Tera Khayal Dil Se Na Jaye To Kya Karu,
Reh Reh Kar Teri Yaad Aye To Kya Karu,
Kehte Hai Khwaabon Mein Hogi Mulakat,
Raat Bhar Neend Hi Na Aye To Kya Kaaru...
Aapko Sms Karna Roz Ki Baat Ho Gayi..
Yaad Karna Aadat Ki Baat Ho Gayi..
Aapse Door Rehna Kismat Ki Baat Ho Gayi..
Magar
Aapko Bhulna No Chance
Apne Bas Ke Baahar Ki Baat Ho Gayi..!
Apni Hatheli Se Meri Hatheli Mila Lena,
.
Jab Karna Dua Tø Use Bhi Utha Lena,
.
Jø Khuda De Khusi Tø Apna Hath Aage Karna,
.
Jø De Gam Tø Meri Hatheli Bada Dena.
Jab wo puchti thi muze...
"kya tum muzse pyar karte ho?"
Tab mere pas jawab nahi tha
But
aaj mere pass jawab h lekin uske pass wo sawal nahi
@lkesh Gavit
Yaad Na Karo Gi To Sataoun Ga
Yaad Na Karo Gi To Sataoun Ga
Rootho Gi To Manaoun Ga
Ro Gi To Hasaoun Ga
Dost Hoom Mein Tumhara Saaya Nahin
Jo Adhere Mein Saath Chor Jaoun Ga
Zndgi Ka Pehla Pyar Kaun Bhulaata Hai..
Ye Pehli Baar Hota Hai..
Jab Koi Kisi Ko Khud Se Badhkar Chaahta Hai..
Uski Pasand Uski Khwaaish Me Khud Ko Bhool Jaata Hai..
Akele Me Uska Naam Likh Likh Mitaata Hai..
Baat Karne Se Pehle Sochta Hai Kya Kehna Hai..
Baat Hone Ke Baad Firbi Kuch Reh Jaata Hai..
Hota Hai Khubsurat Kitna Pehla Pyar..
Par
Na Jaane Kyu Aksar Adhoora Reh Jaata Hai..!
Hasata Hai Mujhko Fir Rulaa Bhi Deta Hai..
Karke Wada Aksar Bhula Bhi Deta Hai..
Ajab Mizaaz Hai Uska Aur Pyar Ka Andaaz Bhi..
Kabi Palko Pe Bithata Hai Kabi Nazro Se Gira Bhi Deta Hai..!
Tadap jo is dil main hai wo mitegi tere aaane se
Nasha jo teri aankho main hai wo kya milega paimaano se
Zindagi ke is mod pe ruka hun tere intezaar main
Tanhaaiyon ka ye safar koi kya pooche is dewaane se..
Sard mausam ka maazaaj kitna alag sa hai,
Tanha raat main intazaar kitna alag sa hai,
Dhund bani naqab, aur chupa lia sitaron ko,
Unki tanhaai ka ab ehsas kitna alag sa hai
☻Dil ka dard dil todne wale kya jane,
Pyar ke rivazon ko zamana kya jane,
Hoti hai kitni takleef ladki patane mein,
Ye ghar pe baitha ladki ka baap kya jaane.
Bahut Ajeeb Dard Hota Hai Jab Yaad Aapki Aati Hai..
Awaaz To Nahi Hoti Par Dil Ki Dharkan Badh Jaati Hai..
Ankho Ke Raste Chamakte Moti Girne Lagte Hain..
Agar Us Pal Apne Seene Ko Na Daba Lu To Jaise Jaan Nikal Jaati Hai..!