Dil dharakta hai tujhe dekhun to,
Saans bhi meri rukne lagti hai…
Pyar itna hai mere dilmey sanam,
Rooh bhi meri khinch ne lagti hai…!
Chain milta hai jab mei dekhun tujhe,
Warna ya saans rukne lagti hai…!!!
Aankho Sai Mairay Iss Liay Laali Nahi Jaati
Yado Sai Koi Raat Jo Khali Nahi Jaati
Hans Kai Agar Mangay Tu Jan Bhi Tujhay Dai Dai
Teri Koi Baat Hum Se Taali Nahin Jaati
kajal banke teri aankhon me samane ki tamanna thi,
dawa banke tere dard mitane ki tamanna thi,
yu to hasil thi mujhe har cheez zamane ki,
bus tujhe dulhan ke roop me pane ki tamanna thi..
Bechain baharon mein kya-kya hai jan ke khushbu
aati hai
jo phul mahakata hai usase tufan ke khushbu aati
hai
kal rat dikha ke khvab-e-tarab so sej ko suna
chod gaya
har silavat se phir aj usi mehaman ke khushbu aati
hai
talkin-e-ibadat ke hai mujhe yun teri muqaddas
aankhon ne
mandir ke darichon se jaise loban ke khushbu aati
hai
kuch aur bhi sansen lene par majabur-sa main ho
jata hun
jab itane bade jangal mein kisi insan ke khushbu
aati hai
zindagi kis tarah bitaoge
Paas jab humko tum na paoge
Din mein tanhaiyan satayengi
Raat ko chaunk ke uth jaoge
Raat bhar neend kyon nahin aati
Tum ye khud bhi samajh na paoge
Log poochnge ki tanha kyun ho
Kya chupaoge, Kya bataoge
Palkein har bar bheeg jayengi
Aaj aapki yaad ko seene se
laga ke roye,
Apne sapno me aapko paas
bula ke roye,
Hazaaron baar pukara aapko
tanhaiyon me,
Aur har baar aapko paas na
paakar roye.
Kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke
Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke
Dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke
Layaa hai koun inko, phalak se utaar ke …
~•~ Har mulakat par waqt ka takaza hua,
Jab jab use dekha dil ka dard taza hua,
Suni thi sirf gazal mein judai ki bate,
Ab khud par biti to haqiqat ka andza hua.~•~
Jo kbhi lot ke na ayenga vo vaqt he...
jo dubara na milenga vo moka he...
jo hame yaad na karega vo aap he aur jo aapko kbhi na bhul payege vo hum he...
Yaad mein teri aanhe bharta hai koi, har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi, maut to sachai hai aani hai, lekin teri judaai mein har rozmarta hai koi....!
Haste dilo me gham bhi hai,
muskurati aankhe kabhi nam bhi hai,
dua karte hai aapki hansi kabhi na ruke,
kyunki apki muskurahat ke deewane hum bhi hai…