Be-naam sa yeh dard thehar kyun Nhi jata,
Jo beet gaya hai wo guzar kyun Nhi jata..!
Woh ek hi chehra to Nhi saare jahan Me
Jo door hai Wo dil se utar kyun Nhi jata...
Ek dard thi unki aankhon me mere bagair,
ek aah thi unki jubaan me mere bagair.
Ro rahe the mere intezaar me wo is kadar,
k ek khoyi si junoon thi unki awaaj me mere bagair…
Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah
Aye Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah
Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam
Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm
Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Ek Bewafa Se Ik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai
Ishq Ka Raston Mein Judai Na Mili Hoti Hume,
Pyaar Mein Ye Bewafai Na Mili Hoti,
Khush Hote Hum Bhi Aur Sab Ki Tarha,
Agar Hume Unse Ye Ruswai Na Mili Hoti.
Maut mangte he to zindagi khfa ho jati
hai
Zaher lete he to wo bhi dawa ho jati hai
Tu hi bata aye dost kya karun.
jisko b chahte he to wo bewafa ho jati
hai!
Meri Mohabbat Ki Bas Itni Si Kahani Hai
Dard Main Doobi Hui Yeh Zindagani Hai
Rista Hai Zakhm Ban Ke Aankh Ka Aansu
Rooh Par Jafaaon Ki Gehri Nishaani Hai
Saansen Hain Lekin Dhadkanen Nahin Hain
Lahu Thama Sa Hai, Na Koi Ravaani Hai
Kho Diya Jisne Umar Bhar Ka Sukoon
Muskurati Hai Phir Bhi, Ladki Deewani Hai !!
Toote Hue Paimane Mein Jaam Nahi Aata,
Ishq Ke Maare Hue Ko Aaram Nahi Aata,
Dil Todne Wale Bewafa Jara Ye To Socha Hota,
Ki Toota Hua Dil Kisi Aur Ke Kaam Nahi Aata.
Zindagi Guzar Gayi Dil Ko Samjhane Mein,
Pyar Ke Unn Kisse-Kahaniyo Ko Bhulane Mein,
Samjh Baithe The Jise Hum Zindagi Apni,
Wo Bhi The Meri Barbadi Ka Jashn Manane Mein.
Barbad Kar Gaye Wo Zindagi Pyar Ke Naam Se,
Bewafai Mili Unke Paigam Se,
Zakhm Hi Zakhm Diya Dua Ke Naam Se,
Dushman Bhi Ro Pada Meri Mohabbat Ke Anjam Se.