Jab Tak Tumko Meri Yaad Aayegi
Tab Tak Mai Tumse Door Chali Jaungi..
Door Itna Ki Kabi Laut Ke Na Aaungi..
Jaan Se Jayada Chaahti Hu Tumhe..
Par Shayed Kabi Sabit Na Kar Paungi..
Mujhe Yaad Karke Kabi Ansoo Na Bahana..
Warna Naraaz Ho Jaungi..
Zndgi Me Hote Hain 7 Janam..
Waada Raha Baaki Ke 6 Janam
Tumhare Saath Nibhaungi..!
Khuda Ne Sharaab Jo Banai Peene Ke Liye
To Piya Kyun Na Jaye
Duniya Banai Jeene Ke Liye
To Jiya Kyun Na Jaye
Mahobbat Ne Diya MaukaShayari Karne Ka
To Phir Shayari Kari Kyun Na Jaye
Is Kadar Pyar Hai Tumse Aye Humsafar..
Ab To Jeete Hain Hum Bas Tumhe Dekh Kar..
Tumhari Har Ada Tumhari Har Nazar..
Tumhe Hai Kya Khabar Mujhe Diwana Kar Gayi..!
ankhe ro padi unka na koi peigam aaya.
chale gaye hame akela chod k ye kaisa mukam aaya.
meri tanhai muskara ke mujse boli.
bata mere siva koun tere kaam aaya...
Dard h dil me pr iska ehsas nhi hota.
Rota h dil jab pyar sath nhi hota.
Sab kuch lutaa diya humne unke pyar me.Or
wo kahte h ki is tarah pyar nhi hota.
Ishq ne hame benaam kar diya,
Har khushi se hame anjaan kar diya,
Hamne to kabhi nahi chaha ki
Hame bhi mohabbat ho,
Lekin aap ki ek nazar ne hame
Nilaam kar diya...........
Dil ke he nahi jaan ke karib hai woh
Har pal saath rehta hai apna nasib hai woh
khushi ki leher ho ya ho gum ka saaya
Dil ne har pal aapko sabse pass paaya.
Kisi kali ne bhi dekha na aankh bhar ke mujhe
guzar gai jaras-e-gul udas kar ke mujhe
main so raha tha kisi yaad ke shabistan mein
jaga ke chod gaye qafile sahar ke mujhe
main ro raha tha muqaddar ke sakht rahon mein
uda ke le gaya jadu teri nazar ka mujhe
main teri dard ke tugiyaniyon mein dub gaya
pukarate rahe tare ubhar ubhar ke mujhe
tere firaq ke raten kabhi na bhulengi
maze mile inhin raton mein umr bhar ke mujhe
Kabhii Yuun Bhii To Ho
Dariyaa Kaa Saahil Ho
Puure Chaand Kii Raat Ho
Aur Tum Aao
Kabhii Yuun Bhii To Ho
Pariyon Kii Mahafil Ho
Koii Tumhaarii Baat Ho
Aur Tum Aao
Kabhii Yuun Bhii To Ho
Ye Narm Mulaayam Thandii Havaayen
Jab Ghar Se Tumhaare Guzaren
Tumhaarii Khushbuu Churaayen
Mere Ghar Le Aayen
Kabhii Yuun Bhii To Ho
Suunii Har Manzil Ho
Koii Na Mere Saath Ho
Aur Tum Aao
Tha mustear husn se usake jo nur tha
khurshid mein bhi us hi ka zarra-e-zahur tha
pahuncha jo aap ko to main pahuncha khuda ke tain
malum ab hua ki bahot main bhi dur tha
kal panv ek kasa-e-sar par jo aa gaya
yak-sar wo istakhvan shikaston mein choor tha
kahane laga ke dekh ke chal reh be-khabar
main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-gurur tha
tha wo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin mein ‘meer’
samajhe na hum to feham ka apne qasur tha