Nahi tha visva jb tujhe mere pyar par. Kyon kiya tha haan tune mere ikrar par. Jina tha tujhe jb kisi or ke sath. Na thamna chahiye tha tujhe mera haath
Kabhi to khul ke baras abr-e-meharaban ke tarah
mera vajud hai jalate hue makan ke tarah
bhari bahar ka sina hai zakhm zakhm magar
saba ne gaye hain lori shafiq man ke tarah
wo kon tha jo barahana badan chattanon se
lipat gaya tha kabhi bahr-e-bekaran ke tarah
sakut-e-dil to jazira hai barf ka lekin
tera khulus hai suraj ke sayeban ke tarah
main ik khwab sahi aap ke amanat hun
mujhe sambhal ke rakhiyega jism-o-jan ke tarah
Jab koi naik kaam karte hain,
Jaane man tere naam karte hain,
Tere chehre se dhoop lete hain,
Teri zulfon mein shaam karte hain,
Kis qadar tang hoon mohabbat se,
Log yeh kese kaam karte hain,
Un ki peshaaniyan chamakti hain,
Jo mohabbat ko aam karte hain,
Dil ke dalaa’n mein sajaa kar yaad,
Jashan ka ehtamaam karte hain,
Sochte hain tujhe wuzzu kar ke,
Yu’n tera ehtraam karte hain,
Hum se hi ibtidaa huyi jana’n,
Hum hi ab ehtamaam karte hain..
Dilon Say Khelna Ka Hunar Hamain Aata Nahin,
Isi Liyay Ishq Ki Baazi Hum Haar Gayai,
Meri Zindagi Se Shayad Unhe Bohot Pyar Tha,
IsiLiye Mujhe Zinda Hi Maar Gayai.
khafa b rahte hain wafa b karte hain....is tarh shaban ke pyaar ko wo bayan b karte hain... Jane kaisi narazgi hai unki shaban se,...khona b chahte hain aur shaban ko pane ki duaa b karte hain...-
jawani ko zindagi ka nikhaar kahte hain....pajhad ko chaman ka bahar kahte hain,.azib chalan hai duniya ki yaaro...ik dhoka hai jise ham sab pyaar kahte hain.
Roshni kar raha hai is dil mein,
Ik diya sa jala hai is dil mein,
Dar hai aankhen na phir chalak jayen,
Ik kaanta chubha hai is dil mein,
Jis ke saarey makaan khali hain,
Sheher aesa basaa hai is dil mein,
Gungunaane lagi hain saansain bhi,
Koi rehne laga hai is dil mein,
Koi jis ka nahin ilaaj Arshad,
Dard aesa uthaa hai is dil mein..
jab mile hi nahin to bichadne ka gum kaisa
do lafz bhi nahin bole to ilzaam-e-sitam
likh ke haal-e-dil sunana hume khoob aata hai
haan, sayahi me lahu na mile to wo kalam kaisa....
umr beet gayi magar fir bhi umr dhali nahin
jo bhool gaya waqt dhale wo sanam kaisa...
apno ko to koi apna thaam hi leta hai gum mein
jo haath na thaame gairo ka to wo karam kaisa
koi khuda nahi basta mandir o masjid mein
jahan insaan nahi rahta wo dair-o-haram kaisa...
Main kahin bhi kisi nagar mein raha,
Tere asaib ke asar mein raha,
Woh bhi paagal hua juda ho kar,
Umar bhar mein phir bhi safar mein raha,
Aik jadugari to thi tujh me,
Mein bhi kuch din tere asar mein raha,
Bheegta doobta raha dil mein,
Tera chehra meri nazar mein raha,
Pesh-kash maan li zamane ne,
Aur ek mein, Agar magar mein raha,
waade to hote hain tootjane ke liye.....
sirf rehti hain yaadien dil jalane ke liye...
nazrein milaakar phir churaana aaye
ye ada hai sirf humko tadpaane ke liye....
Prince Zubair. . . . . . . .
Kismat Kismat Ki Baat Hai,
Aj Din Aur Kal Raat Hai,
Kavi Dhoop To Kavi Barsaat H,
Ye DOSTI Ka Silsila Chalta Rahega
Jab Tak Hum hai Tabtak Hamra Msg Hai.
Samjha Lo Apne Dil Ko Pyaar Na Kare
Meri Fitrat Hai Bewafai Izhar Na Kare
Humse Paoge Dhoka Tum Yaad Rekhna
Pehle Hee Kahte Hai Koi Humara Aetbaar Na Kare
Na Jane Ye Nazrein Kyun Udas Rehti Hain,
Na Jane Inhe Kiski Talaash Rehti Hai,
Ye Jankar Bhi Wo Kismat Me Nahi Hai..
Fir bhi Unhe Pane Ki Ek Aas Rehti Hai..!
Kharida, jalaaya, piya aur bujhaya
peete hi saara jahaan bhulaya
kuchh nahin hai khaas ismen
bas zor se kheecha aur dhuan udaaya...
peete dekha hai, pilate dekha hai
phoonkte dekha hai aur bujhate dekha hai
kisi ne gusse mein ise piya aur
kisi ne pyaar se ise sulgaya
.
Ravi j@t
Durman chahe kitna bhe acha dost banjaye us ka eitbaar nahi karna chahiye kyonki paani ko chaahe jitna ve garm kar lo par wo aag nahi banjata .
By HARERAM
unki yadon ne hamekhone na diya,
gamo nehame chup hone na diya,
ankhen to aj bhi bhar gayin unki yad me,
par unki hasti hui surat ne hame rone na diya....