sab jhutay rishtay naatay hain,
Sab dil rakhnay ki baatain hain,
Sab asli roop chupatay hain,
Aik baar nigahon main aa ker,
Phir saari umer rulatay hain.
Samajha tha main mujhe kisi qabil bana diya
ye kya kiya ki dard ko phir dil bana diya
gham ne tagaiyurat ke qabil bana diya
jo dard apni had se badha dil bana diya
itane mugalate diye ummid-o-bim ne
sahil ko mauj mauj ko sahil bana diya
itni kadi nigah se dekha na kijiye
har rishta-e-nazar ko rag-e-dil bana diya
ye kya banane wale tere jee mein aa gai
bijli bana raha tha magar dil bana diya
har zarra rahguzar ka to hira nahi ‘siraj’
jis mein salahiyat thi use dil bana diya
Pagal Huye Jo Hum To Ulfat Usy B Thi
Chaha Jo Hm Ne Us Ko To Chahat Usay B Thi
Usko Na Bhol Payengay Wo Janta Tha
Or Har Baat Bhol Jane Ki Adat Usay B Thi.
Mushkilo Se Ghirkar Bhi Kabi Aapka Saath Na Chhodenge..
Agar Qayamat Ayegi Kisi Mod Pe To Uska Rukh Hum Modenge..
Yu To Hum Kabi Kisi Se Wada Nahi Karte..
Par
Aap Se Kiya Hua Har Wada Kabi Na Todenge..!