Kabhi Abad Karta Tha Kabhi Barbaad Karta Tha,
Sitam Woh Roj Ek Naya Izaad Karta Tha,
Zamana Ho Gaya Lekin Khabar Lene Nahi Aaya,
Jo Panchi Roj Mere Naam Par Azaad Karta Tha.
Jab Zindagi Samjh Me Aayi To Zindagi Se Dur The Hm,
Marna Chaha To Jine Ko Majbur The Hum,
Har Saza Kabul Kar Li Humne Sar Jhuka Ke,
Kasoor Bas Itna Tha Ki Bekasur The Hum.
Peete to sabhi hain apna gum bhulane ke liye...
Humne bhi pee uski yaad apne dil se mitane ke liye...
Peene ke baad pata chala kambhakt sharab me wo nasha nahi hai...
Ye sharab uss shabab ke aage kuch bhi nahi hai...
Socha kisi aur haseena se dil laga lenge...
Kisi aur ki chahat ko hum apna bana lenge...
Par kisi aur haseena se bhi hum ye dil laga na sake...
Aur din raat peekar bhi hum usse bhula na sake...
Ho Sake To Tum Muje Maf Kar Dena
Mere Moqadar Mai Apni Dua Kar Dena
Socho To Bahut Taqlif Di Hai Tmhe
Par Maire Dil Ki Tum Dawa Kar Dena
Mairi Bewafai Ki Yahi Saza Hai Kafi
K Apne Ansooho Ko Mairi Saza Kar Dena
Dil Bana Ne Wale Ne Dil Kaanch KaBanaya Hota,
Todne Wale Ke Haath Pe Zakham To Aaya Hota,
Jab Bhi Dekhta Apne Haatho Ko Wo,
To Unhe Humara Khayal To Aya Hota…
Aye Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya,
Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya,
Yun Toh Har Shaam Ummido Mein Guzar Jaati Thi,
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya.
Ye Meri Talkh Nawaaii
Ye Meri Talkh Hansi
Ye Zeher-Khund Sa Lehja
Ye Guftagu Meri
Ye Na Samajh Ae Meri Jaan!
K Atta Teri Hai
Main Jaanti Hun To Itna
K Khatta Meri Hai
Bus Issi Baat Ki Khud Ko
Yun Saza Deti Hun
Main Aur Kissi Se Nahin
Khud Se Khafa Rehti Hun..
Sare Armaan Mere Aansuo Mein Beh Gaye,
Dil Ke Armaan Sabhi Iss Dil Mein Reh Gaye,
Kaam Aayi N Mere Wafadariya Bhi.
Jinse Ki Mohabbat Wo Bewafa Ho Gaye.
Yeh Kitabon Ke Kisse, Fasaano Ki Baatein,
Nigahon Ki Jhilmil Judai Ki Raatein,
Mohabbat Ki Kasmein, Nibhane Ke Waade,
Yeh Dhoka Wafa Ka Yeh Jhoote Iraade.
Yeh Baatein Kitabi,Yeh Nazmein Purani,
Na Inn Ki Haqiqat Na Inn Ki Kahani.
Na Likhna Inhein, Na Hi Mehfooz Karna,
Yeh Jazbe Hai Bas Inn Ko Mehsoos Karna.
betaab tha dil unse dubara milne ke liye,
apne pyar ka izhaar karne ke liye,
unki khoobsoorati pe marna tha humko dubara,
par dil rota hi rehgaya humari yaadon ki tarha...
Khan
Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi..
Laakh koshish ki magar fasla mita he nahi…
Us ko majboor zamane ne is kadar kar diya k…
Meri kisi saada par woh thehra he nahi…
khuda se jholi pehla kay manga tha usay …
Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi…
Har aik se pucha sabab us kay na milne ka …
Har eik ne kaha woh tere liye bana hi nahi…!!!
Pathar Ki Pooja Kar Baithe Hum Nadan The,
Uski Aadat, Uski Fitarat Se Anjaan The,
Waqt Ne Hamko Khilona Bana Diya Yaro,
Warna Hum Bhi Kabhi Kisi Ki Jaan The.