Na Kisi Ne Dil Se Kabhi Pyar Kiya H Mujhse,
Na Kisi Ke Hontho Ne Ikrar Kiya H Mujhse,
Meri Gumnam Zindagi Ki Raaho Se Kabhi Mat Gujro,
Daga Kisi Shaqs Ne Har Baar Kiya H Mujhse.
Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar k Naam Se
Bewafai Mili Sirf Wafa k Naam Se
Zakhm He Zakham Diye us ne Dawa k Naam Se
Asman Bhi Ro Para Meri Muhabat k Anjam Se
Bahut Zhkam Diye H Tere Husn Ne Mujhko,
Aur Uss Par Bahut Tadpaya H Iss Raat Ne Mujhko,
Yu To Bahut Gam Jhelne Ka Hausla Tha Dil Mein,
Magar Dubo Diya Ashqo Ki Barsat Ne Mujhko.
Zindagi ki shama mein khud kojala jayenge
Ae-bewafa zindagi hum tujhe chhor jayenge
kal rahenge saath kiske ye main nahi jaanta
tamanna na rakhna tu meri mojudagi ki
Apna katra katra hum tujhme bhool jayenge…
Sab Kuch Mila Bus Khudai Ke Siwa,
Zindagi Bahut Pasand Aayi Ruswai Ke Siwa,
Meri Chahat Ka Ehsaas Bhi Na Hoga,
Uski Har Adaa Pasand Aayi Bewafai Ke Siwa.
Sare Armaan Mere Aansuo Mein Beh Gaye,
Dil Ke Armaan Sabhi Iss Dil Mein Reh Gaye,
Kaam Aayi N Mere Wafadariya Bhi.
Jinse Ki Mohabbat Wo Bewafa Ho Gaye.
Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya,
mujhe akela kar tanhaiyon se naata mera jod diya,
jab aai mout apni to usse raha na gaya,
aaya vo laas par meri or mujhe bina jalaye hi chhod diya
Wo Kahin B Rahen Sar Pe Uske Ilzaam To Hai
Uske Hathon Ki Lakiron Me Mera Naam To Hai
Wo Mujhe Apna Banaye Ya Na Banaye
Zamane Me Mere Naam Se Woh Badnam To Hai
Muhje to lot ana tha mgar awaz to
dety..
Na itni door jana tha mgar awaz to
dety..
Tmy shayad khabar na thi mujhe
tum jan se pyary ho..
Agrchay aazmana tha mgar awaz to
dety..
Tmhara dil behlta tha meri bekar
baton se.
Ye qissa to purana tha mgar awaz
to dety..
Gilay shikway hazaron the mgar dil
men “muhabbat” thi
“Muhabbat”ko bachana tha mgar
awaz to dety….
Fareb Tha Uski Ha Mein Hum Aashiqi Samjh Biathe,
Maut Ko Hum Apni Zindagi Samjh Baithe,
Waqt Ka Majak Tha Ya Badnaseebi Meri,
Uski Do Baato Ko Hum Chahat Samjh Baithe.
Ya Tu Meray Maalik Usay Meri Kismut Ker Day
Ya Phir Khtum Dil Say Uski Mohubbat Ker Day
Jo Derd Dia Hai Abh Us Ka Mudawa Bi To Ker
May Nay Kaha Tha Meri Aisi Halut Ker Day
Khuda Kaise Karoon Shukriya Iss Din Ke Liye
Jis Dunya Tumhein Dharti Pe Bheja Humare Liye
Na Jane Kiyun Main Intezar Kar Raha Tha
Shahad Janmdin Hai Tumhara Is Liye
Meri Har Aik Dua Hai Teri Lambi Umar Ke Liye
Dil Khud Jaanta Hai Tu Na Ho Dhadkega Kis K Liye
ajanabi apne qadmon ko roko zara
janati hun tumhare liye gair hun
phir bhi thaharo zara
sunate jao ye ashkon Bewafa dastan
sath lete chalo ye mujassim fugan
aj duniya mein mera koi bhi nahi
meri ammi nahi
mere abba nahi
meri aapa nahi
mere nanhe se masum bhaiya nahi
meri ismat ki magrur kiranen nahi
wo gharonda nahi jis ki saye tale
loriyon ki tarannum ko sunati rahi
phul chunati rahi
git gati rahi
msukurati rahi
aj kuch bhi nahi
meri nazaron ki sahame hue aaine
meri ammi ki mere abba ki aapa ki
aur mere nanhe se masum bhaiya ki khoon se
hain dahashatzada
aj meri nigahon ki viraniyan
chand majaruh yadon se aabad hain
aj meri umangon ki sukhe kanval
mere ashkon ki pani se shadab hain
aj meri tadapati hui sisakiyan
ek saz-e-shikasta ki fariyad hain
aur kuch bhi nahi
bhuk mitati nahi
tan pe kapada nahi
aas madum hai
aj duniya mein mera koi bhi nahi
ajanabi apne qadmon ko roko zara
sunate jao ye ashkon bhari dastan
sath lete chalo ye mujassim fugan
meri ammi bano
mere abba bano
meri aapa bano
mere nanhe se masum bhaiya bano
meri ismat ki magrur kiranen bano
mere kuch to bano
mere kuch to bano
mere kuch to bano
Dil Ki Ho Ya Aankho Ki,
Ruswayi Toh Aakhir Ruswayi Hai,
Bhale Darr Se Karen Ya Hakikat Mein,
Bewafayi Toh Aakhir Bewafayi Hai,
Kahan Jaakar Kisko Sunaye,
Aaj Kitane Udaas Hum Hain ,
Mout Se Koi Sikwa Nahin,
Diye Zinagi Ne Saare Gham Hain,
Mout Se Rista Hai Hamara Zindagi Se Kya Vasta,
Gham Hi Hamari Manjil Hai Gham Hi Hai Raasta…
Ye Sach Hai Ki Aa Jata Hai Sohrat Ka Asar,
Insaan To Kya Faristhe Bhi Badal Jate Hai,
Aur Bewafa Badle Ya Na Badle,
Waqt Aane Par Wafadar Bhi Badal Jate Hai.
Jism Ki Chah Mein Deewane Badnam Hote H,
Jism Ki Rah Mein Deewane Nakam Hote H,
Jin Pe Lutadi Jindagi Aaj Wahi Log,
Mere Sar Pe Bewafai Ka Iljam Dete H.