Na ghar bar na koi thikana khanabadosh hain
apna kam hai chalte jana khanabadosh hain
chand aur suraj sathi sadiyon sadiyon ke
donon se rishta hai purana khanabadosh hain
rang badalate mausam jaisi apni hasti hai
barish va dhup se kya ghabarana khanabadosh hain
apne liye hain donon barabar ae duniya valo
kya butakhana kya maikhana khanabadosh hain
Aasman ke taare puchte hain,
kya tumhe aaj bhi intezar hai unke lout aane ka?
Ye dil muskra ke kehta hain,
mujhe toh ab tak yakin nahi,
unke chale jaane ka.
Intezar Ki Arzu Ab Kho Gayi Hai;
Khamoshiyo Ki Adat Hogayi Hai;
Na Shikwa Raha Na Shikayat Kisi Se;
Agar Hai To Ek Mohabbat Jo In Tanhaiyo Se Hogayi Hai!!!
Dard Ko Sambhal Pana Aasan Nahi Hota,
Hanste Huye Har Pal Bitana Aasan Nahi Hota,
Zindgi Mein Har Koi Dil Mein Nahi Bas Pata,
Aur Us Ek Base Huye Ko Bhul Pana Aasan Nahi...!!!!
Yaad Aaoonga
Har Us Lamhe Me Yaad Aaoonga
Jab Tum Tanhayee Me Roya Karogi
Jagte Jagte Thak Kar Soya Karogi
Ankh Ke Band Hote Hi Yaad Aaoonag
Jab Kisi Chahane Wale Ki Taraf
Dekhogi To Yaad Aaoonga
Kisi Mohhabath Karnewale Ko Dekhogi
To Yaad Aaoonga
Saans Jab Tak Chalegi Tumhari Tab Tak Bhi
Yaad Aaoonga
Aankho se dur kya hue hum aapne hame dilse nikaal diya, pehle to yaad karliya karle the abto hame bilkul bhula diya, ek samay tha jabis kadar sms aate the par abto usse bhi mehrum bna diya, waqt mile to is naachiz ko bhi yaad kar lijiye jise aapne ik itihaas bna diya.
Aesa Jagaya Aapne Ke Ab Tak Na So Sake
Yun Rulaya Aapne Ke Mehfil Mein Hum Ro Na Sake
Na Jaane Kya Baat Hai Aap Mein Sanam
Mana Hai Jabse Tumhe Apna Kisi Ke Hum Ho Na Sake..
Koi Tum Say Poochay Kon Hoon Main
Tum Keh Dena ?Koi Khaas Nahi?
Ek Dost Hay Kaccha Paka Sa
Ek Jhoot Hay Aadha Sacha Sa
Jazbaat Ko Dhaanpay Ek Parda
Bus Ek Bahana Accha Sa
Jeevan Ka Aisa Sathi Hay
Jo Door Nah Ho K Pass Nahi
Koi Tum Say Poochay Kon Hoon Main
Pyar karne ka hunnar hame nahi aata,
isliye pyar ki baazi ham haar gaye,
hamari zindgi se unhe bahut pyar tha,
shayad isliye wo hame zinda hi maar gaye.
Karen Hum Laakh Chahen Koshishen Lekin
Mohabbat Ho Hi Jati Hai
Hamari Zindgi Jo Rasta Hai Ek
Hamen Is Raah Per Chalte Hoye
Ye Mil Hi Jati Hai
Mohabbat Talkh Hoti Hai
Magar Her Hal Main Hum Ko
Mohabbat Ki Sabhi In Talkhioun Ko Jhelna Ho Ga
Mohabbat Jis Ko Hoti Hai
Ye Khod Us Ko Huner Apna Sikhati Hai
Nahin Aisa K Ye Koi Hawa Ka Ek Jhonka Hai